Hazrat Ghouse Azam Dastagir Ki Karamat in Hindi Or Ilm

Hazrat Ghouse Azam Dastagir Ki Karamat in Hindi Or Ilm, or beshumar jankari gaus e azam ke baare me, bachpan ka wakiya

Shikme Madar Me Ilm Ki Karamat (Maa Ke Pet Me Ilm)

5 Baras Ki Umar Me Jab Pahli Baar Bismillah Padhne Ki Rasam Ke Liye Kisi Buzurg Ke Paas Baithe to Bismillah Padh Kar Sura Fhatiha Aur Alif-Lam-Mim Se Lekar 18 Paare Padh Kar Suna Diye.

Un Buzurg Ne Kaha Beta Aur Padhye.

Farmaya Bas Muche Itna Hi Yaad Hain Kyun Ki Meri Maa Ko Bhi Itna Hi Yaad Tha,

Jab Main Apni Maa Ke Pet Me Tha Us Waqt Wo Padha Karti Thi, Mene Sun Kar Yaad Kar Liya Tha.

( Gaus Paak Ka Bachpan Safah Number 15)


Ye Bhi Dekhe :


Apni Vilayat Ka Ilm Hona

Huzur Gaus E Azam Farmate Hain Ki Jab Main Bachpan Ke Aalam Me Madarse Ko Jaya Karta Tha,

to Rojana Ek Farishta Insani Shakal Me Mere Pass Aata Aur Muzhe Madarse Le Jata,

Khud Bhi Mere Pass Baith Rahta Tha,

Mai Ushe Mutlakan Nahi Pachanta Tha Ki Ye Farishta Hain,

Ek Din Maine Usse Pucha Aap Kon Ho?

to Usne Jawab Diya Ki Main Farishto Me Se Ek Farishta Hu,

Allah Tala Ne Muzhe Is Liye Bheja Hain Ki Madar Se Me Aap Ke Sath Raha Karu.

Is Tarha Aap Farmate Hai, Ki Ek Roj Mere Karib Se Ke Shakhas Guzra Jis Ko Main Bilkul Nahi Janta Tha,

Usne Jab Farishto Ko Ye Kahte Suna Ki Kushada Ho Jao Taaki Allah Ka Wali Baith Jaae,

to Usne Farishte Se Pucha Ki Ye Ladka Kis Ka Hain?

to Farishte Ne Jawab Diya Ki Ye Sadaat Ke Gharane Ka Ladka Hain, to Unsne Kaha Ki Ye Un Karib Bahut Badi Shan Wala Honga.

Aap Rahmtullah Alayhe Ke Sahib Jaade Shaikh Abdul Rajjak Rahmtullah Alayehe Ko Bayan Hain Ki Ek Dafha Huzur Gause Azam Se Daryaft Kiya Gaya Ki Aap Ko Apne Wali Hone Ka Ilm Huwa?

to Aap Ne Farmaya Ki Jab Main (10) Das Baras Ka Tha Aur Apne Sahar Ke Maktb Me Jaya Karta Tha Aur Farishte Aur Ko Apne Piche Aur Ird Gird Chale Dekhta, 

Jab Maktab Me Pahuch Jata to Wo Baar Baar Ye Kahte Ki Allah Ke Wali Ko Baithne Ke Liye Jagaha Do.

Isee Wakiye Ko Baar-Baar Dekh Kar Maine Dil Me Ye Ahsaas Paida Huwa Ki Alah Tala Ne Mujhe Darjae Wilayat Par Faraiz Kiya Hain! 

(Gause Paak Ka Bachpan Safha Number 18)



Bachpan Me Rahe Khuda Ke Musafhir Ban Gae.

Gaus Paak Bachpan Hi Me Ilm Din Hasil Karne Ke Liye Raahe Khuda Ke Musafhir Ban Gae The. 

Isliye Hazrat Shaikh Muhammad Bin Kaid Awani Farmate Hain Ki, Hazrat Ghouse Azam Dastagir Ne Hum Se Farmaya Ki Bachpan Me Hajj Ke Din Mujhe Ek Martaba Jangal Ki Taraf Jaane Ka Itifaak Huwa,

Aur Me Ek Bail Ke Piche-Piche Chal Raha Tha Ki Us Bail Ne Meri Taraf Dekh Kar Kaha,

Ae Abdu Qadir Jilani Tumhe Is Kism Ke Kaamo Ke Liye to Paida Nahi Kiya Gaya Main Ghabra Kar Ghar Lauta Aur Apne Ghar Ki Chat Par Chadh Gaya to Kya Dekhta Hu Ki Maidane Arfat Me Log Khade Hain, 

Iske Baad Maine Apni Walidae Mazida Ki Khidmate Aqdas Me Hazir Ho Kar Arz Kiya,

Aap Muche Rahe Khuda Me Waqt Farma De Auar Muzhe Bagdad Jaane Ke Ijajat Farmae Taki Me Waha Jaa Kar Ilm Din Hasil Karu.

Walida Mazid Ne Muzhse Iska Sabab Daryaft Kiya, Mene Bail Wala Wakiya Arz Kar Diya to Un Ki Aankho Me Aasu Aa Gae Aur Wo (80) Assi Dinar Jo Mere Walide Mazid Ki Wirasat The, 

Mere Paas Le Aai to Mene Unme Se (40) Chalis Dinar Le Liye Aur (40) Chalis Dinar Apne Bhai Sayyad Abu Ahmad Ke Liye Chodh Diye,

Walide Mazid Ne Mere (40) Chalis Dinar Meri Gudhshi Me Si Diye Aur Muchse Bagdad Jaane Ki Ijajat Inayat Farma Di. 

Unhone Muzhe Har Haal Me Rast Goi Aur Sacchai Ko Apnane Ki Takid Farmayi Aur Lijan Ke Bahar Tak Muche Al Wada'aa Kahne Ke Liye Tashrif Laae Aur Farmaya

E Mere Pyare Bete Me Tuzhe Allah Ki Riza Aur Khushnudi Ki Khatir Apne Paas Se Juda Karti Hu Aur Ab Muche Tumhara Kayamat Ko Hi Dekhna Nasib Honga.

(Gaus Paak Ka Bachpan Safha 19-20)



Shauke Ilme Din

Hazrate Sayyduna Shaikh Ghouse Azam Dastagir Alaerahma Ke Ilm Din Hasil Karne Ka Andaz Badha Nira Tha, 

Aap Ke Shauke Ilm Din Ka Andaz Is Baat Se Lagaiye Ki Aap Farmate Hain,

Main Apne Talibe Ilm Ke Jamane Me Asatizase Sabak Ke Kar Jangal Ki Taraf Nikal Jaya Karta Tha, Fhir  Bayabano Aur Wirano Me Din Ho Ya Raat, 

Andhi Ho Ya Musladhar Barish, Garmi Ho Ya Sardi Apna Mutaala Jari Rakhta Tha,

Us Waqt Me Apne Sar Par Ek Chota Sa Imama Bandhta Aur Mamuli Tarkariya Kha Kar Sikm Ki Aag Sard Karta, 

Kabhi Kabhi Ye Tarkariya Bhi Hanth Na Aati, Kyun Ki Bhuk Ke Maare Huwe Dusre Fakra Bhi Idhar Ka Rukha Kar Liya Karte The,

Ese Mauke Par Muche Sharm Aati Thi Ki Me Darwesho Ki Hak Talfi Karu, Majburan Waha Se Chala Jata Aur Apna Muaala Jari Rakhta, 

Fhir Nind Aati to Khali Pet Hi Kankariyo Se Bhari Huee Jamin Par So Jata.

Aap Apne Isi Jamane Talibe Ilm Ke Baare Me Farmate Hain Me Jamane Ki Jin Shakhtiyo Se Do Char Huwa, Unhe Bardasht Karte Karte Pahadh Bhi Fat Jata,

Ye to Us Jaate Be Niyaz Ka Kaam Hain Ki Me Bi Aafhiyat Un Kharzaro (Kantedar Jangalo) Se Juzra Gaya.

(Gaus Paak Ka Bachpan Safha 20)



  Gaus a Pak Ka Ka Ilm Amal Aur Taqwa W Parhez Gari.

 Hazrat Imam Mauke Fuddin Bin Ki Dam Rahmatullah Ali Farmate Hai Ki Ham 561 Hijri  Mein Baghdad Sharif Gaye to Humne Dekha Ki Sheikh Sayyad Abdul Qadar Jilani Rahmatullah Talah Alaih Unme Se Hai Ki Jinko Vahan Per Amal Aur Hal Fatwa Nawisi Ki Badhshahat Di Gai Hain.

Koi Talib E Ilm Yahan Ke Alava Kisi Aur Jagah Ka Irada Isliye Nahin Karta Tha Ki Aap Mein Tamam Ulum Jama Hai, Aur Jo Aap Se Ilm Hasil Karte the Aap Tamam Talba Ke Padhaane Mein Sabr Farmate The, 

 Aap Ka Sina Farakh Tha Aur Aap Sair Chsham The, Allah Ne Aap Mein Aur Aosafhe Jamila Ahwale Aziza Jama Farma Diye The. 

(Gaus Pak Ke Halat Safar 27 )



Shane Gaus a Azam Tera Ulum Mein Takrir Farmate

 Imam Rabbani Sheikh Abdul Wahhab Sharani I Aur Shaikh Ul Hadees Muhddisin Abdul Haq Muhaddis Dehlvi Aur Alama Muhammad Bin Yahyaa Habli Rahmatullah Alayh Farmate Hai Ki.

Hazrat Ghouse Azam Dastagir Rahmtullah Alaih Terha Ulum Me Takrir Farmaya Karte The.

Ek Jagha Ullama Shaarani Farmate Hain Ki Gaus Paak Ke Madarsa Aliyame Log Aap Se Fafsir , Hadees. Ghikha Aur Ilmul Kalam Padate The,

Dophar Se Pahle Aur Baad Dono Waqt Logo Ko Tafsir , Hadees, Fhikha, Kalam, Usul Aur Nahw Padhate the Aur Johar Ke Baad Kiraato Kie Sath Quran Padhte The.

(Gaus Paak Ke Halat Safah 28)



Ilm Ka Samundar Ki Karamat

Shaikh Abdul Haq Muhddis Dahelvi Rahmtullah Alaeh Gaus Paak Ke Ilmi Kamalat Ke Mutallik Ek Riwayat Nakal Karte Hain Ki,

Ek Roz Kisi Kari Ne Aap Kee Mazlis Sharif Me Quran Ki Ek Aayat Tilawat Ki to Aap Ne Us Aayat Ki Tafsir Me Pahle Ek Maani Fhir Do Iske Baad Tin Yaha Tak Ki Hazirin Ke Ilm Ke Mutabik Aap Ne Us Aayat Ke 11 Maani Bayan Farma Diye.

Aur Fhir Digar Wuzuhat Bayan Farmai Jin Ki Tadadh 40 Thi Aur Har Vajha Ki Taid Me Ilm Dalail Bayan Farmae Aur Har Mani Ke Sath Sanad Bayan Farmaya,

Gaus Paak Rahmtullah Alaeh Ke Ilmi Dalail Ki Tafsil Se Sab Hazirin Mutzzib Hue.

(Gaus Paak Ke Halat Safah 29 )



Ek Aayt Ke Chalis 40 Maine Bayan Farmae Gaus E Azam Ka Ilmi Mukam 

Hafiz Abul Abbas Ahmad Bin Ahmad Bagdadi Bandalji Rahmtullah Alae Ne Sahibe Bazztul Asrar Se Farmaya,

Main Aur Tumhare Walid Ek Din Hazrate Shaikh Abdu Qadir Jilani Rahmtullah Alae Ki Mazlis Me Hazir Hue Aap Ne Ek Aayat Ki Tafsir Me Ek Ma-Aa-Ni Bayan Farmaya to Maine Tumhare Walid Se Kaha Ye Ma-Aa-Ni Aap Jante Hain ?

Aap Ne Farmaya Haa.

Fhir Gaus E Paak Ne Dusra Ma-Aa-Ni Bayan Farmaya to Maine Dobara Tumhare Walid Se Pucha Ki Kya Aap Is Ma-Aa-Ni Ko Jante Hain?

to Unhone Farmaya Haa.

Fhir Aap Ne Ek Aur Ma-Aa-Ni Bayan Farmaya to Maine Tumhare Walid Se Puch Ki Aap Is Ma-Aa-Ni Ko Jante Hain.

Iske Baad Aap Ne 11 Ma-Aa-Ni Bayan Kiye Aur Main Har Baar Tumhare Walid Se Puchta Tha, Aur Wo Yahi Kahte Ki Is Ma-Aa-Ni Se Me Wakif Hu.

Yaha Tak Ki Gaus E Paak Ne Pure 40 Ma-Aa-Ni Bayan Kiye Jo Nihayat Umda Aur Aziz The.

11 Ke Baad Har Ma-Aa-Ni Ke Baare Me Tumhare Walid Kahte the Mai Is Ma-Aa-Ni Se Wakif Nahi Hu.

(Gause Paak Ke Halat Safah 29)



Hazrat Imam Ahmad Bin Hambal Ka Izhare Aqidat

Hazrat Shaikh Imam Abul Hasan Ali Bin Al Haeti Rahmtullah Alae Farmate Hain, Ki Maine Hazrate Shaikh Abdul Qadir Jilani Rahmtullah Alae Aur Shaikh Baka Bato Ke Sath Hazrate Imam Ahmad Bin Hambal Rahmtullah Alae Ke Raoz E Akdas Ki Jirayat Ki,

Maine Dekha Ki Hazrate Imam Ahmad Bin Hambal Rahmtullah Alae Kabr Se Bahar Tashrif Laae Aur Hazur Gaus Paak Ko Apne Sine Se Laga Liya Aur Hambal Rahmtullah Alae Ne Khirka Pahna Kar Irshad Farmaya.

Ae Shaikh Abdul Qadir Beshak Me Ilm Shariat, Ilme Hakikat, Ilme Haal Aur Fele Haal Me Tumhara Mohtaz Hu.

(Gaus E Paak Ke Halat Safah 30)



Mushkil Masale Ka Aasan Jawab 

Bilade Azam Se Ek Sawal Aaya Ki Ek Shaks Ne Teen Talaq  Ki Kasam Is Taur Per Hai Ki Vo Allah Ki Aisi Ibadat Karega Ki Jis Waqt Vah Ibadat Mein Mashhur Ho to Logon Mein Se Koi Shak Shak Bhi Ho Ibadat Na Kar Raha Ho.

Agar Vah Aisa Na Kar Saka to Uski Biwi Ko Teen Talaq Ho Jaayengi to Is Surat Mein Kaun Si Ibadat Karni Chahie ?

"  Is Sawal Se Ulma Ikram Hiran Aur Pareshan Raha Gaye."

Aur Is Masale Ko Unhone Huzoor Gaus a Azam Rahmatullah Alayh Ki Khidmat Mein Pesh Kiya to Aap Ne Foran Iska Jawab Irshad Farmaya Ki,

Vah Shakhs Makka Mukarrama Chala Jaae. Aur Tawaf Ki Jagah Sirf Apne Liye Khali Karaye Aur Tanha Sath 7 Martaba Tawaf Karke Apni Kasam Ko Pura Karen.

Is Shafi Jawab Se Ulma Ikram Ko Nihayat Hi Tazzub Huwa Kyun Ki Vah Sawal Ke Jawab Se Aziz Ho Gaye The. 

( Gaus a Pak Ki Halat Safar 30 31)



Wah Kya Martaba Ae Ghous Hai Bala Tera 

Hazrat Shaikh Abu Abdullah Muhammad Bin Khizr Ke Walid Farmate Hai Ki, Main Hazrat Gaus a Azam Rahmatullah Alayh Ke Madarse Me Khwab Dekha Ki Ek Bada Makan Hai,

Aur Us Mein Sahra Aur Samundar Ke Mashaikh Maujud Hai Aur Hazrat E Shaikh Abdul Qadir Jilani Unke Sadr Hai.

Unme Baaz Mashaikh to Vo Hain Ki Jin Ke Sar Par Sirf Imam Hain

Aur Baaz Vo Hain Jinke Imame Par Ek Turra Hain.

Aur Baaz Ke Do Turre Hain Lekin Huzur Gaus E Paak Ke Imama Sharif Par Tin Turre Hain.

Me Un Tin Turre Ke Baar Me Janna Cahta Tha Aur Ishi Halat Me Jab Me Neend Se Bedar Huwa to Aap Mere Sirhane Khade The.

Irshad Farmane Lage Ki Khizr Ek Turra Ilme Shariat Ki Sharafat Ka Aur Dusra Ilme Hakikat Ki Sharafat Ka Aur Tisra Shaf Va Martbe Ka Turra Hain.

(Gause Paak Ke Halat Safah 31)



Aap Ke Bayan Mubarak Ki Barkate Ki Karamat

Hazrate Bazzaz Rahmtullah Alaeh Farmate Hain. Maine Hazrat Ghouse Azam Dastagir Se Suan Ki Aap Kursi Par Baite Wa'aaz Farma Rahe the Ki,

Maine Huzur Sayyde Alam ï·º Ki Jirayat Ki to Aap Ne Muche Farmaya

Beta Tum Bayan Kyu Nahi Karte?

Mene Arz Kiya E Mere Nanajaan Me Ek Azim Hu Bagdad Me Fusha Ke Samne Bayan Kaise Karu?

Aap ï·º Ne Muzhe Farmaya Beta Apna Muh Kholo

Mene Apna Muh Khola, to Aap ï·º Ne Mere Muh Me Saat Dafa Luaabe Mubarak Dala Aur Muchse Farmaya Ki Logo Ke Samne Bayan Kiya Karo Aur Unhe Apne Rab Ki Taraf Umda Hikmat Aur Nasihat Ke Sath Bulao.

Fhir Mene Namaze Johar Ada Ki Aur Baith Gaya, Mere Pass Bahut Se Log Aae Aur Muj Par Chillae, Iske Baad Mene Hazrate Ali Ibne Abi Talib Ki Jiyarat Ki, Ki Mere Samne Majlis Me Khade Hain Aur Farmate Hain Ki, "Ae Bere Tum Bayan Kyu Nahi Karte ?

Mene Arz Ki Ae Mere Walid Log Much Par Chillate Hain.

Fhir Aap Ne Farmaya Ae Mere Farznd Apna Muh Kholo.

Mene Apna Muh Khola to Ap Ne Mere Muh Me 6 Dafa Luaab Dala,

Mene Arz Ki Aap Ne 7 Dafa Kyu  Nahi Dala?

Unhone Farmay Rasulallah ï·º Ke Adab Ki Vajh Se, Fhir Wo Meri Ankho Se Ozhal Ho Gae.

(Gaus Paak Ke Halat, Safah 34 - 35)



Aap Ka Pahla Bayan Mubarak Ki Karamat

Huzur Gaus Azam Rahmtullah Alaeh Ka Pahla Bayan Iztimae Braniya Me Mahe Shawwalul Mukarma 521 Hijri Me Azimushshan Mazlis Me Huwa Jis Par Haibat Va Ronak Chai Hui Thi.

Aap Ne Kitab Va Sunnat Ki Tasrih Ke Sath Logo Ko Allah Tala Ki Taraf Bulaya to Vo Sab Ita'at Va Farma Bardari Ke Liye Kaldi Karne Lage.

Saal Tak Istikamat Se Bayan Farmaya.

Gaus Paak Rahmtullah Aleah Ke Farznde Arzumand Abdul Wahhab Rahmtullah Alae Farmate Hain Ki Huzur Shaikh Abdul Qadir Jilani Ramtullah Alaeh Ne 521 Hijri Se 561 Hijri Tak 40 Saal Mkhluk Ko Wazo Nasihar Farmai!

(Gaus Paak Ke Halat, Safah 35)



Aap Ke Bayan Mubarak Ki Tasir

Hazrate Ibrahim Bin Saad Rahmtullah Alaeh Farmate Hain Ki Jab Hamare Shaikh Huzur Gaus Azam Aalimo Wala  Libas Pahn Kar Uche Makam Par Jalwa Afroz Ho Kar Bayan Farmate to Logo Aap Ke Kalame Mubarak Ko Bagaus Sunte Aur Us Par Amal Paira Hote.



Aap Ki Awaz Mubarak Ki Karamat

Hazrat Ghouse Azam Dastagir Rahmtullah Alaeh Ki Mazlise Mubarak Me Baa Wajud Ye Ki Surkae Iztema Bahut Jyada Hote the.

Lekin Aap Ki Awaz Mubarak Jaysi Nazdik Walo Ko Sunai Deti Thi Waesi Hi Dur Walo Ko Sunai Deti Thi Yani Dur Aur Najdik Walo Ke Liye Aap Ki Awaz Mubarak Yaksa Thi!

(Gaus Paak Ke Halat, Safah 35-36)



Shurkae Ijtima Par Aap Ki Haibat Ki Karamat

Aap Surkae Ijtima Ke Dilo Ke Mutabik Bayan Farmate Aur Kashf Ke Sath Unki Taraf Mutvajjeh Ho Jaate.

Jab Aap Mimbar Par Khade Ho Jate to Aap Ke Jalal Ki Vajha Se Log Bhi Khade Ho Jate the Aur Jab Aap Un Se Farmate Ki Chup Raho.

to Sab Ayse Khamosh Ho Jate Ki Aap Ki Haibat Ki Vajha Se Un Ki Saso Ke Ilawa Kuch Bhi Sunai Na Deta!

(Gaus Paak Ke Halat, Safah 36)



Ambiya Aur Auliya Bhi Aap Ke Bayan Me Tashrif Avari

Shaikh Muhakqiq Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dhelvi Farmate Hain. Gaus Paak Rahmtullah Alaeh Ki Mazlis Sharif Me Kul Auliya,

Aur Ambiya Kiram Jismani Hayat Aur Arvah Ke Sath Niz Jinn Aur Malaeka Tashrif Farma Hote The.

Aur Habibe Rabbul Aalmin ï·º Bhi Tarbiyyat Va Taid Farmane Ke Liye Jalva Afroz Hote The. 

Aur Hazrate Khijr Alerahma to Aksar Avkat Mazlis Sharif Ke Hazirin Me Shamil Hote the Aur Na Sirf Khud Aate Balki Mshaikhe Jamana Me Se Jis Se Bhi Aap Ki Mulakat Hoti to Un Ko Bhi Aap Ki Mazlis Me Hazir Hone Ki Takid Farmate Hue Irshad Farmate Ki Jis Ko Bhi Falaah Va Kamrani Ki Khwahish Ho Us Ko Gaus Paak Ki Mazlis Sharif Ki Hamesha Hazri Jaruri Hain.

(Gaus Paak Ke Halat, Safah 36-37)



Jinnat Bhi Aap Ka Bayan Sunte Hain.

Shaikh Abu Jakriya Yahya Bin Abi Nasar Sahravi Rahmtullah Alaeh Ke Walid Farmate Hain Ki Maine Ek Dafa Amal Ki Jarie Jinnat Ko Bulaya to Unho Ne Kuch Jyada Der Kar Di Fhir Vo Mere Pas Aae Aur Kahne Lage Ki 

Jab Shaikh Qadir Jilani Bayan Farma Rahe Hote Us Waqt Hame Bulane Ki Koshish Na Kiya Karo.

Maine Kaha Kyu?

Unhone Kaha Ki Hum Huzure Gaus Azam Rahmtullah Alaeh Ki Mazlis Me Hazir Hote Hain.

Maine Kaha Tum Bhi Unki Mazlis Me Jaate Ho?

Unhone Kaha Ha Hum Mardo Me Kasid Tadat Me Hote Hain, Hamare Bahut Se Guroh Hai, Jinhone Islam Qubul Kiya Hain Aur Un Sab Ne Huzur Gaus Paak Rahamtullah Alaeh Ke Hath Par Tauba Ki Hain.

(Gaus Paak Ke Halat, Safah 37)



Nigahe Gaus Azam Se Chor Kutub Ban Gaya

Gaus Azam Rahmtullah Alaeh Madine Munvvar Se Haziri De Kar Nange Paav Bagdad Sharif Ki Taraf Aa Rahe the Raste Me Ek Chor Khada Kisi Musafir  Ka Intejar Kar Raha Tha Ki Usko Lut Le,

Aap Jab Uske Karib Pahuche to Puch Tum Kon Ho?

Usne Jawab Diya Dehati Hu.

Magar Aap Ke Kashf Ke Jariye Uski Masiyat Aur Bad Kirdari Ko Likha Huwa Dekha Aur Us Chor  Ke Dil Me Khayal Aaya Shayad Ye Gaus E Azam Rahmtullah Alaeh Hain.

Aap Ko Uske Dil Me Paida Hone Wale Khayal Ka Ilm Ho Gaya to Aap Ne Farmaya Me Abdul Qadir Hu.

to Vo Chor Sunte Hi Fauran Aap Ke Mubarak Kadmo Par Gir Pada Aur Us Ki Jaban Par "Ae Mere Sardar Abdul Qadir Mere Haal Par Raham Farmaye" Jaari Ho Gaya.

Aa Ko Us Ki Halat Par Raham Aa Gaya Aur Uski Islah Ke Liye Bargahe Islahi Me Mutvajjeh Hue to Gaib Se Nida Aai,

Ae Hazrat Ghouse Azam Dastagir Is Chor Ko Sidha Rasta Dikha Do Aur Hidayat Ki Taraf Rahnumai Farmate Hue Ise Kutub Bana Do. 

to Is Tarha Aap Ki Nigahe Faiz Rasa Se Vo Kutbiyyat Ke Darje Par Faiz Ho Gaya.

(Seerate Gausss-Kalaen Safah 130, Gaus Paak Ke Halat, Safah 39-40)



COMMENTS

Name

Ala_Hazrat,1,Ala_Hazrat_Shayari,1,Allah_ke_99_naam,1,Aqiqah,2,Aqiqah_Karne_Ka_Tarika_In_Roman_English,1,Auliya,2,Azan,2,Bachho_ki_parwarish,1,Bakra_Eid_Ki_Namaz_Ka_Tarika,1,Chhote_Bacche,1,Dahej_Pratha,1,Darood_Sharif,4,Dua,9,Dua_E_Masura,1,Dua_mangne_ka_Tarika,1,Eid_Ul_Adha_Ki_Namaz_ka_Tarika,1,Eid_ul_Fitr,1,English,3,Fatiha,3,Fatiha_Ka_Tarika_in_Hindi,1,Gaus Paak,6,Images,1,Islami_Malumat,8,Khwaja_Garib_Nawaz,3,lyrics,2,Muharram,4,Namaz,6,Namaz_E_Janaza,1,Parda_Hijab_Burqa_fashion,1,Quotes,1,Quran,3,Rajab,1,Ramaza,17,Ramzan,12,Roman_English,1,Roza,6,Roza_Rakhne_Ki_Dua,1,Roza_Rakhne_Ki_Niyat,1,Salam,1,Salatul_Tasbeeh,1,Sehri,2,Shab_E_Barat,4,Shab_E_Qadr,1,Shaban,2,Shaban_Ki_Fazilat,1,Shayari,2,Surah_Rahman,1,Surah_Yaseen,1,Surah_Yasin,1,Tahajjud_Prayer,3,Taraweeh,1,Turkiey,5,Wazu,1,Yojana,3,
ltr
item
English Irfani Islam: Hazrat Ghouse Azam Dastagir Ki Karamat in Hindi Or Ilm
Hazrat Ghouse Azam Dastagir Ki Karamat in Hindi Or Ilm
Hazrat Ghouse Azam Dastagir Ki Karamat in Hindi Or Ilm, or beshumar jankari gaus e azam ke baare me, bachpan ka wakiya
English Irfani Islam
https://english.irfani-islam.in/2021/11/hazrat-ghouse-azam-dastagir-ki-karamat.html
https://english.irfani-islam.in/
https://english.irfani-islam.in/
https://english.irfani-islam.in/2021/11/hazrat-ghouse-azam-dastagir-ki-karamat.html
true
3530025783855722225
UTF-8
Loaded All Posts Not found any posts VIEW ALL Readmore Reply Cancel reply Delete By Home PAGES POSTS View All RECOMMENDED FOR YOU LABEL ARCHIVE SEARCH ALL POSTS Not found any post match with your request Back Home Sunday Monday Tuesday Wednesday Thursday Friday Saturday Sun Mon Tue Wed Thu Fri Sat January February March April May June July August September October November December Jan Feb Mar Apr May Jun Jul Aug Sep Oct Nov Dec just now 1 minute ago $$1$$ minutes ago 1 hour ago $$1$$ hours ago Yesterday $$1$$ days ago $$1$$ weeks ago more than 5 weeks ago Followers Follow THIS PREMIUM CONTENT IS LOCKED STEP 1: Share to a social network STEP 2: Click the link on your social network Copy All Code Select All Code All codes were copied to your clipboard Can not copy the codes / texts, please press [CTRL]+[C] (or CMD+C with Mac) to copy Table of Content