azan ki ahmiyat in urdu pdf azan ki barkat pdf dawateislami darood sharif ki barkat pdf dawateislami darood sharif ki kitab achi niyat ki barkat pdf
Azan ki Barkatain Quran Hadees Se
Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam Bayshak Allah pak zalim ko mohlat dayta hay yahan tak kay jab us ko Apni pakar may layta hay to phir us ko nahin chorta. Yeh farma kar Sarkar-e-Namdar Sallallahu Alaihi Wasallam nay parah 12 soorah Hood ki aayat 102 tilawat farmai:
![]() |
Azan ki Barkatain |
Tarjamah-e-Kanz-ul-Iman: Aur aysi hi pakar hay Tayray Rab ki, jab bastiyon ko pakarta hay un kay zulm par bayshak Us ki pakar dardnak karri (sakht) hay.
Piyaray Islami bhaiyo! Is waqi'ay say jahan zalim kay zulm kay ibratnak anjam ka pata chala wohin 'Azaan' ki barakat say na sirf zulm ka bhi khatimah huwa balkay Azaan ki barakat say aik 'aam say shakhs ki Badshah-e-Waqt tak na sirf rasai ho gaey balkay itna bara ikhtiyar mil gaya kay woh mulk say jaraim ko khatam kar dey.
Sab say pehli Azaan kis nay di?
Azaan ka lughwi ma'na hay: Khabardar karna. Kiya aap jantay hay kay sab say pehli 'Azan' kis nay di? Chalye Mayn batata hon, Hazrat Jibrail Ameen nay Mai'raj ki raat Bait-ul- Muqaddas may (sab say pehli Azaan) di, jab Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam nay saray Nabiyon ko namaz parhai, magar Musalmanon may hijrat kay ba'd pehli Hijri may shuru' huyi.
(Mirat, jild 1. Safhah. 399)
Sarkar nay aik bar Azaan di
{Azan ki Barkatain}
Nabi-e-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam nay safar may aik bar Azaan di thi aur kalima-e-shahdat yun kahay: ashhadu anni rasulallah 'Mayn gawahi dayta hon key Mayn Allah ka Rasool hon'.
(Fatawa Razwiyyah, jild. 5, Safhah. 375)
Minarah par sab say pehlay Azaan denay wala
Shahar kay minarah par charh kar Azaan kehnay walay sab say pehlay Hazrat Shurahbeel Bin 'Amir Muradi thay. (Al-Hadiqat-un-Nadiyyah, jild. 1, Safhah. 135)
Ghabrahat may Azaan
Riwayat may hay: jub Aadam AS Hindustan may utray unhayn ghabrahat huyi to Jibrail AS nay utar kar Azaan di.
(Hilyat-ul-Awliya, jild. 5, Sufhah. 123, Hadees 6566)
![]() |
azan-ki-barkatain |
Zikr-e-Illahi nuzool-e-rahmat ka bai's hay
Meray Aaqa A'la Hazrat, Imam Ahl-e-Sunnat Imam Ahmed Raza Khan , farmatay hain: Azan Zikr-e-llahi hai aur Zikr-e-Ilahi bai's-e-nuzool-e-rahmat hay. (Fatawa Razawiyyah, jild. 5, Safhah. 370)
Yaqeenan jab Allah Pak ki rahmat nazil hogi to balaeyn, aafatayn, museebateyn, beemariyan, parayshaniyan door hon gi. Chunan-chay Hadees-e-Pak may hay: Allah Pak kay Aakhiri Nabi, Makki Madani, Muhammad- e-'Arabi Sallallahu Alaihi Wasallam nay Hazrat 'Ali s say irshad farmaya: Aey 'Ali! Mayn tujhay ghamgeen paata hon apnay kisi ghar walay say keh kay tayray kaan may Azaan kahay, Azan gham-o-parayshani dor karti hay.
(Jami'-ul-Hadees, jild. 15, Safhah. 339, Hadees 6017)
Yeh Riwayat naqal karnay kay ba'd A'la Hazrat , Fatawa Razawiyyah shareef jild 4 Safhah. 688 par farmatay hain Maula "Ali aur Maula 'Ali tak jis qadar is Hadees ki rawi (ya'ni riwayat naqal karnay walay) hain sab nay farmaya (Hum nay isay tajribah kiya to hum nay aysa hi paaya).
Kiya Azaan namaz kay sath khas hay
{Azan ki Barkatain}
Ba'z log yeh samajhtay hain kay Azaan sirf namaz hi kay liye di ja sakti hay is kay 'ilawah kisi aur mauqa' par nahin di ja sakti, yeh baat durust nahin, abhi jo riwayat bayan huyi kay Hazrat Aadam Jannat say zameen par tashreef laye to un ki ghabrahat-o-bay chayni ko door karnay kay liye Hazrat Jibrail nay jo Azaan di Woh kisi namaz kay liye nahin thi yun hi Allah Pak kay Aakihri Nabi, Makki Madani, Muhammad-e- "Arabi Sallallahu Alaihi Wasallam jo Maula 'Ali mushkil Kusha Au ai ko ghum zadah daykh kar farmaya key apnay kisi ghar walay say keh kar teray kaan may Azaan dey yeh Azaan bhi kisi namaz kay liye nahin thi. Naiz kutb-e-Shafi'iyyah' may namaz kay ilawah mutlaqan mawaqa' par Azan kehna Sunnat hay.
(Tofhat-ul-Muthaj Li-ibn-e-Hajar Haytumi, jild 1, Safhah. 165)
Namaz kay ilawah Azaan kay chand mawaqa'
Azan ki asal waza' (ijad) to namaz kay liye hi thi phir dusray mawaqa' par bhi isti'mal huyi. Yaad rahay Islam nay kai mawaqa' par Azaan dayna Mustahsan (ya'ni pasand farmaya) hay un may say chand yeh hain:
1. Bachay kay payda honay par daeyn kaan par Azaan aur bayen may iqamat masnoon huyi.
2. Jahan Jinnat ka asar ho wahan bhi Azaan di jati hay.
3. Jab sawari ka janwar sarkashi karay,
4-7. Bad mizaj aadami ya janwar kay kaan may, gham zadah, mirgi kay mareez aur ghussay walay shakhs kay kaan may.
8. Aatishzadgi kay waqt 9. Rastah bhatak Janay ki soorat may.
10. Waba (ya'ni beemari) kay zamanay may.
11. Dafan-e-mayyit kay ba'd.
(Nuzhat-ul-Qauri, Jild. 2. Safhah. 296, Bahar e-Shari'at jlid. 1. Safhah 466)
Azaan kay chand shari' masail
1. Azaan-e-namaz kay 'ilawah aur Azaanon ka bhi jawab diya jaye ga.
2.
![]() |
Azan ki Barkatain |
![]() |
Azan ki Barkatain |
3. Azaan kay kalimat thehar thehar kar kahay, i aià i abà donon mil kar aik kalimah hain, donon kay ba'd saktah karay (ya’ni thehray) darimiyan may nahin aur Saktah ki miqdar yeh hay kay jawab daynay wala, jawab day lay aur Saktah ka tark Makruh hay aur aysi Azaan ka I'adah Mustahab hay.
(Bahar-e-Shari'at, jild. 1, Safhah. 469)
COMMENTS