Shaban Ke Mahine Ki Fazilat Hadees Quran Roze In Roman English, shaban mahine ki roze, shaban mahine par hadis sharif, dua, nifs, shaban mera mahina
Shaban Ke Mahine Ki Fazilat Is Tarha Hain Ki Shaban Mahina Islami Saal Ka ‘ Aathwan ( 8th ) Mahinah ' Hai Aur Rajab - Ul - Murajjab Aur Ramzan - Ul - Mubarak Ke Darimiyan May Hay .
Yeh Un 5 Mahinon May Say Pehla Mahinah Hay Jin Ka Chand Dekhna Wajib - E - Kifayah (Jarui Bhi) Hain.
- 5 Mahinay Yeh Hayn :
1. Shaban - Ul - Mu'azzam .
2. Ramzan - Ul - Mubarak .
3. Shawwal - Ul - Mukarram . -
4. Zil - Qa’dat - Ul - Haraam Aur
5. Zil - Hajjat - Ul - Haraam .
Inhe Bhi Dekhe :
Shaban Ke Mahine Ki Naam Ki Fazilat in Hindi
1. Shaban , Say Bana Hain Jis Ke Ma’na Hain Ghaati . Kiyun Ke Is Mahinay May Khair - O - Barakat Ka ‘ Umoomi Nuzool Hota Hain , Is Liye Isay Sha’ban Kaha Jata Hain , Jis Tarah Ghati Pahaar Ka Rastah Hoti Hain Isi Tarah Yeh Mahinah Khair - O Barakat Ka Rastah Hain .
( Mukashafa - Tul - Quloob , Safhah . 303 )
2. Rasoolallah Nay Irshad Farmaya , Yaʼni Is Mahinay Ko ' Sha’ban ' Is Liye Kaha Jata Hain Key Is May Rozah Rakhnay Walay Ke Liye Bahut Si Bhalaiyan ( Shakhon Ki Tarah ) Phot Ti Hain , Yahan Tak Ke Woh Jannat May Ja Pahonchta Hain .
( Al - Tadween Fi Akhbar - E - Qazwayn , Jild . I , Safhah . 153 )
3. Hazrat Imam Rafi'ee Farmatay Hain : Is Hadees Pak Ka Matlab Yeh Hain Ke Maah - E - Sha’ban May Musalman Zikr - 0 Azkar , Naykiyon Aur Quran Pak Ki Tilawat Ki Taraf Maail Ho Jatay Hain,
Aur Ramazan - Ul - Mubarak Ke Liye Tayyari Kartay Hain . ( Al - Tadween Fi Akhbar - E - Qazwayn , Jild . 1 , Safhah . 153 ) Aur Shaban - Ul Mu'azzam Month May Ramazan - Ul - Mubarak Ke Roze Ki Farziyyat Ka Hukm Nazil Huwa .
( Hadaaiq - Ul - Awliya , Jild . 2 , Safhah . 592 )
Shaban Mahine Ka Allah Se Kalam
Hazrat Abu Ma’mar Farmatay Hain : Maah - E - Shaban Month Nay Bargah - E - Ilahi May ‘ Arz Ki : Aey Meray Rab ! Tu Nay Mujhay 2 ‘ Azamat Walay Mahinon ( Rajab Aur Ramzan - Ul - Mubarak ) Ke Darimiyan Rakha Hain to Tu Nay Meri Kiya Fazeelat Rakhi ? Allah Pak Nay Irshad Farmaya : Mayn Nay Tujh May Quran Pak Ki Tilawat Rakh Di .
( Al - Amalee Al - Mutallaqah , Safhah . 125 )
Pyare Nabi Ka Irshad Mahe Shaban Mera Mahina
Is ' Azamat Walay Mahinay Ki Ahamiyyat Ke Liye Itna Hi Kafi Hain Ke Is Ke Baray May Hamaray Piyaray Aaqa Nay Irshad Farmaya : " Ya'ni Maah - E - Sha’ban Mera Mahina Hain .
( Musnad - Ul - Firdaus , Jild 2 , Safhah . 275 , Hadees 3276 )
Allah Pak Ke Aakhiri Nabi , Makki Madani , Muhammad - E ‘ Arabi Jaysay Ramzan Ke Roze Ki Tayyari Farmatay Aesay Hi Sha’ban Ke Roze Ki Bhi Tayyari Farmatay . ( Al - Noor , Safhah . 172 )
Neez Aap Nay Ta’zeem - E Ramzan Ke Liye Sha’ban Ke Roze Ko Sub Say Afzal Roze Qarar Diya , Jesa Key Jannaati Sahabi Hazrat Anas Say Riwayat Hain Key.
Rasoolallah Say Sub Say Afzal Rozay Ke Baray May Poocha Gaya to Aap Nay Irshad Farmaya : Ramazan Ki Taʼzeem Ke Liye Shaban Month Ke Rozay .
( Tirmizi , Jild 2 , Safhah . 145 , Hadees 663 )
Sha’ban - Ul - Mu'azzam May Khoob Naykiyan Kijiye , Khoob Zikr - O - Azkar , Durood - E - Pak Aur Tilawat - E - Quran Kareem Kar Ke Is ‘ Azamat Walay Mahinay Ki Khoob Ta’zeem Kareyn .
Shaban Ke Mahine Me Quran Ki Fazilat
Jannati Shabi Hazrat Anas Farmatay Hain : Sha’ban Ka Mahina Aata to Musalman Quran - E - Kareem Ki Tilawat May Mashghool Ho Jatay ,
Apnay Maalon Ki Zakaat Ada Kar Daytay Ta Ke Kamzoron Aur Miskeenon Ko Bhi Ramzan Ke Roze Ki Taqat Milay .
( Ma Zaafi Shaban , Safhah . 44 )
Tilawat - E - Quran Ka Mahinah
‘ Azeem Tabi'ee Buzurg Hazrat Salmah Bin Kuhail Farmatay Hain : Maah - E - Sha’ban Ko Tilawat - E - Quran Karnay Walon Ka Mahinah Kaha Jata Tha .
Hazrat Habib Bin Abu Sabit Acle Wall Sha'ban Ke Aanay Par Farmatay : Yeh Qariyon Ka Mahinah Hain .
Hazrat ' Amr Bin Qais ; Maah - E - Sha'ban Ul - Mu'azzam Ki Aamad Par Apni Dukan Band Kar Daytay Aur Tilawat - E - Quran Kareem Ke Liye Farigh Ho Jatay .
( Maa Zaafi Sha'ban , Safhah . 44 )
Shaban Me Roze Ki fazilat Par Hadees In Hindi
- Hadees Sharif 1
Jannati Sahabi , Hazrat Usama Bin Zaid Nay ‘ Arz Ki : Ya Rasoolallah ! Mayn Daykhta Hon Ke Aap Jis Tarah Sha'ban Ke Roze Rakhtay Hain.
Is Tarah Kisi Aur Mahinay May Roze Nahin Rakhtay . Faramaya Rajab Aur Ramazan Ke Beech May Yeh Mahinah Hain , Log Is Say Ghafil Hain .
Is May Logon Ke A'amal Allah Kareem Ki Bargah May Paysh Kiye Jatay Hain Aur Mujhay Yeh Mahboob ( Ya'ni Pasand ) Hain Key Mera ' Amal Is Hal May Uthaya Jaye Ga Key Mayn Rozah Dar Hon .
( Nasai , Safhah . 387 , Hadees 2354 )
- Hadees Sharif 2 - Shafa'at - E - Mustafa Hadees
Hazrat ' Allamah Shah Fazal - E - Rasool Badayooni Farmatay Hain : Jo Sha'ban - Ul - Mu'azzam Ke Roze Is Liye Rakhay Ke Huzoor Ko Pasand Thay , Usay Huzoor Pak Ki Shif'at Naseeb Hogi .
( Al - Mu'taqad Al - Muntaqad , Safhah . 129 )
- Hadees Sharif 3
Ummul Mu'mineen Hazrat Bibi ' Aaishah Siddiqah Farmati Hain : Rasoolallah Ko Maah - E - Sha’ban May Roze Rakhna Tamam Mahinon Say Ziyadah Pasandeedah Tha Key Is May Roze Rakha Kartay Phir Isay Ramazan Say Mila Detay .
( Abu Dawood , Jild 2 , Safhah . 476 , Hadees 2431 )
- Hadees Sharif 4
Ummul Mu'mineen Hazrat Bibi ' Aaishah Siddiqah Say Riwayat Hain : Rasoolallah Pooray Sha'ban Ke Roze Rakha Kartay Thay Aur Farmatay : Apni Istit’at Ke Mutabiq ‘ Amal Karo Key Allah Pak Us Waqt Tak Apna Fazal Nahin Rokta Jub Tak Tum Ukta Na Jao .
( Bukhari , Jild 1 , Safhah . 648 , Hadees 1970 )
Sharih - E - Bukhari Hazrat ' Allamah Mufti Muhammad Shareef Ul - Haq Amjadi Is Hadees Pak Ke Taht Likhtay Hain : Murad Yeh Hain Ke Shaban Month May Aksar Dino May Roza Rakhtay Thay Isay Taghleeban
( Ya'ni Ghalbay Aur Ziyadat Ke Lihaz Say ) Kul ( Ya'ni Saray Mahinay Ke Roze Rakhnay ) Say Ta’beer Kar Diya .
Jaysay Kehtay Hain : ‘ Fulan Nay Poori Raat ' Ibadat Ki Jab Ke Us Nay Raat May Khana Bhi Kahya Ho Aur Zarooriyat Say Faragat Bhi Ki Ho ,
Yahan Taghleeban Aksar Ko ‘ KuÅ¿ Keh Diya . Mazeed Farmatay Hain : Is Hadees Say Ma'loom Huwa Ke Sha'ban May Jaysay Quwwat Ho Woh Ziyadah Say Ziyadah Roze Rakhay .
Al - Battah Jo Kamzoor Ho Woh Roze Na Rakhay Kiyun Ke Is Say Ramzan Ke Roze Par Asar Paray Ga , Yehi Mahmal ( Ya'ni Murad - O - Maqsad ) Hain
Un Ahadees Ka Jin May Farmaya Gaya Ke Nisf ( Ya'ni Aadhay ) Shaban Month Ke Ba'd Rozah Na Rakho .
( Nuzhat - Ul - Qari , Jild 3 , Safhah . 377-380 )
Shaban Aur Ramzan Ke Roze Ki Barkat
Sha'ban - Ul - Mu'azzam Ke Roze Ki Aik Hikmat Yeh Bhi Bayan Ki Gayi Hain Ke Sha’ban - Ul - Mu'azzam Ke Roze Say Ramzan Ke Roze Ki Mashq ( Practice ) Ho Jaye,
Ta Ke Ramzan Ke Roze May Mashaqqat Aur Takleef Mahsoos Na Ho Balkay Tab Tak Banday Ko Roze Ki ‘ Adat Ho Chuki Ho Aur Ramazan Say Pehlay Sha'ban May Roze Ki Mitthas Aur Lazzat Ka Ihsas Ho Chuka Ho ,
Lihaza Jab Maah - E - Ramazan Aaey to Bandah Chusti Ke Sath Ramzan Ke Roze Rakhnay Lagay .
( Lataif - Ul - Ma'arif , Safhah . 155 )
Maah - E - Shaban Month May Istiqbal - E - Ramazan Ki Tayyari
Sha'ban Ka Mahina Chunkay Ramazan Say Pehlay Aata Hain Lihaza Jis Tarah Maah - E - Ramazan May Roze Aur Tilawat - E - Quran Ka Hukm Hain
Isi Tarah Maah - E Sha'ban May Bhi Is Ki Bari Ahamiyyat Hain Key Roze Rakhay Jayen Aur Tilawat - E - Quran Ki Jaye Ta Ke Istiqbal - E - Ramazan Ki Tayyari Ho Jaye Aur Nafs Ko ' Ibadat Ki ‘ Adat Ho Jaye .
Shaban Mahine Ki Jaruri Malumat
Aey Ghafil ! - Piyaray Piyaray Islami Bhaiyo ! Hamaray Buzurgan - E - Deen - to Is Mubarak Mahinay Ko ' Ibadat May Guzarayn , Tilawat Kareyn , Naykiyoun Ka Ihtimam Kareyn
Aur Hum Ghaflat Ki Neend Sotay Hi Rahayn Aesay Ghafilon Ke Baray May Kaha Gaya Hain : Aey Mubarak Waqton May Kotahi Karnay Walay !
in Waqton Ko Zaya ' Karnay Walay ! Aur Inheyn Buray A'maal Say Aalodah Karnay Walay !
Tu Nay Kitnay Buray Kaam in Mubarak Waqton Ke Hawalay Kiye ! ( Chand ' Arabi Ash'aar Ka Tarjamah )
1. Rajab Chala Gaya Aur Tu Nay Is May Koi Nayki Nahin Ki Aur Ab Yeh Barakat Wala Maah - E - Shaban Mahina Hain .
2. Aey Sha'ban Ki ‘ Azamat Say Bay Khabar Reh Kar in Waqton Ko Zaya ' Karnay Walay ! Hosh May Aa Aur Tabahi Say Dar .
3. Bahut Jald Sub Lazzatayn Tujh Say Chheen Li Jayen Gi Aur Maut Tujhay Teray Ghar Say Zabardasti Nikal Dey Gi .
4. Sacchi Aur Khuloos Bhari Taubah Ke Zari'ah Jis Qadar Gunahon Ka ‘ Ilaj Kar Sakta Hain Kar Lay .
5. Aur Jahnnam Say Salamati Ko Hi Apna Maqsad Bana Lay , Behtareen Mujrim Woh Hain Jo Apnay Jurmon Ka Ilaj Kar Lay .
Hamaray Piyaray Aaqa Ka Yeh ‘ Amal Yaqeenan Hum Ghulamon Ki Ta’leem Ke Liye Tha Jabhi to Shaban Ke Mahine Ki Fazilat Me Farmaya Ke : ‘ Rajab Aur Ramzan Ke Beech May Yeh Mahina Hain Log Is Say Ghafil Hain .
' Lihazah Hamayn Chahiye Key Hum Khuwab - E - Ghaflat Say Baidar Ho Jayen , Naykiyon May Izafah Karayn Aur Aakhirat Ko Behtar Banany Ki Fikr Karayn Neez Is Acchi Niyyat Say Mah - E - Shaban Month Ke Roze Rakhnay May Dilchaspi Layn Key Is Mahinay May Jab Hamara A'maal Naamah Hamaray Piyaray Allah Pak Ki Bargah May Paysh Kiya Jaate Hain.
COMMENTS