Gaus Paak Ka Farman Irshadat In Roman English Hindi

Abdul Qadir Jilani Shaikh Gaus Paak Ka Farman Irshadat Alishan Hain, Gaus Paak Ke Kai Sare Irshadat Ek Momin Ki Sahi Zindagi Aur Iman Par Chalne or Se

Abdul Qadir Jilani Shaikh Gaus Paak Ka Farman Irshadat Alishan Hain, Gaus Paak Ke Kai Sare Irshadat Ek Momin Ki Sahi Zindagi Aur Iman Par Chalne or Seerate Mustafa Jo Apne Kirdar Me Dhalne or Allah Ki Ita'at Bayan Karte Hain.

Unme Se Beshumar Gaus Paak Ka Farman Irshadat Niche Diye Gae Hain. 

Inshaallah Aap in Par Amal Kare or Ishe Dusro Tak Pahuchae. or Gaus E Paak Ki Dua Me Rahe.


Ye Bhi Dekhe :

                

Allah Ki Ita'at karo Gaus Paak Ka Farman Irshadat

Hazrate Shaikh Abdul Qadir Jilani (Gaus Paak) Rahmtullah Alayeh Ka Farman Irshadat


 (1).  Allah Ki Na Farmani Nahi Karni Cahiye Aur Sacchai Ka Daman Hanth Se Nahi Chodhna Cahiye,

Is Baat Par Yakin Rakhna Cahiye Ki Tu Allah Ka Banda Hai Aur Allah Ki Ki Milkiyyat Me Hain.


(2).  Usaki Kisi Chiz Par Apna Haq Jahir Nahi Karna Cahiye Balki Us Ka Adab Karna Cahiye,

Kyu Ki Us Ke Tmam Kaam Sahi Wa Durust Hote Hain, 

Allah Ke Kamo Ko Mukaddam Samazhna Cahiye.


(3).  Allah Tala Har Kism Ke Umur Se Be Niyaz Hain Aur Vo Hi Nemat Aur Jannat Ata Farmane Wala Hain,

Aur Uski Jannat Ki Nemato Ka Koi Andaj Nahi Laga Sakta Ki Usne Apne Bando Ki Aankho Ki Thandak Ke Liye Kya Chupa Rakha Hain.


(4).  Isliye Apne Tmam Kaam Allah Ki Sipurd Karna Cahiye.


(5).  Allah Tala Ne Apna Fazal Va Nemat Tum Aur Pura Karne Ka Ahdh Kiya Hain Aur Vo Ise Jarur Pura Farmega.


(6).  Bande Ka Shazre Imani Uski Hifazat Aur Tahffuz Ka Takaza Karta Hain,

Shazre Imani Ki Parvarish Jaruri Hain, Hamesha Is Ki Aab-Yari Karte Raho,

Ise Nek Aamal Ki Khad Dete Raho Taki Iske Fhal Fhule Aur Meve Bar Karar Rahe.


(7).  Agar Ye Meve Aur Fal Fhir Gae to Shazre Imani Viran Ho Jaega Aur Ahle Sarvat Ke Iman Ka Darkht Hifazat Ke Bigair Kamzor Hain,

Lekin Tafkkure Imani Ka Darkhat Parvarish Aur Hifazat Ki Vajha Se Tarh Tarh Ki Nemato Se Faezyab Hain.


(8).  Allah Apne Ehsan Se Logo Ko Taufhik Ata Farmata Hain Aur Un Ko Ar-Fao Ala Makam Ata Farmata Hain.


(9).  Allah Ta'ala Ki Na Farmani Nahi Kar, Sacchi Ka Daman Hath Se Nahi Choda Aur Us Ke Darbar Me Azizi Se Mazirat Karte Hue Apni Hazat Dikhate Hue Aazizi Ka Izhar Kar,


(10).  Ankho Ko Zhukate Hue Allah Ki Makhluk Ki Tarf Se Tavzzoh Hata Kar Pani Khwahishat Par Kabu Paate Hue Dunya Va Akhirat Me Apni Ibadat Ka Badla Na Cahte Hue,

Aur Buland Makam Ki Khwahishat Dil Se Nikal Kar Rabbul Aalmin Ki Ibadato Riyazat Karne Ki Koshish Karo.


(Gaus Paak Ke Halat)




Farman Irshadat Ek Momin Ko Kaisa Hona Chahie Gaus Paak Ka


( 1 ).  Huzur Gausl Azam Shaikh Abdul Qadir Jilani Rahmtullah Alaeh Ka Farman E Aalishan Hain.


( 2 ).  Muhabbate Ilahi Ka Takaza Hain Ki Tu Apni Nigaho Ko Allah Ki Rahmat Ki Taraf  Laga De Uar Kisi Ka Taraf Nigah Na Ho Yu Ki Andho Ki Manid Ho Jaae.


( 3 ).  Jab Tak Tu Gair Ki Taraf Dekhta Rahega Allah Ka Fazal Nahi Dekh Paega Bas Tu Apne Nafs Ko Mita Ka Allah Hi Ki Taraf Mutvajjeh Ho Ja.


( 4 ).  Is Tarha Tere Dil Ki Ankh Fazle Azim Ki Janib Khul Jaengi Aur Tu Iski Roshni Apne Sar Ki Aankho Se Mahsus Karega Aur Fhir Tere Andar Ka Noor Bahar Ko Bhi Munvvar Kar Dega.


( 5 ).  Atae Ilahi Se Tu Rahto Sukun Paega Aur Agar Tune Nafs Par Zulm Kiya Aur Mkhluk Ki Taraf Nigah Ki to Fhir Allah Ki Taraf Se Teri Nigah Band Ho Jaegi Aur Tuzh Se Fazle Khuda Bandi Ruk Jaega.


( 6 ).  Tu Duniya Ki Har Chiz Se Aankh Bad Karle Aur Kisi Chiz Ki Taraf Na Dekh Jab Tak Tu Chiz Ki Taraf Mutvazzeh Rahega to Allah Ka Fazal Aur Kurb Ki Raah Par Nahi Khulengi.


( 7 ).  Tohidh, Kazae Nafas, Mahviyyate Jaat Ke Jaeiye Dusre Raste Band Kar De to Tere Dil Me Allah Tala Ke Fazal Ka Azim Darwaza Khul Jaenga Tu Use Jahiri Aankho Se Dil, Iman Aur Yakin Ke Noor Se Mashhada Karega.


( 8 ).  Mazid Farmate Hain. Tere Nafs Aur Aaza Gairullah Ki Ata Aur Wade Se Aram Va Sakun Nahi Paate Balki Allah Tala Ke Wade Se Aaram Wa Sukun Pate Hain.


(Gaus Paak Ke Halat, Safah 81)




Gaus Paak Ka Farman Allah Ki Wali Ka Makam Irshadat


Gaus Paak Abdul Qadir Jilani Rahmtullah Alae Ka Farman Irshadat Mubarak Hain. 


( 1 ).  Jab Banda Makhluk, Khwahishat, Nafs, Irada Aur Dunya Va Aakhirat Ki Rarzuo Se Fhana Ho Jata Hain,

to Allah Ke Siwa Uska Koi Maksudh Nahi Hota Aur Ye Tamam Chiz Uske Dil Se Nikal Jati Hain to Wo Allah Tak Pahuch Jata Hain.


( 2 ).  Allah Use Mabub Wa Makbul Bana Leta Hain Usse Mahbbat Karta Hain Aur Makhaluk  Ke Dil Me Uski Muhabbat Paida Kar Deta Hain.


( 3 ).  Fhir Banda Ese Makam Aur Fazail Ho Jata Hain Ki Wo Sirf Allah Aur Uske Kurb Ko Mahbub Rakhta Hain Us Waqt Allah Tala Ka Khususi Fazal Us Par Saya Fhigan Ho Jata Hain,

Aur Usko Allah Nemate Ata Farmata Hain Aur Allah Us Par Apni Rahmat Ke Darwaze Khol Deta Hain.


( 4 ).  Aur Us Se Wada Kiya Jata Hain Ki Rahmate Ilahi Ke Ye Darwaze Kabhi Us Par Band Nahi Hoge Us Waqt Wo Allah Ka Ho Kar Rah  Jata Hain.


( 5 ).  Uske Irade Se Irada Karta Hain Aur Uske Tadabbur Se Tadabir Karta Hain, Uski  Cahat Se Cahata Hain, Uski Riza Se Razi Hota Hain, Aur Sirf Allah Ke Hukum Ki Pabandi Karta Hain.


(Gaus Paak Ke Halat, Safah 81-82)



Taqrir Ke Raste Par Chalne Ka Nuska Gaus Paak Ka Farman Irshadat


Gaus Paak (Hazrate Shaikh Muhyuddin Abdul Qadir Jilani Rahmtullah Alaeh) Ka Farman Irshadat Hain.


( 1 ).  Agar Insan Apni Tbai Adat Ko Chodh Kar Shariate Muthhra Ki Taraf Ruzua Kar to Haqiqat Me Yahi Itate Ilahi Hai , Isse Tarikat Ka Rasta Asan Hota Hain.


( 2 ).  Allah Irshad Farmata Hain Aur Jo Kuch Tumhe Rasul Ata Farmae Vo Lo Aur Jis Se Mana Farmae Baaz Raho. Parha 28


( 3 ).  Kyu Ki Sarkare Madina Ki Ittibaa Hi Allah Ki Ita'at Hai, Dil Me Allah Ki Vahdaniyat Ke 

Siva Kuch Nahi Rahna Cahiye, 

Is Tarha Tu Fanafillah Ke Makam Par Faiz Ho Jaega Aur Tere Maratib Se Tmam Hisse Tuche Ata Kiye Jaege Allah Teri Hifazat Farmaega, Muvafakte Khuda Bandi Hasil Hogi.


( 4 ).  Allah Tuche Gunaho Se Mahfuz Farmaega Aur Tuche Apne Fazle Azim Se Istikamat Ata Farmaenga,

Tuche Din Ke Takazo Ko Kabhi Bhi Faramosh Nahi Karna Cahiye in Amal Ko Shariat Ki Pairvi Karte Hue Bja Lana Cahiye.


( 5 ).  Bando Ko Har Hal Me Apne Rab Ki Riza Par Razi Rahna Cahiye, 

Allah Ki Bemato Se Shariat Ki Hudud Hi Me Rah Kar Lutf Va Fhaeda Uthana Cahiye Aur in Dunyavi Nemato Se to Huzur Ne Bhi Hudude Shara Me Rah Kar Fhaeda Uthane Ki Targib Dilai Hain.


( 6 ).  Isliye Sarkare to Jahan Irshad Farmate Hain. Khushbu Aur Shadi Shuda Aurat Mujhe Mahbub Hain, Aur Meri Ankho Ki Thandak Namaz Me Hain.


( 7 ).  Lihaza in Nemto Par Allah Ke Shukr Ada Karna Wazib Hain, Allah Ke Ambiyae Kiram Aur Auliya Izam Ko Nemte Ilahiyyah Hasil Hoti Hain Aur Vo Usko Allah Ki Hudud Me Rah Kar Istemal Fharmate Hain.


( 8 ).  Insan Ke Jizm Va Ruh Ki Hidayat Va Rahnumai Ka Matlab Ye Hain Ki Etidal Ke Sath Ahkame Shariat Ki Tamil Hoti Rahe Aur Is Me Seerate Insani Ki Takmil Jari Wa Sari Rahti Hain.


(Futuhul Gaib Mutjurm, Safah 72, Gaus Paak Ke Halat, Safah 82)


COMMENTS

Name

Ala_Hazrat,1,Ala_Hazrat_Shayari,1,Allah_ke_99_naam,1,Aqiqah,2,Aqiqah_Karne_Ka_Tarika_In_Roman_English,1,Auliya,2,Azan,2,Bachho_ki_parwarish,1,Bakra_Eid_Ki_Namaz_Ka_Tarika,1,Chhote_Bacche,1,Dahej_Pratha,1,Darood_Sharif,4,Dua,9,Dua_E_Masura,1,Dua_mangne_ka_Tarika,1,Eid_Ul_Adha_Ki_Namaz_ka_Tarika,1,Eid_ul_Fitr,1,English,3,Fatiha,3,Fatiha_Ka_Tarika_in_Hindi,1,Gaus Paak,6,Images,1,Islami_Malumat,8,Khwaja_Garib_Nawaz,3,lyrics,2,Muharram,4,Namaz,6,Namaz_E_Janaza,1,Parda_Hijab_Burqa_fashion,1,Quotes,1,Quran,3,Rajab,1,Ramaza,17,Ramzan,12,Roman_English,1,Roza,6,Roza_Rakhne_Ki_Dua,1,Roza_Rakhne_Ki_Niyat,1,Salam,1,Salatul_Tasbeeh,1,Sehri,2,Shab_E_Barat,4,Shab_E_Qadr,1,Shaban,2,Shaban_Ki_Fazilat,1,Shayari,2,Surah_Rahman,1,Surah_Yaseen,1,Surah_Yasin,1,Tahajjud_Prayer,3,Taraweeh,1,Turkiey,5,Wazu,1,Yojana,3,
ltr
item
English Irfani Islam: Gaus Paak Ka Farman Irshadat In Roman English Hindi
Gaus Paak Ka Farman Irshadat In Roman English Hindi
Abdul Qadir Jilani Shaikh Gaus Paak Ka Farman Irshadat Alishan Hain, Gaus Paak Ke Kai Sare Irshadat Ek Momin Ki Sahi Zindagi Aur Iman Par Chalne or Se
English Irfani Islam
https://english.irfani-islam.in/2021/10/gaus-paak-ka-farman-irshadat.html
https://english.irfani-islam.in/
https://english.irfani-islam.in/
https://english.irfani-islam.in/2021/10/gaus-paak-ka-farman-irshadat.html
true
3530025783855722225
UTF-8
Loaded All Posts Not found any posts VIEW ALL Readmore Reply Cancel reply Delete By Home PAGES POSTS View All RECOMMENDED FOR YOU LABEL ARCHIVE SEARCH ALL POSTS Not found any post match with your request Back Home Sunday Monday Tuesday Wednesday Thursday Friday Saturday Sun Mon Tue Wed Thu Fri Sat January February March April May June July August September October November December Jan Feb Mar Apr May Jun Jul Aug Sep Oct Nov Dec just now 1 minute ago $$1$$ minutes ago 1 hour ago $$1$$ hours ago Yesterday $$1$$ days ago $$1$$ weeks ago more than 5 weeks ago Followers Follow THIS PREMIUM CONTENT IS LOCKED STEP 1: Share to a social network STEP 2: Click the link on your social network Copy All Code Select All Code All codes were copied to your clipboard Can not copy the codes / texts, please press [CTRL]+[C] (or CMD+C with Mac) to copy Table of Content