Shab E Barat Ki Namaz Ka Tarika, 15 shaban 2022 ki nafhil namaz ka tarika in hindi, roman english, urdu, shabe barat ki nisf dua e shaban, sure yasee
Shab E Barat Ki Sham Yani Shaban Ki 15 Tarikh Ke Magrib Ke Namaz Ke Baad 6 Rakat Is Namaz Ko Ada Kiya Jata Hain. Shaban Ki 15 Tarik Se Lekar to Aane Wale Ek Saal Tak Is Namaz Ke Jariye Allah Se Rozi Me Barakt, Balao Se Hifajat Aur Umar Me Barkat Ke Liye Padhi Jaati Hain.
Inhe Bhi Dekhe :
Shab E Barat Ki 6 Rakat Nafhil Namaz Ka Tarika
Shab E Barat Ki 6 Rakat Namaz Ki Niyat Ka Tarika
1-Maamulaat Auliya Karam Me Se Hai Keh Magrib Ke Farz O Sunnat Namaz Ke Baad 6 Rikat Nafil 2-2 Rakat Kar Ke Ada Kiye Jae.
Pehli 2 Rakat Ki Niyat :-
Niyat - Main Niyat Karta Hu, Shab E Barat Ki 2 Rakat Namaz Nafhil Waste, Darazi Umer Bilkheir Me Barkat, Ke Liye Muh Mera Kaba Sharif Ki Taraf...
Allah Hu Akbar Kah Kar Hath Bandh Le.
Dusri 2 Rakat Ki Niyat :-
Niyat - Main Niyat Karta Hu, Shab E Barat Ki 2 Rakat Namaz Nafhil Waste, Tamam Balao Aur Aafat Se Meri Hifazat, Ke Liye Muh Mera Kaba Sharif Ki Taraf...
Allah Hu Akbar Kah Kar Hath Bandh Le.
Tisree 2 Rakat Ki Niyat :-
Niyat - Main Niyat Karta Hu, Shab E Barat Ki 2 Rakat Namaz Nafhil Waste, Apne Siwa Kisi Ka Mohtaj Na Rakh, Ke Waste Muh Mera Kaba Sharif Ki Taraf...
Allah Hu Akbar Kah Kar Hath Bandh Le.
Shab E Barat Ki 6 Rakat Namaz Padhne Ka Tarika
Jis Tarha Do Rakat Aam Namaz Ada Karte Hain Wayse Hi in 6 Rakat Ko 2-2 Karke Padhe.
Har Do Rakat Namaz Ke Baad Ek Baar Sure Yaseen Padhe, Agar Sure Yaseen Nahi Yaad Hain Ya Padhna Aata Ho to 21 Baar Surah Ikhlas (Kuluallah Hu Ahad) Padhe. Balkeh Ho Sake to Donon Hi Parh Lein.
Is Ke Baad Shaban Ki Dua E Nisf Ek Baar Padhe. (Dua E Nisf Niche Di Gai Hain)
Insha Allah Raat Shuru Hote Hi Sawab Ka Ambaar Lag Jaenga. Har Bar Yaseen Shareef Ke Baad Dua E Nisf Shaban Bhi Padhe.
Shab E Barat Ki 100 Rakat Namaz Fazilat
2 - Hadees Mein Aaya Hai:” Jo Bhi Shaksh Is Raat Me 100 Nawafil Ada Karta Hai, Allah Tala Us Shaksh Ke Liye 100 Farishton Ko Mamur Kar Deta Hai.
30 Ishe Jannat Ki Basharat De, 30 Azaab O Ghazab Se Iman De,
30 Duniya Ki Balao Aur Afaton Se Door Rakhe,
Aur 10 Shaitan Ke Makkar O Fhareb Aur Dhoke Se Bachaen.”
Shab E Barat Ki 6 Rakat Namaz Me Padhi Jane Wali Aaye Aur Duae
Sure Ikhlas In Arabic
بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَـٰنِ ٱلرَّحِيمِ
قُلْ هُوَ ٱللَّهُ أَحَدٌ ٱللَّهُ ٱلصَّمَدُ لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ وَلَمْ يَكُن لَّهُۥ كُفُوًا أَحَدٌۢ
Sure Ikhlas In Roman English
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
Qul huwal laahu ahad, Allah hus-samad, Lam yalid wa lam yoolad, Wa lam yakul-lahoo kufuwan ahad.
Dua e Nisf E Shabaan In Arabic
ادب ليلة النصف من شهر شعبان
ادب الطريقة
قراءة يس ثلاث مرات، المرة الاولى بنية طول العمر بالإسلام والإيمان، والمرة الثانية بنية دفع البلاء عنه وعن الامة المحمدية ، والمرة الثلاثة بنية الرزق والإستغناء عن الناس
و بعد كل مرة تدعوا بهذا الدعاء:
اللهم يا ذا المن لا يمن عليه احد يا ذا الجلال والإكرام يا ذا الطول والأنعام، لا إله إلا أنتَ ظهر اللاجئين وجار المستجيرين وامان الخائفين اللهم ان كنت كتبتني عندك في ام الكتاب شقيا أو محروما أو مطرودا أو مقترا عليّ من الرزق فامح اللهم بفضلك شقاوتي وحرماني وطردي واقتار رزقي وثبتني عندك في ام الكتاب سعيدا ومرزوقا للخيرات فانكَ قلت وقولك الحق في كتابك المنزل على لسان نبيك المرسل يمحوا الله ما يشاء ويثبت وعنده ام الكتاب. إلهي بالتجلي الأعظم في ليلة النصف من شهر شعبان المعظم المكرم التي يفرق فيها كل امر حكيم ويبرم ان تكشف عنا من البلاء ما نعلم وما لا نعلم وما أنتَ به اعلم إنكَ أنتَ الأعز الاكرم. وصلى الله على سيدنا محمد وعلى آله وصحبه وسلم.
Shaban Dua e Nisf In Arabic
Shab E Barat Me Isha Baad Padhi Jaane Wali Nafil Namaz Ka Tarika In Roman Enlgish
1: 12 Rakat Nafl Ki Namaz Padhie, Har Rakat Mein Padhie:. Surah Phatiha (Alahamdu): Ek Bar.
Surah Ikalas: 10 Bar.
Bad Mein Padhen:.
Tisra Kalima (Kalima Tamajid): 10 Bar.
"Subhana-Llahi, Wa-L-Hamdu Li-Llahi, Wa La Ilaha Illa-Llahu, Wa-Llahu Akbar. Wa La Hawla Wa La Quwwata Illa Bi-Llahi-L-Aliyyi-L-Azim"
Chautha Kalima (Kalima Tauhid): 10 Bar.
"La Ilaha Ill-Allahu Wadahu La Sharika Lahu La-Hul-Mulku Wa Lahu'l-Amdu Yuh-Yi Wa Yumitu Wa Huwa Ayyu-Lla Yamutu Abadan Abada, U-L-Jalali Wa-L-Ikram, Biyadihi-L-Khayr, Wa Huwa Ala Kulli Shayin Qadir"
Darud Sharif : 100 Bar.
2: Char Salam Ke Sath 8 Rakat Naphl Ki Namaz Padhen.
Har Rakat Mein Padhe.
Surah Fatiha : Ek Bar.
Surah Ikhalas : 11 Bar.
Hazarat Fatima Ra.a. Maravi Hain Ki Jo Koi Bhi Shab-E-Barat Par Is Namaz Ko Padega Aur Is Namaz Ka Savab Hazarat Fatima Ra.a. Ko Isaka Isale Savab Karenga , Main Usaki / Usaki Gunaho Ki Maphi Ke Lie Allah Ke Baragah Mein Sipharish Karungi.
3: Hazarat Mohammad Sallallaho Alaivasallam Is Raat Ko Is Dua Ko Kasarat Se Padhate The, Hamen Bhi Aisa Hi Karana Chahie:.
"Allahumma Inni Al-Aloka Afwa Wal Afiyata Wal Muafatad-Daimata Fid Dunya Wal Akhirah"
4: Har Rakat Mein 100 Rakat Naphil Namaz Mein Padhen:.
Surah Fatiha : Ek Bar.
Surah Ikalas : 10 Bar.
Shab-E-Barat Ke Din Is Namaz Ko Padhane Vale Ko Allah Taala Ki Beshumar Barakate , Rahamate Milengi Aur Usaki Dua Kabul Ki Jaegi Aur Use Dojakh Ki Ag Se Bakash Diya Jaega Aur Vah Jannat Mein Jaega.
Dua: Allahumma Inna-K Afuwun Karimun Tuhibbul Aff-Va Fafu Aanni Ya Gaffuru Ya Gaffuru Ya Gaffuru
Shaban Ki Chaudavi 14 Aur Pandravi 15 Tarikh Yani Shaban Ki Raat Aur Pandravi Ka Deen, Me Fazilat O Barkat Wali Woh Raat Aati Hai Jise Shab E Barat Kaha Jata Hain.
Barat Ke Maane Kisi Ko Kisi Jimme Daari Se Aazad Kar Dene Ko Kahte Hain.
Is Ko Awam Unnas Shab Barat Kehte Hain Jis Ke Beshumar Ausaaf Biyan Huye Hain.ozi Karne Wala”.
COMMENTS