Wazu Ka Tarika Step By Step In Roman English Wadhu Fazilat

wazu ka tarika step by step in roman english In aur waju ki fazilat, wudhu ke farz sunnat, makruhat, Mustahabb wikipedia - irfani-islam

Wazu Ka Tarika Ke Fazilat Wudu Ke Farz Sunnat Makruhat Mustahabb

Wazu-Ka-Tarika
 Wazu-Ka-Tarika

Wazu Ka Tarika - Hazrate Sayyiduna Usmane Gani Ne Ek Baar Ek Makam Par Pahuch Kar Pani Mangwaya or Waju Kiya Fhir Achanak Muskurane or Rufaka (Sahaba Iqram) Se Farmane Lage :

Jante Ho Main Kyu Muskuraya ?

Fhir Khud Hi Is Suwal Ka Jawab Dete Hue Farmaya : Main Ne Dekha Sarkare Do Alam Ne Wazu Farmaya Tha or Baad Wazoo Ke Faragat Muskurae The, Wazu Ke Baad Farmaya :

Or Sahaba E Kiram Jante Ho Main Kyu Muskuraya ?

Fhir Mohammad Mustafa Ne Khud Hi Farmaya :

" Jab Admi Wazu Karta Hain to Cahera Dhone Se Cahere Ke or Hanth Dhone Se Hantho Ke or Sar Ka Masha Karne Se Sar Ke or Paaun Se Paun Ke Gunha Zhadh Jaate Hain. "


Ba Wazu Rahne Ki Fazilat  

Baa Wazu Sone Ki Fazilat :

Hadees Paak Me Hain : Ba Wazu Sone Wala Roza Rakh Kar Ibadat Karne Wale Ki Tarha Hain.


Ba Wazu Marne Wala Shahid Hain :

Hazrat Mohammad Mustafa Sallallaho Tala Alaywasallam Ne Hazrate Sa

Beta ! Agar Tum Hamesha Ba Wazoo Hone Ki Istita-At Rakho to Aisi Hi Karo Kyunki Malukul Maut Jis Bande Ki Halate Wazu Mein Kabz Karta Hai. 

Uske Liye Shahadat Likh Di Jaati Hai. Mere Aaka Ala Hazrat Imam Ahmad Razz Khan  Farmate Hain. Hamesha Ba Wazoo Rahna Musthab Hain.



Wazu Ka Tarika (Hanfi) Tariqa In Roman English

( 1 ). Kabatullah Sharif Ki Ki Taraf Karke a Unchi Jagah Baithana Mustahab Hai

  • Wazu Ki Niyat
Wazu-Ka-Tarika
waju_kaise_kare_female

( 2 ). Wazu Ke Liye Niyat Karna Sunnat Hai, Niyat Na Ho Tab Bhi Vaju Ho Jaega, Magar Sawab Nahin Milega. 

 Niyat Dil Ke Irade Ko Kahate Hain. Dil Mein Niyat Hote Hue Jaban Se Bhi Kha Lena Afzal Hai. 

 Ya Jaban Se Is Tarah Niyat Kijiye Ki Main Hukme Ilahi Laane Aur Pakhi Hasil Karne Ke Liye Wazu Kar Raha Hun.

  • Hath Dhona
( 3 ). Ab Donon Hath Tin-Tin Bar Pahunch Tak Dhoiye, (Nal Band Kar Ke) Dono Hathon Ki Ungliyon Ka Khilal Bhi Kijiye.

  • Miswak Karna
Wazu-Ka-Tarika
waju_kaise_kare_female

( 4 ). Kam Se Kam Teen-Teen Bar Dae Bae Upar Niche Ke Danton Mein Miswak Kijiye Aur Har Bar Miswak Ko Dho Lijiye. 

Hujjatul Islam Hazrate Syed Na Imam Muhammad Bin Mohammed Bin Mohammed Gazali Farmate Hai : “ Miswak Karte Waqt Namaz Mein Quran Majeed Ki Qirat Aur Jikrullah Ke Liye Munh Park Kar Dene Ki Niyat Karni Chahie. “

  • Kulli Karna
Wazu-Ka-Tarika
waju_kaise_kare_female

( 5 ). Ab Sidhe Hath Ke Teen Chullu Pani Se (Har Bar Naal Band Karke) Is Tarah Teen Kuliya Kijiye Ki Har Bar Muh Ke Har Purje Par (Hulk Ke Kinare Tak) Pani Bhar Jaaye. Agar Roza Na Ho to Gharara Bhi Kar Lijiye.

  • Naak Mein Pani Chadhana
Wazu-Ka-Tarika
waju_kaise_kare

( 6 ). Fir Sidhe Hi Hath Ke Teen Chullu (Ab Har Bar Aadha Chullu Pani Kafi Hai) Se (Har Bar Nal Band Karke) Teen Bar Naak Mein Naran Gosht Tak Pani Chadhe Aur,
Agar Rojana Ho to Nak Ki Jad Tak Pani Pahuchaiye.

( 7 ). Ab (Nal Band Karke) Ulte Hath Se Naak Saaf Kar Lijiye Aur Chhoti Ungali Nak Ke Surakho Mein Daliye.

  • Chehra Dhona
Wazu-Ka-Tarika
waju_kaise_kare

( 8 ). Teen Baar Sara Chehra Is Tarah Dhoiye Ki Jahan Se a Aadatan Sar Ke Bal Ugana Shuru Hote Hain.

Vahan Se Lekar Thodi Ke Niche Tak Aur Ek Kaan Ki Lao Se Dusre Kan Ki Lao Tak Har Jagah Pani Bah Jaaye. Agar Dadhi Hai,

Aur Ehram Bandhe Hue Nahin Hai Tu, (Nal Band Karne Ke Bad) Is Tarah Khilal Kijiye Ki Ungaliyon Ko Gale Ki Taraf Se Dakhil Kar Ke Samne Ki Taraf Nikaliye.

  • Hanth Dhona
Wazu-Ka-Tarika
waju_ka_tarika_roman_English

( 9 ). Phir Pahle Sidha Hath Ungaliyon Ke Sire Se Dhona Shuru Kar Ke Kohniyon Samet Teen Baar Dhoiye. Isi Tarah Fir Ulta Hath Dho Lijiye Donon Hath Aadhe Baju Tak Dhona Mustahab Hai. 

(Aksar Log Chullu Mein Pani Lekar Pahunche Se 3 Bar Chhod Dete Hain Ki Kohniyon Tak Bahata Chala Jata Hai. 

Is Tarah Karne Se Kohani Aur Kalai Ke Karvaton Par Pani Ka Andesha Hai Lihaja Byan Karda Tarike Par Hath Dholijiye. 

Ab Chullu Bhar Kar Kohni Tak Pani Bahane Ki Hajath Nahin Balke (Bigair Ijaajat Sahiha Aisa Karna) Yah Pani Ka Israf Hai.

  • Sar Ka Masah Karna
Wazu-Ka-Tarika
waju_ka_tarika_roman_English

( 10 ). Aap (Nal Band Karke Ke) Sar Ka Masah Is Tarah Kijiye Ki, Donon Angutho Aur Kalime Ki Ungaliyon Ko Chhod Kar Donon Hath Ki Teen Teen Ungaliyon Ke Sire Ek Dusre Se Mila Lijiye. 

 Aur Peshani Ke Bal Ya Khal Par Rakh Kar Khinchte Hue Guddi Tak Is Tarah Le Jaaiye Ki Hatheli Sar Se Juda Rahe, 

Fir Guddi Se Hatheliya Khinchte Hue Peshani Tak Le Aayi, Kalime Ki Ungaliya Aur Anguthe Is Dauran Sar Per Bilkul Mas Nahin Hone Chahie (Lagne Nahin Chahie).
Fir Kalime Ki Ungliyon Se Kaano Ki Andruni Sa Ka Aur Angutha Se Kano Ki Bahari Satah Ka Masah Kijiye, 

Aur Zhugliya(yani Choti Ungaliyan) Kaano Ke Surakho Mein Dakhil Kijiye Aur Ungliyon Ki Pusht Se Gardan Ke Pichhle Hisse Ka Masah Kijiye. 

 ( Kuch Log Gale Ka Aur Dhule Hue Hathon Ki Kohniyon Aur Kalaiyon Ka Masah Karte Hain Ya Sunnat Nahin Hai.) 

Sar Ka Masah Karne Se Pahle Toti Acchi Tarah Band Karne Ki Aadat Bana Lijiye Bila Wajha Nal Khula Chod Dena Yah Adhura Band Karna Ya Pani Tapak Kar Barbad Hota Rahe Jaya Israf Wa Gunah Hai.

  • Pair Dhona
Wazu-Ka-Tarika
waju_ka_tarika_roman_English

( 11 ). Pahle Sidha Fir Ulta Paun Har Bar Ungaliyon Se Shuru Kar Ke Takhno Ke Upar Tak Balki Mustahab Hi Ki Aadhi Pindali Tak Teen-Teen Bar Dho Lijiye.
 
Donon Paon Ki Ungaliyon Ka Khilal Karna Sunnat Hai. (Khillal Ke Dauran Nal Band Rakhiye) Khilal Ka Msutahab Tarika Ye Hai : Ki Ulte Hath Ki Zhuggiyaka Khilal Shuru Kar Ke Anguthe Par Khatam Kijiye,

or Ulte Hi Hanth Ki Zhuggiya Se Ulte Paon Ke Anguthe Se Surua Kar Ke Zhuggiya Par Khatam Kar Lijiye. 

(Aammae Kutub) Huzutul Islam Hazrate Sayyiduna Imam Muhamma Bin Muhammad Bi Muhammad Gazali Farmate Hain : Wazu Ke Tarike Me Har Uzw (Body Parts) Dhote Waqt Ye Ummed Karta Rahe Ki Mere Is Uzw Ke Gunha Nikal Rah Hain.


Wazu Ke Faraiz Aur Sunnat


Wazu Ke Farz

Wazu-Ka-Tarika  Wazu-Ka-Tarika

waju_ka_tarika_roman_English
  • Sawal : Wazu Ke Kitne Farz Hai? 
  • Jawab : Wazu Ke 4 Farz Hain.

( 1 ).  Cahera Dhona

( 2 ).   Kohniyo Samet Dono Hanth Dhona

( 3 ).   Cauthai Sar Ka Mash Karna

( 4 ).  Takhano Samet Dono Paon Dhona


(  Bahare Shariat , Ji . 1 , 288)



Wazu Ki Sunnat

Wazu-Ka-Tarika
waju_ka_tarika_roman_English

  • Sawal : Wazu Ke Kitne Sunnat Hain?
  • Jawab : Wazu Ke 14 Sunnat Hain.

( 1 ).  Niyat Karna

( 2 ).  Bismillah Padhna. (Agar Wazu Se Pahle Bismillah Ir Rahman Nir Rahim Kah Le to Jab Tak Baa Wazoo Rahege Farishte Nekiyan Likhte Rahenge.)

( 3 ).  Dono Hanth Pahuncho Tak Teen Teen Baar Dhona.

( 4 ).  Tin Baar Miswak Karna.

( 5 ).  Tin Chullu Se Tin Baar Kulli Karna.

( 6 ).  Roza Na Ho to Gargarra Karna.

( 7 ).  Tin Chullu Se Tin Baar Naak Me Pani Chadhana.

( 8 ).  Dhadi Ho to (Ehram Me Na Hone Ki Surat Me) Ush Ka Khilal Karna.

( 9 ).   Hanth Ki Ungliyo Ka Khilal Karna.

( 10 ).   Paon Ki Ungliyon Ka Khilal Karna.

( 11 ).   Pure Sar Ka Ek Hi Baar Masah Karna.

( 12 ).   Kano Ka Masah Karna.

( 13 ).  Faraiz Me Tartib Kaim Rakhna (Yani Farz Aaza Me Pahle Muh Fhir Hanth Kohniyo Samet Dhona, Fhir Sar Ka Masah Karna or Fhir Paon Dhona ) Aur

( 14 ).  Pae Dar Pae wazu Karna Yani Uzw Sukhne Na Paae Ji Dusra Uza Dho Lena.

( Bahare Shariyat , Ji . 1 , S .293 , 294 Mulkh Khasan) 



Wazu Ke Mustahabbat / Mustahabat

Wazu-Ka-Tarika
waju_ka_tarika_roman_English

  • Sawal : Wazu Me Kitne Mustahabbat Hain?


( 1 ).  Kibla Ruh

( 2 ).  Uchi Jagha

( 3 ).  Baithna

( 4 ).  Pani Bahate Waqt Aaza Par Hath Fhairna.

( 5 ).  Itminan Se Wazu Karna.

( 6 ).  Aazae Wazoo Par Pahle Pani Chupad Lena Khususan Sardiyo Me

( 7 ).  Wazu Karne Me Bigair Jarurat Kisi Se Madad Na Lena

( 8 ).  Sidhe Hanth Se Kulli Karna.

( 9 ).  Sidhe Hanth Se Naak Me Pani Chadhana.

( 10 ).  Ulte Hath Se Naak Saaf Karna

( 11 ).  Ulte Hanth Ki Zhuggiya Naak Me Dalna

( 12 ).  Ungliyo Ki Pusht Se Gardan Ki Pusht Ka Masah Karna

( 13 ).  Kano Ka Masah Waqt Bhigi Hui Zhuggiya (Yani Choti Ungliya) Kano Ke Surakho Me Dakhil Karna.

( 14 ).  Anguthe Ko Harkat Dena Jab Ki Dhili Ho Aur Yeh Yakin Ho Ki Is Ke Niche Pani Bah Gaya Hain, Agar Sakhat Ho to Harkat De Kar Anguthe Ke Niche Pani Bahana Farz Hain.

( 15 ).  Majure Shar Ee Na Ho to Namaz Ka Waqt Shuru Hone Se Pahle Hi Wadhu Kar Lena.

( 16 ).  Jo Kalima Taur Par Wadhu Karta Ha Yani Jis Ki Koi Jagha Pani Bahne Se Na Rah Jaati Ho Us Ka Kuaa (Yani Naak Ki Taraf Aankho Ke Dono Kano ) Takhno, Edhiyo, Talwo, Kuncho (Yani Edhiyon Ke Upar Mote Paththe) Ghaiyo (Yani Ungliyo Ke Darmiyan Wali Jagho ) 

or Kohniyo Ka Khususiyat Ke Sath Khayal Rakhna or Khayali Karne Walo Ke Liye to Farz Hain Ki in Jagho Ka Khas Khayal Rakhe Ki Aksar Dekha Gaya Hain Ki Ye Jaghe Khushq Rah Jaati Hain or Ye Be Khayali Hi Ka Natija Hai Esi Be Khayali Haram Hai or Khayal Rakhan Farz Hain

( 17 ).  Wadhu Ka Lota Ulti Tarfa Rakhiye Agar Tsht Ya Patli Wagera Se Wadhu Kare to Sidhe Janib Rakhiye

( 18 ).  Cahera Dhote Waqt Peshani Par Is Tarha Fhaila Kar Pani Dhalana Ki Upar Ka Kuch Hissa Bhi Dhul Jaae.

( 19 ).  Cahera or 

( 20 ).  Hanth Paon Ki Roshni Wasia Karna Yani Jitni Jagh Pani Bahana Farz Hain Us Ke Atraaf Me Kuch Badhana Maslan Hanth Kohni Se Upar Aadhe Baaju Tak or Pau Takhno Se Upar Aadhi Pindli Tak Dhona Karte

( 21 ).  Dono Hanth Se Muh Dhona

( 22 ).  Hanth Paon Dhone Me Ungliyo Se Shuru Karna 

( 23 ).  Har Uzw Dhone Ke Baad Uspar Hanth Fher Kar Bunde Tapka Dena Taki Badan Ya Kapde Par Na Tapke Khusu-san Jan Ki Masjid Me Jana Ho Ki Farsh Masjid Par Wadhu Ke Pani Ke Katre Girana Makruhe Tahrimi Hain.

( 24 ).  Har Uzw Ke Dhote Waqt Aur Masah Karte Waqt Niyate Wadhu Me Hazir Rahna 

( 25 ).  Ibtida Me Nismillah Ke Sath Sath Darood Sharif Aur Kalimae Sahadat Padh Lena.

( 26 ).  Azae Wadhu Bila Jarurat Na Pochiye Agar Pochana Ho Tab Bhi Bila Jarurat Bilkul Khushk Na Kijiye Kuch Gila Pan Baaki Rakhiye Ki Baroze Qayamat Nekiyo Ke Paldhe Me Rakhi Jaengi.

( 27 ).  Waju Ke Baad Hath Na Zhatke Ki Shaitan Ka Pankha Hain.

( 28 ).  Baade Waju Miyani (Yani Pajame Ka Wo Hissa Jo Peshab Gah Ke Karib Hota Hain) Par Panni Chidakna. 

(Pani Chidakte Waqt Miyani Ko Kurte Ke Daman Me Chupane Rakhna Munasib Hain, Nij Waju Karte Waqt Bhi Bakli,

Har Waqt Parde Me Parda Karte Hue Miyani Ko Kurte Ke Darmiyan Ya Chadar Wagera Ke Jariye Chupae Rakhna Haya Ke Karbi Hain.)

( 29 ).  Agar Makruhat Waqt Na Ho to Do Rakat Nafal Adha Karna Jise Tahiyyutul Waju Kahte Hain 


( Bahare Shariat, Ji . 1 , S . 293,300) 



Wazu Ke Makruhat

Wazu-Ka-Tarika
waju_ka_tarika_roman_English

  • Sawal : Wazu Ke Kitne Makruhat Hain?
  • Jawab : Wazu Ke 16 Makruhat Hain.


( 1 ).  Waju Ke Liye Napak Jagha Par Baithna

( 2 ).  Napak Jagha Waju Ka Pani Girna

( 3 ).  Aajae Waju Se Lote Wagera Me Katre Tapkana (Muh Dhote Waqt Bhare Hue Chullu Me Umooman Cahere Se Pani Ke Katre Girte Hain Is Ka Khayal Rakhiye)

( 4 ).  Kible Ki Taraf Thukna Ya Balgam Dalna Ya Kulli Karna

( 5 ).  Be Jarurat Dunya Ki Baat Karna

( 6 ).  Jiyada Pani Kharch Karna (Sadrushshariat Mufti Muhammad Amjad Ali Aazmi Bahare Shariat Mukharraz Kild Awwal Safha 302, 303 Par Farmate Hain : Wazu Ke Tarika Me Naak Me Pani Dalte Waqt Aadha Chullu Kaafi Hain to Ab Pura Chullu Lena Israf Hai)

( 7 ).  Itna Kam Pani Kharch Karna Ki Sunnat Adha Na Ho (Toti Na Itna Jiyada Khole Ki Pani Hazat Se Jiyada Gire Na Itni Kam Khole Ki Sunnat Bhi Adha Na Ho Balki Mutwassit Ho)

( 8 ).  Munh Par Pani Marna

( 9 ).  Munh Par Pani Dalte Waqt Fhukna 

( 10 ).  Ek Hanth Se Muh Dhona Ki Rifaz Wa Hunudh Ka Shikar Hain

( 11 ).  Gale Ka Masah Karna

( 12 ).  Ulte Hanth Se Kulli Karna Ya Naak Me Pani Chadana

( 13 ).  Sidhe Hanth Se Naak Saaf Karna

( 14 ).  Tin Jadid Paniyo Se Tin Baar Sar Ka Masah Karna

( 15 ).  Dhup Ke Garm Pani Se Waqu Karna

( 16 ).  Honth Ya Aankhe Se Band Karna or Agar Kuch Sukha Rah Gaya to Waju Hi Na Hoga. Wazu Ki Har Sunnat Ka Tark Makruh Hain Ishi Tarha Har Makruh Ka Tark Sunnat

( Bahare Shariat , Ji . 1 , S . 300, 301)


Bismillah Hir Rahman Nir Rahim, To Nazrin Ye Tha Wazu Ka Tarika In Roman English Me Jo Ap Ke Peshe Khidamt Rakha Gaya. Ishe Sawab Ke Niyat Ke Sath Share Kare.



COMMENTS

Name

Ala_Hazrat,1,Ala_Hazrat_Shayari,1,Allah_ke_99_naam,1,Aqiqah,2,Aqiqah_Karne_Ka_Tarika_In_Roman_English,1,Auliya,2,Azan,2,Bachho_ki_parwarish,1,Bakra_Eid_Ki_Namaz_Ka_Tarika,1,Chhote_Bacche,1,Dahej_Pratha,1,Darood_Sharif,4,Dua,9,Dua_E_Masura,1,Dua_mangne_ka_Tarika,1,Eid_Ul_Adha_Ki_Namaz_ka_Tarika,1,Eid_ul_Fitr,1,English,3,Fatiha,3,Fatiha_Ka_Tarika_in_Hindi,1,Gaus Paak,6,Images,1,Islami_Malumat,8,Khwaja_Garib_Nawaz,3,lyrics,2,Muharram,4,Namaz,6,Namaz_E_Janaza,1,Parda_Hijab_Burqa_fashion,1,Quotes,1,Quran,3,Rajab,1,Ramaza,17,Ramzan,12,Roman_English,1,Roza,6,Roza_Rakhne_Ki_Dua,1,Roza_Rakhne_Ki_Niyat,1,Salam,1,Salatul_Tasbeeh,1,Sehri,2,Shab_E_Barat,4,Shab_E_Qadr,1,Shaban,2,Shaban_Ki_Fazilat,1,Shayari,2,Surah_Rahman,1,Surah_Yaseen,1,Surah_Yasin,1,Tahajjud_Prayer,3,Taraweeh,1,Turkiey,5,Wazu,1,Yojana,3,
ltr
item
English Irfani Islam: Wazu Ka Tarika Step By Step In Roman English Wadhu Fazilat
Wazu Ka Tarika Step By Step In Roman English Wadhu Fazilat
wazu ka tarika step by step in roman english In aur waju ki fazilat, wudhu ke farz sunnat, makruhat, Mustahabb wikipedia - irfani-islam
https://blogger.googleusercontent.com/img/a/AVvXsEg4IWxmOAiC8tqsljKXFgO4Gu2GPYsOjilxlZeCdofMyD6WjVnyhL-q0gziSqfCWVxiScB8fHB66SOSS8_vs0aa0xy8UXJ4Amz5pQ3wOOed4-XUN2J8AZk884sbkMbBDWeCvjF7LX2FuGDcK4CfPXikg5C0yz1JJ1ZbwqdkjWqeqdMtv3meCuh3_dZhhA=s16000
https://blogger.googleusercontent.com/img/a/AVvXsEg4IWxmOAiC8tqsljKXFgO4Gu2GPYsOjilxlZeCdofMyD6WjVnyhL-q0gziSqfCWVxiScB8fHB66SOSS8_vs0aa0xy8UXJ4Amz5pQ3wOOed4-XUN2J8AZk884sbkMbBDWeCvjF7LX2FuGDcK4CfPXikg5C0yz1JJ1ZbwqdkjWqeqdMtv3meCuh3_dZhhA=s72-c
English Irfani Islam
https://english.irfani-islam.in/2021/10/wazu-ka-tarika.html
https://english.irfani-islam.in/
https://english.irfani-islam.in/
https://english.irfani-islam.in/2021/10/wazu-ka-tarika.html
true
3530025783855722225
UTF-8
Loaded All Posts Not found any posts VIEW ALL Readmore Reply Cancel reply Delete By Home PAGES POSTS View All RECOMMENDED FOR YOU LABEL ARCHIVE SEARCH ALL POSTS Not found any post match with your request Back Home Sunday Monday Tuesday Wednesday Thursday Friday Saturday Sun Mon Tue Wed Thu Fri Sat January February March April May June July August September October November December Jan Feb Mar Apr May Jun Jul Aug Sep Oct Nov Dec just now 1 minute ago $$1$$ minutes ago 1 hour ago $$1$$ hours ago Yesterday $$1$$ days ago $$1$$ weeks ago more than 5 weeks ago Followers Follow THIS PREMIUM CONTENT IS LOCKED STEP 1: Share to a social network STEP 2: Click the link on your social network Copy All Code Select All Code All codes were copied to your clipboard Can not copy the codes / texts, please press [CTRL]+[C] (or CMD+C with Mac) to copy Table of Content