Namaz E Janaza Ka Tarika Or Mayyat Ki Dua In Roman English

Namaz E Janaza Ka Tarika, janaza ki dua, namaz e janaza ki niyat, saf ka tarika, qabar par matti dalne ki dua. नमाज ए जनाजा का तारिका, जनाजा की दुआ, न

Is Post Me Hum Janege Ki Namaz E Janaza Ka Tarika Masnoon Sunnti Tarika Jo Hazrat  Mohammad Se Nakal Kiya Gaya Hain. 

Sath Hi Namaz E Janaza Ki Dua or Niyat, Mayyat ki Dua, Qabar Par Matti Dalne Ka Tarika Or Uski Dua Hadees Ki Roshni Me. 

Namaz_E_Janaza_Ka_Tarika

Namaz E Janaza Ka Mukammal Tarika Aur Dua In Roman English

( 1 ).  Namaz E Janaza Ki Niyat Ka Tarika

Namaz_E_Janaza_Ka_Tarika

Namaz E Janaza Ki Niyat Ka Tarika Kuch Is Tarha Hain. Aap Ka Neki Ka Dabodar Niyat Par  Karta Hain. Kyunki Allah Tala Apnki Niyat Ko Bakhubi Janta Hain.

 Namaj Janaze Ki Niyat Niche Di Gari Hain Aap Ishe Yad Kar Lo Kyunki Namaz e Maiyat  Ki Prayer Ki Waqt Namaz E Janaza Ki Niyat Karna Bahut Jaruri Hain.


" Niyat Ki Maine Nama E Janaze Ki 4 Takbeero Ke Sath , Waste Allah Tala Ke, Dua Is Mayyat Ke Liye, Piche Is Imam Ke Munh Mera Kaba Sharif Ki Taraf Allah Hu Akbar. "

Ye Bhi Dekhe :

( 2 ).  Namaz E Janaza Ka Sunni Tarika

Ab Namaz E Janaza Ka Sunni Tarika Yah Hain. Janaze Ki Namaj Step by Step Sikhan or Sikh Kar Yaad Karna Jaruri Hain. 

Namaz Janaje Hi Ek Esi Prayer Hain Jisme Ruku or Sajda Nahi Hota Hain Bas Char Takbir Hoti Hain or Kuch Duae Hoti Hain. Jinko Padhne Ke Baad Salam Fhera Jata Hain.

Namaz e Maiyat Farz Kifhaya Hai, Is Namaj Me Mard or Aurto Dono Padh Sakte Hain.

Agar Koi Ek Shaks Ne Janaze Ki Namaj Padh Li to Baaki Logo Se Farz Saakit Ho Jayenga,

Aur Agar Koi Shaks Jaan Bhukar Janaje Ki Namaz Nahi Padhe to Sab Gunhagaar Ho Jaaenge.

Har Musalman Ko Janaza Ki Namaz Ki Namaz Me Jarur Shirkat Karna Cahiye. To Chaliye Jante Hain  Janaze Ki Namaj Ka Tarika.


Step One

Sabse Pahle Achi Sunnati Tarike Se Wazu Kar Le.


Step Two

Jamat Me Kandhe Se Kandhe Milakar Khade Ho Jaiye. or Nabalik Bacche Ho to Unhe Bado Ke Bich Se Nikal Kar Aakhir, Bacho Ki Alag Safhe Banwale .


Step Three

Imam Sahab Piche Khade Ho Kar Niyat Kar Le. Jaysi Niyat Aap Ko Upar Me Bataya Gaya Hain Waysi Niyat Kar Le. 


Step Four

Ab Imam Sahab Allah Hu Akbar Kahe To, Aap Bhi Imam Sahab Ke Fhauran Baad Allah Hu Akbar Kah Ke Apne Hanth Baad Le. 

Wayse Hi Jayse Aam Prayer Me Bandhte Hain.

Niyat Padhne Ke Baad Apne Dono Hanth Ko Kano Ke Lau Tak Le Jaae Aur Allah Hu Akbar Kah Kar Hantho Ko Bandh Le Aur Ghir Sana Padhe.

Sana Me Dheyan Rakhe Ki ""Watala Jaddoka" Ke Baad "Wajlla Sanaoka Wlailaha Gairoka" Padhe.


Step Five

Ab Bager Hanth Uthe Dusri Takbir Kahe "Allah Hu Akbar" or "Darude Ibrahim" Padhe.


Step Six

Ab Bager Hanth Uthe Tisri Takbir Kahen "Allah Hu Akbar" Aur Ye Janaza Ki Dua Padhe.


( 3 ).  Janaza Ki Dua Ka Tarika

Namaz_E_Janaza_Ka_Tarika

Agar Mayyat Mard Ya Aurat Ki Ho to Ye Dua Pahde :

  • Janaza Ki Dua in Roman English

" Allahummagfirli Hayyina Wa Mayyitina Wa Shahina Wa Gaibina Wa Sagirina Wa Kabirina Wa Jakarina Wa Unsana Allahumma Man Ahyithu Minna Fah'eehi Alal Islami Wa Man Fat'waffahu Minna Fat'waffahu Alaliman. "


  • Janaje Ki Dua Ki Dua in Hindi :

Agar Nabalig Ladki Ya Ladke Ka Mayyat Ho to Tisra Takbir Ke Baad Ye Dua Padhe: 

" अल्लाहुम्मग्फिरली हय्यिना व मय्यितिना व शाहिना व गाइबिना व सगिरिना व कबिरिना व जाकारिना व उनसाना अल्लाहुम्मा मन अहयइतहु मिन्ना फ़अहइही अल्ल इस्लामी व मन फ़तवफ़्फ़ाहू मिन्ना फ़तवफ़्फ़ाहू अललईमा. "


  • Janaza Ki Dua In Hindi (Bache Ki Mayyat Ki Dua) :

" अल्लाहुम्मज् अल्हा लना फ़रातव वज्अल्हा लना अज्रव व जुख़्रव वज्अल्हा लना शाफ़िअव व मुशफ़्फाअह. "


  • Janaza Ki Dua In Roman English

" Allahum'mz Alha Lana Faraatw Wazalha Lana Azraw Wa Jukhraw Wazalha Lana Shafi'aw Wa Mushf'fa'ah. "



  • Agar Koi Bhi Dua Yaad Na Ho to Sirf Ye Dua Padhe Le :

" अल्लाहुम्मग़ फिरली मुअ’मिनिना वल मुअ मिनात "

" Allahummg Firli Ma'minina Wal Mua Minaat. "



Step Seven

Ab Bager Hanth Uthae Cauthi Takbir Kahe "Allah Huakbar " Aur Hath Bandhe Bandhe Hi Salam Fher Le.

Imam Takbir Buland Awaz Se Kahe Aur Muqtdi Ahista. Baaki Tmam Azkaar Imam Wa Muqtdi Sab Aahista Padhe.

Fhir Mayyat Ke Liye Duae Magfhirat Kare.

Mayyat Namaz Ke Salam Fherne Ke Baad Aap Koi Bhi Dua Mayyat Ke Magfhirat Ke Liye Padh Sakte Hain.


Ab Bas Namaz E Mayyat Ho Gai Ab Mayyat Utha Kar Kabrstan Le Chaliye.



( 4 ).  Qabar Par Mitti Dalne Ka Tarika

Namaz_E_Janaza_Ka_Tarika

Namaj E Janaza Padhne Ke Baad Ab Jante Hain Kabr Par Mitti Kaise Dete Hain. Kabar Par Tin Baar Mitti Diya Jata Hain. 

Kabar Par Mitti Aaram Se or Itminan Se Dena Cahiye. Baaz Log Kahte Hain Panch Baar Mitti Dete Hain. 

Kcuh Log Kahte Hain Hain Teen Baar Dete Hain. Par Aysa Jaruri Nahi Aap Kabar Par Kitne Hi Baar Mitti De. 


Kisi Bhi Mayyat Me Aap Jaae Sirkat Kare to Sabse Pahle Aap Qabristan Se Andar Dakhil Hone Se Pahle " Assalamu Alaykum Warahmutulla Wa Barkatuhu " Jarur Kare.

Kisi Bhi Janaze Me Mitti Dena Ka Islamic Tarika Ye Hain Ki Sab Aadmi Ya Sab Insan Ko Mitti Dalte Waqt Samay Mustahaq Yah Hain.

 Ki Janaze Ke Sar Ke Taraf Shuru Karke or Apne Dono Hantho Me Mitti Bhar Ke Kabar Par Daale.



( 5 ).  Qabar Par Mitti Dalne/Dene Ki Dua.

Namaz_E_Janaza_Ka_Tarika

  • Pahli Baar Mitti Dalte Waqt 

" Minha Khalak Na Kum "

Tarjuma : Allah Ne Hame Isi Miiti Se Paida Kiya"


  • Dusri Baar Mitti Dalte Waqt

" Wa fiha Noeedokum "

Tarjuma : Aur Ishi Mitti Me Hum Ko Jana Hain


  • Tisri Baar Mitti Dalte Waqt

" Wa Minha Nukhre Jokum Tartul Ukhra "

Tarjuma : Aur Ishi Mitti Se Utha Kabar Ko Aur Ishi Se Qayamat Ke Din Tumhe Dubara Nikal Kar Khada Karenge.


( 6 ).  Namaz E Janaza Ke Saff

Namaz_E_Janaza_Ka_Tarika

 

  • Namaz E Janaza Saf Kaisi Hona Cahiye ?

Behrat Yah Hain Ki Namaz Mayyat Me Tin Se Saff Kare Jaysa Ki Hadis Me Hain Ki Jis Ki Namaj Me Tin Saff Ke Logo Ne Padhi Uski Magfirat Ho Jaengi, 

Agar Logo Ki Tadat Jyada Hain to 5 Ya 7 Saff Bhi Bana Sakte Hain. Imam Ko Mayyat Ke Sine Ke Samne Imam Ko Khada Hona Cahiye.


( 7 ).  Namaz E Janaza Ke Baare Me

Namaz_E_Janaza_Ka_Tarika

Namaz E Janaza Farz Kifaya Hain Yani Ek Mard Ya Aurat Bhi Namaz e Maiyat  Padh Le to Baaki Logo Se Farz Sakit Ho Jaenga,

Lekin Agar Kisi Ne Nahi Padha to Sab Log Gunhagar Honge (Isliye Hame Cahiye Ki Hum Namaz E Janaje Me Jarur Shamil Ho).

Agar Aap Janaza Ki Namaz Me Shamil Hote Hain Allah Tala Aap Ko Jannat Ata Fharmaenga.or Khub Sawab Milenga.


( 8 ).  Janaza Ke Namaz Kon Padh Sakta Hain

Namaz_E_Janaza_Ka_Tarika

Namaz e Maiyat Padhne Ka Haq Badhsha E Islam Ko Hain Uske Baad Shar Ke Kazi Ko Hain.

Fhir Imame Jumma Ko Uske Baad Mohalle Ki Masjid Ke Imam Ko Ya Fhir Wali Ko Wali Se Murad Mayyat Ke Ghar Walo Ya Koi Karibi Rishdedar Me Se Koi Agar Beta Aalim E Din Hain.

Ya Hafiz Hain to Beta Janaje Padhenga. Baccho Ko Namaj Janaza Ki Wilayat Nahi Hain.


( 9 ).  Kin Logo Ki Namaz E Janaza Nahi Padhi Jaengi

Namaz_E_Janaza_Ka_Tarika

Har Musalman Ki Namaz E Janaza Padhi Jaae Cahe Wo Kaisa (Kaese Ka Matlab Allah or Uske Rasul Par Iman Rakhta Ho Aur Ahle Sunnat Wal Jamat Par Kayam Ho) Hi Gunhagar Kyu Na Ho.

Lekin Jo Gustakhe Rasul Ho, Allah Ke Shan Me Gustakhi Karta Ho, Allah Ke Nek Bando Ko Gali Galoch Karta Ho, 

Baagi Ho Imam E Barhaq Ke Khilaf Ladhne Ko Nikle Aur Isi  Bagawat Ki Halat Me Mara Jaae, Ya Wah Daku Jo Dakaiti Karte Huwe Mara Jaae. 

Esi Insan Ko Na Gusal Diya Jaae Aur Na in Ki Namaj Janaza Padhi Jaae .

Jis Ne Kai Aadmi Ka Gala Ghot Kar Maar Dala Ho Uski Bhi Namaz e Maiyat Na Padhi Jaae Aur Wo Admi Jisne Apne Maa Baap Ko Maar Dala Ho Uski Bhi Namaz Janaje Nahi Padhi Cahiye.


( 10 ).  Kya Hain Janaze Ko Kandha Dene Ka Tarika

Namaz_E_Janaza_Ka_Tarika

Janaze Ko Kandha Dena Ek Ibadat Hain. Kandha Dene Ka Sunnat Yah Hain. Ki Ek Ke Baad Digar Charo Paayo Ko Kandha De Aur Har Baar Das Das Kadam Chale.

Puri Sunnat Yah Hain Ki Pahle Sidhe Sirhane Kandha De Fhir Sidhi Paiti (Yani Sidhe Pau Ki Taraf) Fhir Ulte Sirhane Fhir Ulti Paiti,

Aur Das Das Kadam Chale to Kul Chalis Kadam Hue. (Bahare Shariat, Ji. 1, S.822) Baaz Log Janaze Ke Julus Me Elan Karte Rahe Hain, 

Do Do Kadam Chalo ! Un Ko Chaiye Ki Is Tarha Elaan Kiya Kare  "Das Das Kadam Chalo."


( 11 ).  Janaze Ko Kandha Dene Ka Sawab

Namaz_E_Janaza_Ka_Tarika

Hadees Paak Me Hai  "Jo Janaze Ko Chalis Kadam Le Kar Chale Us Ke Chalis Kabira Gunha Mita Diye Jaenge, " Niz Hadees Sharif  Me Hani Ki  

Jo Janzae Ke Charo Paayo Ko Kandha De Allah Us Ki Hatmi (Yani Mustkil ) Magfirat Farma Dena. (Bahare Shariat, Ji.1, S.823)


Bismillah Hir Rahman Nir Rahim, To Ye Tha Namaz E Janaza Ka Mukammal Ahle Sunnat Wal Jamat Ke Janib Se Sunni Tarika In Roman English Me. Ishe Jada Se Jada Share Kare Sawab Ke Niyat Se.


COMMENTS

Name

Ala_Hazrat,1,Ala_Hazrat_Shayari,1,Allah_ke_99_naam,1,Aqiqah,2,Aqiqah_Karne_Ka_Tarika_In_Roman_English,1,Auliya,2,Azan,2,Bachho_ki_parwarish,1,Bakra_Eid_Ki_Namaz_Ka_Tarika,1,Chhote_Bacche,1,Dahej_Pratha,1,Darood_Sharif,4,Dua,9,Dua_E_Masura,1,Dua_mangne_ka_Tarika,1,Eid_Ul_Adha_Ki_Namaz_ka_Tarika,1,Eid_ul_Fitr,1,English,3,Fatiha,3,Fatiha_Ka_Tarika_in_Hindi,1,Gaus Paak,6,Images,1,Islami_Malumat,8,Khwaja_Garib_Nawaz,3,lyrics,2,Muharram,4,Namaz,6,Namaz_E_Janaza,1,Parda_Hijab_Burqa_fashion,1,Quotes,1,Quran,3,Rajab,1,Ramaza,17,Ramzan,12,Roman_English,1,Roza,6,Roza_Rakhne_Ki_Dua,1,Roza_Rakhne_Ki_Niyat,1,Salam,1,Salatul_Tasbeeh,1,Sehri,2,Shab_E_Barat,4,Shab_E_Qadr,1,Shaban,2,Shaban_Ki_Fazilat,1,Shayari,2,Surah_Rahman,1,Surah_Yaseen,1,Surah_Yasin,1,Tahajjud_Prayer,3,Taraweeh,1,Turkiey,5,Wazu,1,Yojana,3,
ltr
item
English Irfani Islam: Namaz E Janaza Ka Tarika Or Mayyat Ki Dua In Roman English
Namaz E Janaza Ka Tarika Or Mayyat Ki Dua In Roman English
Namaz E Janaza Ka Tarika, janaza ki dua, namaz e janaza ki niyat, saf ka tarika, qabar par matti dalne ki dua. नमाज ए जनाजा का तारिका, जनाजा की दुआ, न
https://blogger.googleusercontent.com/img/a/AVvXsEgY2XW4HuiZ9dW2GtvUtFE7-sqE668_-mL-NRiT7cwPTvRnePptfvWz9DXqLjacIB-EgPdPq1z4Uowwp_9bBY1qYxHPO6RtZIre5kdWUKwNYZiId_m7DsduYep8c1OMDwcS9d1fPgyOtvIShXtI0o14AfjlsafNXMyLaMntj5bW8bR_kA9brX_rOc5L2A=w400-h225
https://blogger.googleusercontent.com/img/a/AVvXsEgY2XW4HuiZ9dW2GtvUtFE7-sqE668_-mL-NRiT7cwPTvRnePptfvWz9DXqLjacIB-EgPdPq1z4Uowwp_9bBY1qYxHPO6RtZIre5kdWUKwNYZiId_m7DsduYep8c1OMDwcS9d1fPgyOtvIShXtI0o14AfjlsafNXMyLaMntj5bW8bR_kA9brX_rOc5L2A=s72-w400-c-h225
English Irfani Islam
https://english.irfani-islam.in/2021/10/namaz-e-janaza-ka-tarika.html
https://english.irfani-islam.in/
https://english.irfani-islam.in/
https://english.irfani-islam.in/2021/10/namaz-e-janaza-ka-tarika.html
true
3530025783855722225
UTF-8
Loaded All Posts Not found any posts VIEW ALL Readmore Reply Cancel reply Delete By Home PAGES POSTS View All RECOMMENDED FOR YOU LABEL ARCHIVE SEARCH ALL POSTS Not found any post match with your request Back Home Sunday Monday Tuesday Wednesday Thursday Friday Saturday Sun Mon Tue Wed Thu Fri Sat January February March April May June July August September October November December Jan Feb Mar Apr May Jun Jul Aug Sep Oct Nov Dec just now 1 minute ago $$1$$ minutes ago 1 hour ago $$1$$ hours ago Yesterday $$1$$ days ago $$1$$ weeks ago more than 5 weeks ago Followers Follow THIS PREMIUM CONTENT IS LOCKED STEP 1: Share to a social network STEP 2: Click the link on your social network Copy All Code Select All Code All codes were copied to your clipboard Can not copy the codes / texts, please press [CTRL]+[C] (or CMD+C with Mac) to copy Table of Content