Sunni Namaz Ka Tarika In Roman English Step By Step

sunni namaz ka tarika step by step in English hindi, Namaz Ki Niyat, Rakat, Shart, Wazu, Gusal, Namaz Ka Matlab Kya Hai, Azan Ke Baad Ki Dua, Tasbeeh

Namaz Ka Tarika Har Momin Mard Aurat Par Sikhna Farz Hain. or Islam Me Pach Farz Me Se Ek Farz Namaz Hain Is Liye Namaz Ka Tarika Sikhana Jaruri Hain. Namaz Kayam Karo.

Huzur Sallallaho Alay Wasallam Ne Irshad Farmaya Ki Namaz Meri Aankho Ki Thandak Hain.

Duniya Me Har Musalman Mard Aurat Par Quran Me Namaz Farz Ki  Gai Hain, Namaz Ko Jo Bhi Musalman Nahi Padhta Hain Wo Allah Ki Nazar Me Sabse Niche Hain.

Isliye Sabhi Ko 5 Waqt Ki Namaz Adha Karni Chaiye . Lekin Bahut Se Logo Ko Namaz Padhne Ka Tarika Nahi Pata Hain. Ish Post Me Ap Ko Nama Ka Sahi  Tarika Bataya Gaya Hain Roman Enlgish Me Wo Bhi Asan Tarike Se. 

Sunni_Namaz_Ka_Tarika_In_Roman_English_Step_By_Step

Sunni Namaz Ka Tarika In Roman English Step By Step

Sunni_Namaz_Ka_Tarika_In_Roman_English_Step_By_Step

Namaz Ka Matlab Kya Hai ?

Namaz Yah Islam Ke 5 Farjo Me Se Ek Farz Hain or Ye Har Momin Mard or Aurat Par Farz Hain or Har Haal Me Ishe Adha Karna Ye Har Momin Ka Farz Hain.

Allah Ki Raza Hain. Hazrat Mohammad Mustafa Sallallaho Alay Wasallam Ki Aankho Ki Thandak Hai.

Ye Bhi Dekhe :

Namaz Ka Tarika Asan Sunni 

Namaz Padhne Ka Tarika Bahut Asan Hain. Namaz Ya to 2 Rakat Ki Hoti Hain Ya 3 Ya 4 Rakat Ki. Ek Rakat Me Kayam, Ek Ruku or Do Sajde Hote Hain.


Namaz Padhne Ka Tarika Step By Step :

Sunni_Namaz_Ka_Tarika_In_Roman_English_Step_By_Step

(1). Amaz Ke Liye Kibla Rukh Hokar Namaz Ka Irade Ke Sath Allah Hu Akbar Kah Kar Takbir Haath Baadh Lijiye.


(2). Hath Bandhne Ke Baad Sana Padiye. Aapko Jo Bhi Sana Aata Ho Wo Sana Aap Padh Sakte Hain.


(3). Sana Ke Mashhur Alfaz Is Tarha Hain. "Subhanakallahumma Wa Bihamdika Wa Tabarakasmuka Wa Taala Jadduka Wala Ilaha Ghayruk."


(4). Iske Baad Tawwuz Padhe. Tawwuz Ke Alfaz Yah Hain. "Auzubilahi Minash Shaytan Nirrazim Bismillahi Rrahman Nir Rahim"


(5). Iske Baad Sura Fatiha Padhe. (Sure Fatiha Niche Likhi Gai Hain)


(6). Surah Fatiha Ke Baad Koi Ek Sura or Padhe. (Niche Namaz Me Padhe Jaane Wale Diye Gae Hain.)


(7). Iske Baad Allah Hu Akbar [Takbir] Kah Kar Ruku Me Jaaye.


(8). Ruku Me Jane Ke Baad Allah Ki Tasbi Bayan Kare. Aap Jo Alfaz Me Chae Allah Ki Tasbih Bayan Kar Sakte Hain. Tasbih Ke Mashhur Alfaz Yah Hain, "Subhan Rabbial Azim"


(9). Iske Baad "Samialahhu Liman Hamida" Kahte Huwe Ruku Se Khade Ho Jae


(10). Khade Hone Ke Baad "Rabbna Wa Lakal Hamd, Hamdan Kasiran Mubarakan Fiha" Jaruru Kahe.


(11). Iske Baad Allah Hu Akbar Kahte Hue Sajde Me Jaae.


(12). Sajde Me Fir Se Allah Ki Tasbih Bayan Kare. Aap Jo Alfaz Me Chahe Allah Ki Tasbhi Bayan Kar Sakte Hain. Tasbhi Ke Mashhur Alfaz Yah Hain. "Subhan Rabbi Al Aala"


(13). Iske Baad Allah Akbar Kahte Hue Sajde Se Uthkar Baite.


(14). Fhir Dobara Allah Hu Akbar Kahte Hue Sajde Me Jaae.


(15). Sajde Me Fhir Se Allah Ki Tasbhi Kare. Aap Jo Alfaz Me Chae Allah Ki Tasbhi Bayan Kar Sakte Hain. Ya Fhir Wahi Kahe Jo Aam Taur Par Sabhi Kahte Hain, "Subhan Rabbi Al Aala"


(16). Tashhud Me Baith Kar Sabse Pahle Atiyaat Padhiye(Niche Atiyaat DI Gai Hain Aap Ek.)


(17). Iske Baad Darood Ibrahim Padhe. (Niche Daoord Ibrahim DI Gai Hain Aap Ek.)


(18). Iske Baad Dua E Msura Padhe. Matlab Koi Bhi Esi Dua Jo Qurani Suro Se Hat Kar Ho . Wo Dua Quran Me Se Naa Ho. 

Aam Taur Par Sunni Olma Dua E Qunoot Padhi Jaati Hain. Agar Dua E Qunoot Nahi Yaad Ho to Yaha Dua Padhe(Niche Dua E Qunoot DI Gai Hain Aap Ek.)


(19). "Rabbana Atina Fid Dunya Hasanatan Wa Fil Aakhirati Hasanatan Waqina ‘Adhaban-Nar"


(20). Is Tarha Se Do Rakat Namaz Padh Kar Aap Salam Fher Sakte Hain. "Assalamu Alaykum W Rahmatullah" Kahkar Aap Sidhe or Ulte Janib Salam Fhere.


Tin Rak'aat Namaz Ka Tarika :

Sunni_Namaz_Ka_Tarika_In_Roman_English_Step_By_Step

Dho Rak'aat Namaz Padhne Ke Baad Tashhudh Me Sirf Atiyat Padh Le or Fhir Tisre Rak'aat Padhne Ke Liye Uth Kar Khade Ho Jaae. 

Is Rak'aat Me Sirf Sure Fatiha Padhe or Ruku Ke Baad Do Sajde Kar Ke Tashhudh Me Baithe. Tashhudh Ushi Tarha Padhe Jayse Upar Sikhaya Gaya Hai.

Or Atihiyaat, Darood or Dua E Masura Padhne Ke Baad Salam Fher De.


Char Rak'aat Namaz Ka Tarika :

Sunni_Namaz_Ka_Tarika_In_Roman_English_Step_By_Step

Do Rak'aat Namaz Padhne Ke Baad Tashhudh Me Sirf Atihiyat Padh Le or Fhir Tisre Rak'aat Pahdne Ke Liye Uth Kar Khade Ho Jaae. 

Is Rak'aat Me Sirf Sure Fatiha Padhe or Usku Ke Baad Do Sajde Kar Ke Chuthi Rak'aat Ke Liye Khade Ho Jae. Chuti Rak'aat Bhi Wayse Hi Padhe Jayse Tisri Rak'aat Padhi Gai Hain. 

Chouthi Rak'aat Padhne  Ke Baad Tashhudh Me Baithe. Tashhudh Ushi Tarha Pahde Jayse Upar Sikhaya Gaya Han.

Or Atihiyaat, Darood Sharif or Dua E Masura Padhne Ke Baad Salam Fhrer De.


Namaz Ki Kuch Surah :

Sunni_Namaz_Ka_Tarika_In_Roman_English_Step_By_Step

Yun to Quran Ki Har Suarh Namaz Me Padhi Jaa Sakti Hain, Lekin Hum Yaha Sirf 5 Hi Surto Ka Zikar Kar Rahe Hain Jo Bahut Hi Asan Hain or Aksar Inhe Namaz Me Padh Jaata Hain

Namaz Me Padhi Jane Wali Kuch Surate

Namaz Qaim Karo Ayat :

Surah Al-Fatiha :

Sunni_Namaz_Ka_Tarika_In_Roman_English_Step_By_Step

Bismillaahir Rahmaanir Raheem

Alhamdu lillaahi Rabbil 'aalameen Ar-Rahmaanir-Raheem Maaliki Yawmid-Deen Iyyaaka na'budu wa lyyaaka nasta'een Ihdinas-Siraatal-Mustaqeem Siraatal-lazeena an'amta 'alaihim ghayril maghdoobi 'alaihim wa lad-daaalleen.


Surah Al-Ikhlas :

Sunni_Namaz_Ka_Tarika_In_Roman_English_Step_By_Step

Bismillaahir Rahmaanir Raheem  Qul huwal laahu ahad Allah hus-samad Lam yalid wa lam yoolad Wa lam yakul-lahoo kufuwan ahad.


Surah Al-Falaq :

Sunni_Namaz_Ka_Tarika_In_Roman_English_Step_By_Step

Bismillaahir Rahmaanir Raheem 

Qul a'oozu bi rabbil-falaq Min sharri maa khalaq Wa min sharri ghaasiqin izaa waqab Wa min sharrin-naffaa-saati fil 'uqad Wa min sharri haasidin izaa hasad.


Surah An-Nas :

Sunni_Namaz_Ka_Tarika_In_Roman_English_Step_By_Step 

Bismillaahir Rahmaanir Raheem  

Qul a'oozu birabbin naas Malikin naas Ilaahin naas Min sharril waswaasil khannaas Allazee yuwaswisu fee sudoorin naas Minal jinnati wannaas.


SURAH AL-KAUSER :

Sunni_Namaz_Ka_Tarika_In_Roman_English_Step_By_Step 

Bismillaahir Rahmaanir Raheem  

nnaa a’taina kal kauthar Fa salli li rabbika wanhar Inna shani-aka huwal abtar.


Attahiyat Lillahi Wa Salawatu :

Sunni_Namaz_Ka_Tarika_In_Roman_English_Step_By_Step

[Do Rakat Ke Baad Tashhud  Me (Baith Kar) Padhi Jane Wali Dua.]

Bismillaahir Rahmaanir Raheem  

Attahiyyaatu Lillahi Wa-Ssalawaatu Wa-Ttayyibaatu

As-Salamu ‘Alayka Ayyuhan-Nabiyyu Wa-Ra’hmatullahi Wabarakaatuhu

As-Salamu ‘Alayna Wa-‘Ala ‘Ibadillahi-Ssaaleheen

Ash-Hadu Anlla-Ilaha Illallahu

Wa-Ash-Hadu Anna Mu’hammadan ‘Abduhu Wa-Rasooluhu.


Darood Ibrahim :

Sunni_Namaz_Ka_Tarika_In_Roman_English_Step_By_Step

Allāhumma ṣalli ʿalā Muḥammadin wa ʿalā āli Muḥammad(in), 

kamā ṣallayta ʿalā Ibrāhīma wa ʿalā āli Ibrāhīm(a), innaka Ḥamīdun Majīd. 

Allāhumma bārik ʿalā Muḥammadin wa ʿalā āli Muḥammad(in), kamā bārakta ʿalā Ibrāhīma wa ʿalā āli Ibrāhīm(a), innaka Ḥamīdun Majīd.


Dua E Qunoot :

Sunni_Namaz_Ka_Tarika_In_Roman_English_Step_By_Step 

Allahumma Ahdini Fiman Hadayat, Wa Aafini Fiman Aafayat, Wa Tawallani Fiman Tawallayat, Wa Barikli Fima Aatayat

Wa Qinni Sharra Ma Qadayat, Innaka Taqdi Wa La Yuqda Alayak, Wa Innahu La Yazillu Man Walayat, Wa La Yaizzu Man Aadayat, Tabarakta Rabbana Wa Taalayat


Namaz Ki Shart

Sunni_Namaz_Ka_Tarika_In_Roman_English_Step_By_Step

Namaz Adha Karne Se Pahle Namaz Ki Kuch Sharte Hain. Jinka Pura Kiye Bina Namaz Nahi Ho Sakti Ya Sahi Nahi Mani Jaa Sakti Hain . 

Kuch Sharto Ka Namaz Ke Liye Hona Jaruri Hain, to Kuch Sharto Ka Namaz Ke Liye Pura Kiya Jana Jaruri Hain. 

To Kuch Sharto Ka Namaz Padte Waqt Hona Jaruri Hain, Namaz Ki Kul Sharto Kuch Is Tarha Se Hain.


  • Badan Ka Paak Hona
  • Kapdo Ka Paak Hona
  • Namaz Pahdne Ki Jagha Ka Paak Hona
  • Badan Ke Satar Ka Chupa Huwa Hona
  • Namaz Ka Waqt Hona
  • Kible Ki Taraf Muh Hona
  • Namaz Ki Niyat Yani Irada Karna 


Khyal Rahe Ki Paak Hona or Saaf Hona Dono Alag Alag Chije Hain. Paak Hona Shart Hain, Saaf Hona Shar Nahi. 

Jayse Badan, Kapda Ya Jamin Napak Chije Se Bhari Huwi Naaho. 

Dhul Mitti Ki Wajha Se Kahaa Jaa Sakta Hain Ki Saaf Nahi Hain, Lekin Paak to Bahrhaal Hain


1. Badan Ka Paak Hona

Namaz Padhne Ke Liye Badan Puri Tarha Se Paak Hona Jaruri Hain. Badan Par Koi Namazki Lagi Nahi Honi Cahiye. 

Badan Par Koi Gandagi Lagi Ho Ya Napaki Lagi Ho to Wazu Ya Gusal Kar Ke Namaz Padhni Cahiye.


2. Kapdho Ka Paak Hona

Namaz Pahdne Ke Liye Badan Par Pahna Huwa Kapda Puri Tarha Se Paak Hon Jaruri Hain. Kapde Par Koi Bapaki Lagi Nahi Honi Chaiye. 

Kapde Par Koi Gandgi Lagi Ho Ya Napaki Lagi Ho to Kapdha Dho Lena Cahiye Ya Dusra Kapda Pahn Kar Namaz Padh Leni Chaiye.


3. Namaz Padhne Ki Jagha Ka Paak Hona

Namaz Padhne Ke Liye Jis Jagha Par Namaz Padhi Jaa Rahi Ho Wo Puri Tarha Se Paak Hona Jaruri Hain.

Jagha Par Agar Koi Gandagi Lagi Ho Ya Napaki Lagi Ho to Jagha Dho Leni Chaiye Ya Dusri Jagha Namaz Padh Leni Chaiye.


4. Badan Ke Star Ka Chopa Huwa Hona 

Naaf Ke Niche Se Lekar Ghutno Tak Ke Hisse Ko Mard Ka Satar Kaha Jata Hain. Namaz Me Mard Ka Yah Hissa Agar Dikha Jaae to Namaz Sahi Nahi Maani Jaa Sakti.


5. Namaz Ka Waqt Hona

Koi Bhi Namaz Padhne Ke Liye Namaz Ka Waqt Hona Jaruri Hain. Waqt Se Pahle Koi Bhi Namaz Nahi Padhi Jaa Sakti,

Or Waqt Ke Baad Pdhi Gai Namaz Kaza Namaz Mani Jaengi.


6. Kibla Ki Taraf Muh Hona

Namaz Kibla Rukh Hokar Padhni Chaiye. Masjid Me to Is Baare Me Fikar Karne Ki Koi Baat Nahi Hoti, 

Lekin Agar Kahi Akele Namaz Pahd Rahe Ho to Kible Ki Taraf Muh Karna Yaad Rakhe.


7. Namaz Ki Niyat Yani Irada Karna 

Namaz Padhte Waqt Namaz Padhne Ka Irada Karna Chaiye.


Wazu Ka Tarika

Sunni_Namaz_Ka_Tarika_In_Roman_English_Step_By_Step

Namaz Ke Liye Wazu Shart Hain. Wazu Ke Bina Aap Namaz Nahi Padh Sakte. 

Agar Padege to Wo Sahi Nahi Mani Jaengi Wazu Ka Tarika Yah Hain. Ki Aap Namaz Ke Liye Wazu Ka Irada Kare. 

Or Wazu Shuru Karne Se Pahle Bismillah Kahe or Is Tarha Se Wazu Kare.


  • Kulahiyo Tak Hath Dhoe
  • Kulu Kare
  • Naak Me Pani Chadae
  • Chahera Dhoe
  • Dhathi Me Khilal Kare
  • Dono Hath Kuhniyo Tak Dhoe
  • Ek Baar Sar Ka or Kano Ka Masha Kare
[Masha Ka Tarika Yah Hai Ki Aap Apne Hato Ko Gila Kar Ke Ek Baar Sar or Dono Kano Par Fher Le. Kano Ko Andar Bahar Se Achi Tarha Saaf Kare.]
  • Dono Paaw Takhno Tak Dhoe.


Yah Wazu Ka Tarika Hain. Is Tarike Se Wazu Karte Waqt Har Hissa Kam Se Kam Ek Baar Ya Jyada Se Jyada Tin Baar Dhoya Jaa Sakta Hain. 

Lekin Masha Sirf Ek Hi Baar Karna Hani. Is Se Jyada Baar Kisi Aajaao Dhone Ki Ijajat Nahi Hain, 

Lekin Wah Pani Ki Barbadi Mani Jaengi or Pani Ki Barbadi Karne Se Allah Ke Rasul Ne Mana Kiya Hain.


Gusal Ka Tarika

Sunni_Namaz_Ka_Tarika_In_Roman_English_Step_By_Step

Agar Aap Ne Apne Biwi Se Sohbat Ki Hai, Ya Fhir Raat Me Aapko Ahetlaam Huwa Hain, Ya Aapne Lambe Arse Se Nahaya Nahi Hai, 

To Aap Ko Gusal Karna Jaruri Hain. Esi Halat Me Gusal Ke Bina Wazu Nahi Kiya Sakta, Gusal Ka Tarika Kuch Is Tarha Hain.


  • Dono Hath Kalahiyo Tak Dho Lijiye
  • Sharmgaha Par Pani Dal Kar Dho Lijiye
  • Thik Ui Tarha Saari Chije Kijiye Jayse Wazu Me Karte Hain
  • Kulli Kijiye
  • Naak Me Pani Daliye
  • Or Pure Badan Par Sidhe or Ulte Janib Pani Daliye
  • Sar Dho Lijiye
  • Hath Paaw Dho Lijiye


Yah Gusal Ka Tarika Hain. Yaad Rahe Thik Wazu Ki Tarha Gusal Me Bhi Badan Ke Kisi Bhi Hisse Ko Jyada Se Jyada 3 Hi Baar Dhoya Jaa Sakta Hain. 

Kyonki Pani Ka Jarurat Se Jyada Istemal Islam Me Gair Pasindida Amal Mana Gaya Hain.


Namaz Ki Niyat Ka Tarika

Sunni_Namaz_Ka_Tarika_In_Roman_English_Step_By_Step

Namaz Ki Niyat Ka Tarika Yah Hain Ki Bas Dil Me Namaz Padhne Ka Irada Kare. Apka Irada Hi Namaz Ki Niyat Hain.

Is Irade Ko Khas Kisi Alfaz Se Bayan Karna, Jaban Se Padhna Jaruri Nahi. 


Azan 

Sunni_Namaz_Ka_Tarika_In_Roman_English_Step_By_Step

Azan Jo Hum Din Me Se Panch Martaba Har Roj Sunte Hain. Jab Hum Azan Sunte Hain Tab Iska Jawab Dena Hum Par Lazim Hota Hain.

Or  Yah Jawab Kaise Diya Jaae? 

Bas Wahi Baat Dohrai Jaae Jo Azan Dene Wala Kah Raha Hain.


Wo Kahe Allah Hu Akbar to Aap Bhi Kaho Allah Hu Akbar...ishi Tarha Se Puri Azan Ka Jawab Diya Jayega to Bas 'Hayya Alas Sallah' or 'Hayya Alal Falah' Ke Jawab Me Aap Kahe Do 'La Hola Wala Kuwata Illa Billah'


Azan Ke Baad Ki Dua

"Allahumma Rabba Hazihil Dawati T Taammati Wassalatil Kayimati Aati Muhammad Nil Wasilta Wal Fazilata Ab Ashu Makamam Mahmud Nillazi a Athu"


Namaz Ki Rakat Tarika

Sunni_Namaz_Ka_Tarika_In_Roman_English_Step_By_Step

Namaze Farz : Do Sunnte, Do Farz. [Namaze Farz Char Rakate Hui]


Namaze Johar : Char Sunnate, Char Farz, Do Sunnate or Do Nafil. [Namaze Johar 12 Rakate Hui]


Namaze Asar : Char Farz or Char Nafil. [Namaze Asar 8 Rakate Hui]


Namaze Magrib : Tin Farz, Do Sunnteor Do Nawafil. [Namaze Magrib 7-Saat Rakate Hui]


Namaze Isha  : Char Sunnat, Char Farz,  Do Sunnte,  or Do Nawafil. [Namaze Isha 12 Rakate]


Namaze Witr : Namaz e Witr Ka Tarika Me Dar Asal Raat Ki Namaz Hain, Jo Tahajjudh Ke Sath Milakar Padhi Jaati Hain. Jo Logo Raat Ko Uthne Ke Aadi Na Ho Wah Witr Bhi Namaz E Isha Ke Sath Hi Padh Sakte Hain.















COMMENTS

Name

Ala_Hazrat,1,Ala_Hazrat_Shayari,1,Allah_ke_99_naam,1,Aqiqah,2,Aqiqah_Karne_Ka_Tarika_In_Roman_English,1,Auliya,2,Azan,2,Bachho_ki_parwarish,1,Bakra_Eid_Ki_Namaz_Ka_Tarika,1,Chhote_Bacche,1,Dahej_Pratha,1,Darood_Sharif,4,Dua,9,Dua_E_Masura,1,Dua_mangne_ka_Tarika,1,Eid_Ul_Adha_Ki_Namaz_ka_Tarika,1,Eid_ul_Fitr,1,English,3,Fatiha,3,Fatiha_Ka_Tarika_in_Hindi,1,Gaus Paak,6,Images,1,Islami_Malumat,8,Khwaja_Garib_Nawaz,3,lyrics,2,Muharram,4,Namaz,6,Namaz_E_Janaza,1,Parda_Hijab_Burqa_fashion,1,Quotes,1,Quran,3,Rajab,1,Ramaza,17,Ramzan,12,Roman_English,1,Roza,6,Roza_Rakhne_Ki_Dua,1,Roza_Rakhne_Ki_Niyat,1,Salam,1,Salatul_Tasbeeh,1,Sehri,2,Shab_E_Barat,4,Shab_E_Qadr,1,Shaban,2,Shaban_Ki_Fazilat,1,Shayari,2,Surah_Rahman,1,Surah_Yaseen,1,Surah_Yasin,1,Tahajjud_Prayer,3,Taraweeh,1,Turkiey,5,Wazu,1,Yojana,3,
ltr
item
English Irfani Islam: Sunni Namaz Ka Tarika In Roman English Step By Step
Sunni Namaz Ka Tarika In Roman English Step By Step
sunni namaz ka tarika step by step in English hindi, Namaz Ki Niyat, Rakat, Shart, Wazu, Gusal, Namaz Ka Matlab Kya Hai, Azan Ke Baad Ki Dua, Tasbeeh
https://blogger.googleusercontent.com/img/a/AVvXsEietz5uIrsKrdCYLQK1MQW5yjF7y4OvGaGy0BRX5G1Vf7f7HWAqH1Di5lHOBLYsHpMFOaXG_m5XJrASiCFrxOdvsMuQtTfmfBpZ3rbd8x26UUHeUGtndBUfpAvAD7mSAx5uH6PKSIIGJretQ8gyEhc9-nCsVT1rnMB9zNJQ2MU58TnxhzmyavkLc3mB2A=w400-h225
https://blogger.googleusercontent.com/img/a/AVvXsEietz5uIrsKrdCYLQK1MQW5yjF7y4OvGaGy0BRX5G1Vf7f7HWAqH1Di5lHOBLYsHpMFOaXG_m5XJrASiCFrxOdvsMuQtTfmfBpZ3rbd8x26UUHeUGtndBUfpAvAD7mSAx5uH6PKSIIGJretQ8gyEhc9-nCsVT1rnMB9zNJQ2MU58TnxhzmyavkLc3mB2A=s72-w400-c-h225
English Irfani Islam
https://english.irfani-islam.in/2021/10/namaz-ka-tarika.html
https://english.irfani-islam.in/
https://english.irfani-islam.in/
https://english.irfani-islam.in/2021/10/namaz-ka-tarika.html
true
3530025783855722225
UTF-8
Loaded All Posts Not found any posts VIEW ALL Readmore Reply Cancel reply Delete By Home PAGES POSTS View All RECOMMENDED FOR YOU LABEL ARCHIVE SEARCH ALL POSTS Not found any post match with your request Back Home Sunday Monday Tuesday Wednesday Thursday Friday Saturday Sun Mon Tue Wed Thu Fri Sat January February March April May June July August September October November December Jan Feb Mar Apr May Jun Jul Aug Sep Oct Nov Dec just now 1 minute ago $$1$$ minutes ago 1 hour ago $$1$$ hours ago Yesterday $$1$$ days ago $$1$$ weeks ago more than 5 weeks ago Followers Follow THIS PREMIUM CONTENT IS LOCKED STEP 1: Share to a social network STEP 2: Click the link on your social network Copy All Code Select All Code All codes were copied to your clipboard Can not copy the codes / texts, please press [CTRL]+[C] (or CMD+C with Mac) to copy Table of Content