Shab E Barat Ki Fazilat In Hindi Quran Hadith Se Aur History

Shab E Barat Ki Fazilat In Hindi, shab e barat in qur'an, history, hadith, 2022 date in india, what happened on shab e barat ROman English शब ए बारात

Shab E Barat Ki Fazilat In Hindi : Sha'ban - Ul - Mu'azzam Ki 15vi Raat Yaʼni Shab E Barat Bari Ba - Barakat Raat Hain. Is Raat Allah Pak Ki Khoob Rahmaton , Barakaton Ka Nuzool Hota Hain. 

Allah Pak Ki Bargah May Is Raat Khas Taur Par Apni Duniya - O Aakhirat Ki Bhalai Ki Du'a Maangni Chahiye Kiyun Kay Is Raat Du’aeyn Qabool Hoti Hayn , Allah Pak Kay Aakhiri Nabi , Makki Madani , 

Muhammad - E - ' Arabi  Nay 5 Raaton Kay Baray May Farmaya Kay in Raat Du'a Rad Nahin Ki Jati Jin May Say Ek Sha’ban Ki 15vi Raat ( Ya'ni Shab E Barat Bhi ) Hain. 

( Jami ' Sagheer , Safhah . 241 , Hadees 3952 ) 


Inhe Bhi Dekhe :
Shab_E_Barat_Ki_Fazilat_In_Hind

Shab E Barat Ki Beshumar Fazilat In Hindi

Shab E Barat Ke 15 Naam Ki Fazilat

Hazrat ‘ Allamah ‘ Ali Qari Naql Kartay Hayn : Shab - E Bara'at Kay 4 Naam Hain( Barakat Wali Raat ) ,  ( Najat Wali Raat ) ,  ( Dastaweeez Wali Raat ) ,  ( Rahmat Wali Raat ) , Mazeed Farmatay Hayn : Isay  Aur ' ( Najat - O - Dastaweez Wali Raat ),

Is Liye Kehtay Hayn Kay Jub Tajir Mulk Say Us Ka Anaj Wasool Kar Leta Hay to Is Kay Liye Bara'at Namah Likh Deta Hain. Isi Tarah Allah Pak Us Raat Apnay Mumin Bandon Kay Liye Bara'at Namah Likh Dayta Hain.

( Al-Tibyan , Jild-3 , Safhah-41 ) 


Hazrat ‘ Allamah Sayyid Muhammad Bin ‘ Alawi Maaliki  Nay Mazeed Chand Naam Bhi Zikr Farmaye Hayn : Kiyun Kay Is Raat Gunah Mitaye Jatay Hayn , ! Kiyun Kay Is Raat Du'a Qabool Hoti Hain, “  (  Firishton Ki Shab - E - ' Eid ) ,  

( Maa Zaa Fi Sha'ban , Safhah . 72-75 ) 


Shab E Barat Me Qabristan Jane Ki Fazilat In Hindi

Allah Pak Kay Aakhri Rasool Nay Irshad Farmaya : Mayn Nay Tumhayn Qabron Ki Ziyarat Say Mana ' Kiya Tha,

Ab Ziyarat - E - Quboor Kiya Karo Kay Bayshak Yeh Dunya Say Bay Ragbat Karti Hai Aur Aakhirat Ki Yaad Dilati Hain. 

( Ibn - E - Majah , Jild 2 , Safhah . 252 , Hadees 1571 ) 

Ma'loom Huwa Kay Waqtan Fawaqtan Qabristan Jatay Rehna Chahiye Ta Kay Qabron Ko Daykh Kar Hamaray Dil May Fikr - E Aakhirat Payda Ho . 


Shab E Barat Me Marhoomeen Ke Liye Dua Magfhirat

Jannati Ibn - E - Jannati , Sahabi Ibn - E - Sahabi Hazrat ' Abdullah Bin ‘ Abbas  Say Marwi Hay Kay Jab Shab E Barat Aati Hay,

to ( Mu'min ) Murday Apnay Qabron Say Nikal Kar Apnay Gharon Kay Darwazon Par Kharay Ho Jatay Hayn Aur Kehtay Hayn : Hum Par Sadaqah Kar Kay Raham Karo Agarchay Roti Ka Aik Luqmah Hi Ho ,

 Kyun Kay Hum Is Kay Zaroorat Mand Hayn . Agar Woh ( Sadaqah Ki Koi ) Koi Cheez Nahin Patay to Hasrat Say Wapas Laut Jatay Hayn . 

( Fatwah - E - Razawiyyah , Jild 14 , Safhah . 694 - Al - Durar - Ul - Hisaan , Safhah . 33 )


15 Shaban Ko Shabe Barat Ki 3 Fazilat In Hindi

  • Firishton Ki ‘ Eid 

Hazrat Sayyiduna Imam Abu Hamid Muhammad Bin Muhammad Binmuhammad Gazali  Likhtay Hayn : Kaha Gaya Hay Kay Aasman Kay Firishton Kay Liye 2 Raatayn Aur Khushi Ki Hayn Jaysay Duniya May Musalmanon Kay Liye 2 ‘ Eid Kay Din Hayn , ' Eid 

1. Pandrah Sha'ban Ki Raat Aur 

2. Lailat - Ul - Qadar . 


  • Saal Bhar Kay Gunahon Ka Kaffarah 

Hazrat Imam Taqiuddin Subki Shafi'ee Apni Tafseer May Farmatay Hayn : Yeh Raat Saal Bhar Kay Gunahon Ka Kaffarah Banti Hain, 

Shab - E - Jumu'ah Pooray Haftay Kay Gunahon Ka Kaffarah Aur Lailat - Ul - Qadr Pooray ‘ Umr Bhar Kay Gunahon Ka Kaffarah Hoti Hay 

Ya'ni in Raaton May Allah Pak Ki ‘ Ibadat Karna Aur Yaad - E - Ilahi May Sari Raat Jaag Kar Guzar Dena Gunahon Kay Kaffarah Ka Sabab Hota Hay 

Isi Liye in Raaton Ko Kaffaraon Ki Raat Bhi Kaha Jata Hain. 

( Mukashafa - Tul - Quloob , Safhah . 303 ) 


  • Jannat Sanwari Jati Hain

Hazrat Ka'b - Ul - Ahbaar  Farmatay Hayn : Allah Pak Sha'ban Ki 15vi Raat Hazrat Sayyiduna Jibrail Ko Jannat Ki Taraf Bhayjta Hain, 

Woh Jannat Ko Aarastah Honay Ka Hukm Detay Hayn Aur Farmatay Hayn : Allah Pak Nay Tayri Is Raat May Aasmanon Kay Sitaron , Dunyawi Dinon Aur Raaton , Darakhton Kay Patton , 

Aur Paharon Kay Wazan Aur Rait Kay Zarron Kay Barabar Logon Ko Jahannam Say Aazad Farma Diya Hain. 

( Maa Zaa Fi Sha'ban , Safhah . 87 ) 


15 Shaban Me 'Ibadat Karna Mustahab Hain

Hazrat Khalid Bin Mi’dan , Hazrat Luqman Bin ' Aamir Aur Deegar Buzurgan - E - Deen  Sha'ban - Ul - Mu'azzam Ki 15vi Raat ( Ya'ni Shab E Barat ) Ko Acha Libas Pehantay , Khushbu Sulgatay , Surmah Lagatay 

Aur Raat Masjid May Jama ' Ho Kar ' Ibadat Kiya Kartay Thay . Hazrat Ishaq Bin Rahwaiy Bhi Isi Baat Ki Taid Kartay 

Aur Is Raat Masjid May Ikhattay Ho Kar Nafli ' Ibadat Karnay Kay Baray May Farmatay Hayn : ' Yeh Koi Bid'at ( Ya'ni Bura Kaam ) Nahin Hain. ' 

( Maa Zaa Fi Sha'ban , Safhah . 75 ) 

Hazrat ' Allamah Shahabuddin Ahmed Bin Hijazi Ali  Farmatay Hayn : Shab E Barat May “ Ibadat Karna Mustahab Hain. ( Maa Zaa Fi Sha'ban , Safhah . 85 ) 


70 Hazar Firishtay Du'a - E - Maghfirat Kareyn Gay 

Hazrat ‘ Allamah ‘ Ali Qari  Farmatay Hayn : Shab - E Bara at May Surah Dukhan Parhna Mustahab Hain. 

Jannati Sahabi Hazrat Abu Hurayrah  Farmatay Hayn Kay Rasoolullah  Nay Farmaya : Jo Raat May Haa - Meem Al - Dukhan Ki Tilawat Karey Ga 

to Woh Subh Is Haal May Karey Ga Key 70 Hazaar Firishtay Us Kay Liye Du'a - E - Maghfirat Kar Rahay Hon Gay . 

( Al - Tibyan , Jild 3 , Safhah . 52 ) 


Shab E Barat Rahmat Kay 300 Darwazay Ki Stroy In Hindi

Jannati Sahabi , Hazrat Ubaey Bin K’ab  Farmatay Hayn : Rasool Allah Nay Irshad Farmaya : Mayray Paas Hazrat Jibrail Shab E Barat May Hazir Howay 

Aur Mujh Say Kaha Ke Ooth Kar Namaz Adha Farmaye or Apna Sir or Hanth Aasman Ki Taraf Uthae . Mayn Nay Pocha : Aey Jibrail ! Yeh Kesi Raat Hain? ‘ 

Arz Ki : Ya Muhammad ! Yeh Woh Raat Hay Key Jis May Aasman Aur Rahmat Kay 300 Darwazay Khol Diye Jatay Hayn , 


Allah Pak Kay Sath Shareek Tehranay Walon , Aapas May Bughz Aur Keenah Rakhnay Walon , Sharabiyon Aur Badkaron Kay ‘ Ilawah Sub Ki Maghfirat Kar Di Jati Hain, 

in Logon Ki Us Waqt Tak Maghfirat Nahin Hogi Jub Tak Kay Sachi Taubah Na Kar Layn . Al - Battah Sharab Kay ‘ Aadi Kay Liye Rahmat Kay Darwazay May Say Aik Darwazah Khula Chor Diya Jata Hay 

Yahan Tak Kay Taubah Kar Layn , Jub Woh Taubah Kar Leta Hay to Us Ki Maghfirat Kar Di Jati Hain, 


Isi Tarah Keenah Rakhnay Walay Kay Liye Bhi Rahmat Kay Darwazon May Say Aik Darwazah Khola Chor Diya Jata Hay 

Yahan Tak Key Woh Apnay Sathi ( Ya'ni Jis Say Keenah Rakhta Hain) Say Baat Cheet Kar Ley , Jab Woh Us Se Baat Chit Kar Leta Hain to Us Ki Magfirat Kar Di Jati Hain , 

Huzoor Akram Nay Irshad Farmaya : Aey Jibrail ! Agar Woh Apnay Sathi Say Kalam Na Karey Yahan Tak Kay Shab - E - Bara'at Guzar Jaye to ... ? 


Hazrat Sayyiduna Jibrail  Nay ‘ Arz Ki : Agar Woh Is Haalat Par Barqarar Raha Yahan Tak Kay ( Nza ' Ka ‘ Aalam Tari Honay Kay Sabab ) Us Kay Seenay May Saans Ataknay Lag Jaye Tab Bhi Us Kay Liye Darwaza - E - Rahmat Khula Rehta Hain, 

Agar Woh ( Maut Say Pehlay Keenah - E - Muslim Say ) Taubah Kar Lay to Us Ki Taubah Maqbool Hay Phir Huzoor Anwar Jannat - Ul - Baqi ' Ki Taraf Tashreef Ley Gaye Aur Sajday May Ja Kar in Alfaz May Du'a Maangi : 

Shab E Barat Puri Malumat Or  Islamic History Hadith Quran Se

Shab E Barat Puri Malumat Or  Islamic History Hadith Quran Se

( Ya'ni Aye Allah Pak ! ) Mayn Tayray ' Azab Say Tayri Mua'afi , Tayri Narazgi Say Tayri Riza Aur Tujh Say Tayri Panah Talab Karta Hon , 

Tayri Ta’reef Buland Hain, Mayn Tayri Ta'reef Ka Haq Ada Nahin Kar Sakta , Tayri Haqeeqi Shan Wohi Hay Jo Tu Nay Khud Bayan Farmai .


15 Shaban Ki Raat Me Asmano Ki Sair

Raat Kay Choothay Pahar Hazrat Sayyiduna Jibrail Shalata Naazil Huway Aur ‘ Arz Ki , Ya Muhammad Mustafha Sallallaho Alayawasallm ! Apna Sir Aasman Ki Taraf Uthaiye , 

Aap Nay Apna Sir Aasman Ki Taraf Uthaya to Dekha Key Rahmat Kay Darwazay Khulay Howay Hayn Aur Har Darwazay Par Aik Firishtah Aawaz Dey Raha Hain, 

  • Pehlay Darwazay ( Par Firishtah Yun Pukar Raha Hay Kay ) Mubarak Ho Usay Jo Is Raat ' Ibadat Karay , 
  • Dosray Darwazay Par Bhi Aik Firishtah Yun Pukar Raha Hay Kay Mubarak Ho Usay Jo Is Raat May Sajdah Karay , 
  • Teesray Darwazay Par Bhi Aik Firishtah Pukar Raha Hay Kay Mubarak Ho Jo Is Raat Ruku ' Karay , 
  • Choothay Darwazay Par Bhi Aik Firishtah Sada Laga Raha Hay Kay Muabrak Ho Jo Is Raat May Apnay Rabb - E - Kareem Say Du'a Maangay , 
  • Panchwa Darwazay Par Bhi Aik Firishtah Sada Laga Raha Hay Kay Mubarak Ho Jo Is Raat May Apnay Rabb - E - Kareem Say Du'a Karnay May Mashgool Ho , 
  • Chatwa Darwazay Par Bhi Aik Firishtah Pukar Raha Hay Kay Is Raat May Muslamanon Ko Mubarak Ho , 
  • Satway Darwazay Par Bhi Aik Firishtah Pukar Raha Hay Kay Allah Pak Ko Aik Mannay Walon Ko Mubarak Ho , 
  • Aathwayn Darwazay Par Bhi Aik Firishtah Pukar Raha Hay Kay Hay Koi Taubah Karnay Wala Key Uski Toobah Qabool Ki Jaye ? 
  • Nawayn Darwazay Par Bhi Aik Firishtah Sada Laga Raha Hay Kay Hay Koi Maghfirat Talab Karnay Wala Key Us Ki Maghfirat Kar Di Jaye ? 


Aur Daswayn Darwazay Par Bhi Aik Firishtah Nida Dey Raha Hay Kay Hay Koi Du'a Karnay Wala Key Us Ki Du'a Qabool Kar Li Jaye ? 

Phir Rahmat - E - Aalam  Nay Farmaya : Aey Jibrail ! Rahmat Kay Yeh Darwazay Kab Tak Khulay Rehtay Hayn ? 

Arz Ki : Raat Ki Ibtida Say Tulu ' Fajr Tak . Piyaray Aaqa  Nay Irshad Farmaya : Is Raat Bakriyon Kay Baaloon Say Bhi Ziyadah Logon Ki Maghfirat Ki Jati Hain, 

Isi Raat Logon Kay Saal Bhar Kay A'maal ( Aasmanon Ki Janib ) Buland Kiye Jatay Hayn Aur Isi Raat Rizq Taqseem Kiye Jatay Hayn 

( Tarekh - E - Ibn - E- “ Asakir , Jild 51 , Safhah . 72-73 )


Shab E Barat Aur Piyaray Nabi Ki ' Ibadaat 

Hamaray Piyaray Nabi Shab - E - Bara'at May Mukhtalif Maqamaat Par Mukhtalif Andaz May ' Ibadat Farmaya Kartay Thay . 

Jaysa Kay Hazrat Bibi ' Aaishah Siddiqah Farmati Hayn : Rasoolullah Kharay Ho Kar Aur Beth Kar Musalsal Namaz Parhtay Rahay Yahan Tak Kay Subh Ho Gae , 

Subh Tak Huzoor - E - Akram Ki Mubarak Qadam Sooj Gae Thay Chunan Chay Mayn Aap  Kay Qadam Mubarak Dabanay Lagi . 

( Al - Da'wat - Ul - Kabeer , Jild 2 , Safhah . 145 , Hadees 530 )


Kabhi Aysa Bhi Huwa Kay Apni Ummat Say Piyar Karnay Walay Piyaray Piyaray Aaqa  Shab - E Bara'at May Qabristan Tashreef Ley Gaye 

Aur Wahan Ja Kar Apnay Rab Say Ahl - E - Quboor Kay Liye Du'a Maangi , Jaysa Kay Hazrat Sayyidatuna Bibi ' Aaishah Siddiqah  Farmati Hay 

Kay Mayn Nay Huzoor 15 Sha’ban Ki Raat Jannat Ul - Baqi ' May Is Haal May Paya Kay Aap Musalman Mardon , ‘ Auraton Aur Shaheedon Kay Liye Du'a - E - Maghfirat Farma Rahay Thay . 

( Shu'ab - Ul - Iman , Jild 3 , Safhah . 384 , Hadees 3837 ) 


Hamayn Chahiye Kay Is Rahmat - O - ' Azamat Wali Raat Ko ' Ibadat Kartay Huway Zikr - O Du'a May Guzarayn , Apni Aur Sari Ummat Ki Maghfirat Ki Du’a Kay Sath Sath Qabristan Ja Kar Apnay Marhoomeen Kay Liye Bhi Du'a - E - Maghfirat Kareyn . 


Nawasa - E - Rasool Ka Shab E Barat May Ma'mool 

Jannati Ibn - E - Jannati , Nawasa - E - Rasool Hazrat Imam Hasan Mujtaba  Shab - E - Bara'at Kay 3 Hissay Farmatay . 

Ek Tihai Hissay May Allah Pak Kay Is Farman ( Tarjamah - E - Kanz - Ul - Iman : Aey Iman Walo ! Un Par Durood Aur Khoob Salam Bhayjo ) Par ‘ Amal Kartay Huway Apnay Nana Jan  Par Durood - E - Pak Parhtay , 

Ek Tihai Hissay May Taubah - O - Istighfar Kartay.

Aur Aakhri Tihai Hissay May Allah Pak Kay Farman Par ‘ Amal Kartay Huway Ruku ’ - O - Sujood Farmatay . 


Aap  Nay Irshad Farmaya : Mayn Nay Apnay Abbu Jan ( Hazrat ‘ Ali - Ul - Murtaza  ) Say Suna Hai Kay Nabi Kareem  Nay Farmaya : Jo Nisf Sha'ban ( Ya'ni Shab - E Bara'at ) Ki Raat Ko Zindah Karay Ga ( Ya'ni Us Raat ' Ibadat Karey Ga ) Woh Muqarribeen May Likha Jaye Ga . 

( Al - Qawl - Ul - Badi ' , Safhah . 396 )


Shab E Barat Me Aslaf Ki Du'a 

Aey ' Aashiqan - E - Sahabah - O - Ahl - E - Bayt ! Kaey Sahabah - E Kiraam  Aur Buzurgan - E - Deen Say Sabit Hay Ko Woh Is Raat ( Batoor - E - ' Ajzi ) Yeh Du'a Mangtay Thay 

Shab E Barat Puri Malumat Or  Islamic History Hadith Quran Se

Shab E Barat Puri Malumat Or  Islamic History Hadith Quran Se

Tarjamah : Aey Allah Pak ! Agar Tu Nay Hamayn Bad Bakht Likha Hay to To Isay Mita Dey Aur Hamayn Sa'adat Mand Likh Day Aur Tu Nay Hamayn Sa'adat Mand Likha Hay to Isay Sabit Rakh Bayshak Jo Tu Chahta Hay Usay Mitata Hay Aur Jo Chahta Hay Usay Sabit Rakhta Hay Aur Teray Hi Paas Ummul Kitab Hain. 

( Al - Tibyan , Jild 3 , Safhah . 51 ) 


Shab E Barat  Kaise Guzaren ? 

Mashhoor Mufassir Hazrat Mufti Ahmed Yar Khan Na'eemi Farmatay Hayn : Is Maheenay Ki 15vi Raaat Jisay Shab E Barat Kehtay Hayn 

Bahut Mubarak Raat Hain. Is May Qabristan Jana , Wahan Fatihah Parhna Sunnat Hain, Isi Tarah Buzurgan - E - Deen Kay Mazarat Par Hazir Hona Bhi Sawab Hay 

Agar Ho Sakay to 14vi Aur 15vi Tareekh Ko Rozay Rakhay . 15vi Tareekh Ko Halwah Wagerah Buzurgan - E - Deen Ki Fatihah Parh Kar Sadaqah - O - Khairat Karay 

Aur 15vi Raat Ko Sari Raat Jaag Kar Nafl Parhay Aur Is Raat Ko Har Musalman Aik Dusray Say Apnay Qusoor Mua’af Kara Layn , 

Qarz Wagerah Ada Karayn Kiyun Kay Bughz Walay Musalman Ki Du’a Qabool Nahin Hoti Mazeed Farmatay Hayn : Agar Tamam Raat Na Jaag Sakay to Jis Qadar Ho Sakay ' Ibadat Karay Aur Ziyrat - E Qaboor Karay . 

Agar Shab E Barat Raat Ko 7 Pattay Bayri Ke Pani May Josh Day Kar Ghusl Karay to Tamam Saal Jadu Kay Asar Say Mahfooz Rahayn Ga Aur Beshumar Fazilat Milengi . 

( Islami Zidagi , Safhah . 134 )


COMMENTS

Name

Ala_Hazrat,1,Ala_Hazrat_Shayari,1,Allah_ke_99_naam,1,Aqiqah,2,Aqiqah_Karne_Ka_Tarika_In_Roman_English,1,Auliya,2,Azan,2,Bachho_ki_parwarish,1,Bakra_Eid_Ki_Namaz_Ka_Tarika,1,Chhote_Bacche,1,Dahej_Pratha,1,Darood_Sharif,4,Dua,9,Dua_E_Masura,1,Dua_mangne_ka_Tarika,1,Eid_Ul_Adha_Ki_Namaz_ka_Tarika,1,Eid_ul_Fitr,1,English,3,Fatiha,3,Fatiha_Ka_Tarika_in_Hindi,1,Gaus Paak,6,Images,1,Islami_Malumat,8,Khwaja_Garib_Nawaz,3,lyrics,2,Muharram,4,Namaz,6,Namaz_E_Janaza,1,Parda_Hijab_Burqa_fashion,1,Quotes,1,Quran,3,Rajab,1,Ramaza,17,Ramzan,12,Roman_English,1,Roza,6,Roza_Rakhne_Ki_Dua,1,Roza_Rakhne_Ki_Niyat,1,Salam,1,Salatul_Tasbeeh,1,Sehri,2,Shab_E_Barat,4,Shab_E_Qadr,1,Shaban,2,Shaban_Ki_Fazilat,1,Shayari,2,Surah_Rahman,1,Surah_Yaseen,1,Surah_Yasin,1,Tahajjud_Prayer,3,Taraweeh,1,Turkiey,5,Wazu,1,Yojana,3,
ltr
item
English Irfani Islam: Shab E Barat Ki Fazilat In Hindi Quran Hadith Se Aur History
Shab E Barat Ki Fazilat In Hindi Quran Hadith Se Aur History
Shab E Barat Ki Fazilat In Hindi, shab e barat in qur'an, history, hadith, 2022 date in india, what happened on shab e barat ROman English शब ए बारात
https://blogger.googleusercontent.com/img/a/AVvXsEhAUatSpAAoOURg1MJ0XKYineaZ37iU0fulerWtqNE5xtYZmg46wjXmIrq7KCdlQVvmqGWE6EL6vdW0k1slKIDQtdlLPbRC-zQtly2afPig1LLKI9RCAdXgOHbVlyUaBC3Bb_qsAw9_2YIs_mgPnPGajHvzGOU2AK_bEawIMSq4MJD3_KpTo2srSDJZnA=w640-h360
https://blogger.googleusercontent.com/img/a/AVvXsEhAUatSpAAoOURg1MJ0XKYineaZ37iU0fulerWtqNE5xtYZmg46wjXmIrq7KCdlQVvmqGWE6EL6vdW0k1slKIDQtdlLPbRC-zQtly2afPig1LLKI9RCAdXgOHbVlyUaBC3Bb_qsAw9_2YIs_mgPnPGajHvzGOU2AK_bEawIMSq4MJD3_KpTo2srSDJZnA=s72-w640-c-h360
English Irfani Islam
https://english.irfani-islam.in/2022/02/Shab-E-Barat-Ki-Fazilat-In-Hindi.html
https://english.irfani-islam.in/
https://english.irfani-islam.in/
https://english.irfani-islam.in/2022/02/Shab-E-Barat-Ki-Fazilat-In-Hindi.html
true
3530025783855722225
UTF-8
Loaded All Posts Not found any posts VIEW ALL Readmore Reply Cancel reply Delete By Home PAGES POSTS View All RECOMMENDED FOR YOU LABEL ARCHIVE SEARCH ALL POSTS Not found any post match with your request Back Home Sunday Monday Tuesday Wednesday Thursday Friday Saturday Sun Mon Tue Wed Thu Fri Sat January February March April May June July August September October November December Jan Feb Mar Apr May Jun Jul Aug Sep Oct Nov Dec just now 1 minute ago $$1$$ minutes ago 1 hour ago $$1$$ hours ago Yesterday $$1$$ days ago $$1$$ weeks ago more than 5 weeks ago Followers Follow THIS PREMIUM CONTENT IS LOCKED STEP 1: Share to a social network STEP 2: Click the link on your social network Copy All Code Select All Code All codes were copied to your clipboard Can not copy the codes / texts, please press [CTRL]+[C] (or CMD+C with Mac) to copy Table of Content