20 Hazrat Ghous Pak Ki Karamat in Roman English Hindi Me

20 se bhi jada Hazrat Ghous Pak Ki Karamat In roman english hindi, Bachpan Ki Karamat , Waqte Wiladat Karamat,

hazrat-ghous-pak-ki-karamat.
hazrat-ghous-pak-ki-karamat.


Wayse to Hazrat Ghous Pak Ki Karamat Beshumar Hain, Aap Ka Naam Hi Ek Karamt Hain Ki Jab Ek Insan Gaus Paak Ka Naam Leta Tha to Uske Jism Me Kap-Kapi Paida Ho Jati Thi.


Aap Ke Wilayat or Aap Ke Karishme Beshumar Logo Ne Dekha Tha or Jante The.

Aaj Bhi Hazrat Ghous Pak Ki Karamat Kai Logo Ko Malum Nahi or Log Janna Cahte Hain.

Niche Humne Gaus Paak Ke Beshumar Karamat Diye Gae Hain. Jo Sun Kar Pahle Log  Danto Tale Ungliya Chabaliya Karte The. 


Hazrat Ghous Pak Ki Bachpan Ki Karamat


  • Hazrat Ghous Pak Ki Waqte Wiladat Karamat Ka Jahur

Sarkar Gausul Azam Dastafir Rahmtullah Alaeh Ki Wiladat Mahe Ramjanul Mubarak Me Hui 

Aur Pahle Din Hi Roaz Rakha Sehri Se Le Kar Iftar Tak Ghous Pak Apni Walida E Mohtrma Ka Dudh Nahi Pite The.

Isliye Gausus - Saklain Hazrat Shaikh Abdu Qadie Jilani Rahmtullah Alaeha Ki Walida E Mazid Farmati Hain Ki,

Jab Mera Farznd Abdul Qadir Paida Huwa to Ramzan Sharif Me Din Bhar Dudh Nahi Pita Tha.


Ye Bhi Dekhe :


  •  500 Yahudiyo Aur Isaiyo Ka Kabule Islam

Hazrat Ghous Pak Farmate Hain.

Mere Hanth Par 500 Se Jyada Yahudiyo Aur Isaiyo Ne Islam Kabul Kiya Aur Ek Lankh Se Jyada Daku, Chor, Fhussako Fzzar, Fasadi Aur Bidatti Logo Ne Tauba Ki.

(Gaus Paak Ke Halat, Safah 37-38)



  • Daku Taib Ho Gae.

Huzure Gause Azam Farmate Hain. Jab Main Ilme Din Hasil Karne Ke Liye Jilan Se Bagdad Kafhile Ke Hmrah Ravana Huwa,

Aur chand Haumdan Se Aage Pahucha to 60 Daku Kafhile Par Tut Padhe Aur Sara Kafhila Lut Liya Lekin Kisi Ne Much Se Tawazu Na Kiya, 

Ek Daaku Mere Paas Aa Kar Puchne Laga.

Ae Ladke Tumhare Pass Bhi Kuch Hain?

Maine Jawab Me Kaha : Haa.

Daku Ne Kaha : Kya Hain?

Maine Kaha : 40 Dinar.

Usne Pucha : Kaha Hain ?

Maine Kaha : Gudadhi Ke Niche.


Daku Is Baat Ko Majak Samjta Huwa Chala Gaya, Iske Baad Dusra Daku Aaya Aur Usne Bhi Is Tarha Ke Suvalat Kiye,

Aur Maine Yahi Jawabat Usko Bhi Diye Aur Vo Bhi Isi Tarha Mazak Samzhte Huwq Chalta Bana, 

Jab Daku Apne Sardar Ke Paas Jama Hue to Unhone Apne Sardar Ko Mere Baare Me Bataya to Muche Vaha Bulaya Gaya, Wo Maal Ki Taksim Karne Me Masrug The,


Dakuo Ka Sardar Much Se Pucha Ki Tumhare Pass Kya Hain?

Maine Kaha 40 Dinar Hain.

Dakuo Ke Sardar Ne Dakuo Ko Hukum Dete Hue Kaha Iski Talashi Lo. Talashi Lene Par Jan Sacchai Ka Ijhar Huwa to Usne Tazzub Se Suwal Kiya Ki Tumhe Sach Bole Par Kisi Chij Ne Aamada Kiya?


Maine Kaha Walidae Mazid Ki Nasihat Ne.

Sardar Bola Vo Nasihat Kya Hain?

Maine Kaha Meri Walidae Mohatrma Ne Muche Hamesha Sach Bolne Ki Talkin Farmaee Thi Aur Maine Unse Wada Kiya Tha Ki Sach Bolunga.

to Dakuo Ka Sardar Ro Kar Kahne Laga Ye Baccha Apni Maa Se Kiye Hue Wade Se Munhrif Nahi Huwa,

Aur Maine Sari Umar Apne Rab Se Kiye Hue Wade Ke Khilaf Guzar Di Hain. Ushi  Waqt Wo Un 60 Dakuo Samet Hath Par Taib Huwa Aur Kafhile Ka Luta Huwa Maal Wapas Kar Diya.

(Gaus Paak Ke Halat, Safah 38-39)


Nigahe Wali Me Ye Tasir Dekhe

Badalti Hazaro Ki Takdir Dekhe



  • Barkate Hazrat Ghous Pak Ki Bachpan Ki Karamat 

Gause Azam Ki Walid E Mazida Farmaya Karti Thi.

Jab Maine Apne Sahab Jade Abdul Qadir Ko Janma to Wo Ramjanul Mubarak Me Din Ke Waqt Mera Dudh Nahi Pita Tha.


Agle Saal Ramzan Ka Chand Gubar (Barish Ya Badli) Ki Wajha Se Nazar Na Aaya Tha.

to Log Mere Pass Dariyaft Karne Ke Liye Aae to Mene Kaha "Mere Bacche Ne Dudh Nahi Piya".


Fhir Malum Hua Ki Aaj Ramzan Ka Din Hain Aur Hamare Sahar Me Ye Baat Mashhur Ho Gai Ki Sayyado Me Ek Baccha Paida Hua Hain.

Jo Ramzan Me Din Ke Waqt Dudh Nahi Pita Hain.


(Gaus Paak Ke Halat , Safaha Number 24-25)



  • Hazrat Ghous Pak Ungli Mubarak Ki Karamat

Ek Martaba Raat Me Sarkare Bagdad Abdul Qadir Jilani Rahmtullah Alaeh Ke Hamrah Shaikh Ahmad Rifai,

Aur Adi Bin Musafhir Rahmtullah Alaeh Hazrate Imam Ahmad Bin Hambal Rahmtullah Alaeh Ke Mazare Pur Anwar Ki Zirayat Ke Liye Tashrif Le Gae.

Magar Us Waqt Andhere Bahut Jyada Tha Jazrate Gause Azam Rahmtullah Alaeh Unke Aage Aage The, 

Ghous Pak Jab Kisi Patthar, Lakdi, Diwar Ya Kabar Ke Pass Se Gujarte to Ghous Pak Hath Se Irshad Farmate to Us Waqt Ghous Pak  Ka Hath Mubarak Chand Ki Tarha Roshan to Jata Tha,

Aur Is Tarha Wo Sab Hazrate Ghous Pak Ke Mubarak Hath Ki Roshni Ke Jarie Hazrate Imam Ahmad Bin Hambal Rahmtullah Alaeh Ke Mazare Mubarak Tak Pahuch Gae.

(Gaus Paak Ke Halat, Safag 41)



  • Allah Ka Ghous Pak Se Wada

Huzur Gaus Azam Rahmtullah Alaeh Farmate Hain . Mere Parvar Digar Ne Much Se Vada Farmaya Hain.

Ki Jo Musalman Tumhare Madarse Ke Darvaje Se Gujrenga Unke Ajab Me Takha'fif  Farmaunga.



  • Madarse Ke Karib Se Gujarne Wale Ki Bakhashish

Ek Shakhas Ne Khidmate Aqdas Me Hazir Ho Kar Arz Ki, Fula Kabristan Me Ek Shkhas Dafan Kiya Gaya Hain Jis Ka Hal Hi Me Intekal Huwa Hain.

Unki Kabr Se Chikhne Ki Avaz Aati Hain Jaese Azab Me Mubtila Hain.


Huzur Gaus Paak Irshad Farmate Hain

Kya Vo Hamse Bait Hain?

Arz Ki : Malum Nahi.

Farmaya :Hamare Yaha Ke Aane Walo Me Tha ?

Arz Ki : Malum Nahi.

Farmaya : Kabhi Hamare Ghar Ka Khana Usne Khaya Hain?

Arz Ki : Ye Bhi Malum Nahi.


Huzur Gausus-Kalaen Rahmtullah Alaeh Ne Farmaya Aur Zara Der Me Sare Aqdas Uthaya, Haibato Jalal Rue Anwar Se Jahir Tha, 

Irshad Farmaya Fhirishte Hum Se Ye Kahte Hain Ki Ek Baar Isne Hum Ko Dekha Tha Aur Dil Me Nek Guman Laya Tha Is Vajha Se Bakhsh Diya Gaya.

Fhir Jo Uski Kabr Par Jaa Kar Dekha to Mayyat Ki Aawaz Ana Bilkul Band Ho Gaee.

(Gaus E Pak Ke Halat, Safah 41-42)



  • Azabe Kabar Se Nijat Mil Gai 

Baghdad Sharif Ke Mohalle Babul Ke Kabristan Mein Ek Kabar Se Murde Ke Chikhne Ki Awaaz Sunai Dene Ke Mutallik Logon Ne Gaus E Azam Rahmtullah Aale Ki Bargah Mein Arz Kiya to Gaus E Azam Ne Poochha.


Kya Us Kabar Wale Ne Mujhse Khirka Pahna Hain?

Logon Ne Kaha Huzur Wala Iska Hamen Ilm Nahi Hai.

Gaus E Azam Ne Pucha Uske Kabhi Meri Mazlis Me Haziri Di Thi?

Logo Ne Arz Ki Banda Nawaz, Iska Bhi Hame Ilm Nahi.

Iske Baad Gaus E Azam Ne Pucha Kya Usne Mere Piche Namaz Padhi Hain?

Logo Ne Kaha Hum Is Ke Mutallik Bhi Nahi Jante.

Gaus E Azam Ne Irshad Farmaya Bhula Huwa Shakhs Hi Khasar Me Padhta Haina?


Iske Bad Ghous E Azam Ne Muraqaba Farmaya Aur Aap Ke Chehre Mubarak Se Jalal Haibat Aur Waqar Jahir Hone Laga Ghous E Azam Ne Sar Mubarak Uthakar Farmaya Ki Farishton Ne Mujhe Kaha Hai,

Is Shak Ne Aap Ki Jiyarat Ki Hai Aur Aap Se Husne Zan Aur Mohabbat Rakhta Tha to Allah Tala Ne Aap Ke Sabab Is Per Raham Farma Liya

Iske Baad Us Kabar Se Kabhi Bhi Awaz Na Sunai Di.

(Gaus E Pak  Ke Halat, Safah 44)



  • Murgi Jinda Kar De

Ek Bibi Sarkare Bagdad Rahmatullah Alaeh Ki Khidmat Mein Apna Beta Chhod Gai Ki Iska Dil Huzoor Se Girwida Hain. 

Allah Aur Uske Rasool Sallallaho Tala Alaywasallam Ki Tarbiyat Farmae.

Ghous E Azam Ne Use Kabul Farma Kar Mujahde Par Laga Diya Aur Ek Roj Unki Maa Aai Ki Dekha Ladka Bhookh,

Aur Shab Bedari Se Bahut Kamjor Aur Jard Rang Ka Ho Gaya Hai Aur Use Jav Ki Roti Khate Dekha

Jab Bargahe Aqdas Mein Hajir Hui to Dekha Ki Aap Ke Samne Ek Bartan Mein Murgi Ki Haddiya Rakhi Hai,

Jisse Hujur Rahmatullah Le Ne Tanavul (Kha Liya) Farmaya Tha.

Aaz Ki a Mere Maula Huzoor Aap Murgi Khane Aur Mera Baccha Jau Ki Roti

 Yah Sunkar Huzur Pur-noor Rahmtullah Alaeh ne Apna Daste Aqdas Un Haddiyon Par Rakha Aur Farmaya Ji Uth Us Allah Ke Hukum Se Jo Bosida Haddiyon Ko Jinda Farmaenga.

Yah Farman Tha Ki Murgi Faoran Jinda Sahi Salamat Khade Hokar Awaaz Karne Lagi,

 Gaus E Pak  Rahmatullah Le Ne Farmaya Jab Tera Beta Is Darze Tak Pahunch Jaenga to Jo Chahe Khae

(Gaus E Pak Ki Halat Safar 44 - 45)



  • Hazrat Ghous Pak Ki Dua Ki Barkat Ki Karamat

Hazrate Shaikh Saleh Abul Muzaffar Ismail Bin Ali Humairi Zarirani Rahmtullah Alaeh Farmate Hain. 

Hazrate Shaikh Ali Bin Haitmi Rahmtullah Alaeh Jab Bimar Hote to Kabhi Kabhi Meri Jamin Ki Taraf Jo Ki Zariran Me Thi Tashrif Laate Aur Waha Kai Din Gujarte.

Ek Dafa Aap Vahi Bimar Ho Gae to Un Ke Pass Mere Gaus E Samdani Rahmtullah Alaeh Bagdad Se Tamir Dari Ke Liye Tashrif Laae,

Dono Meri Zamin Par Jama Hue, Us Me Do Khazur Ke Darakht the Jo Char Baras Se Khushk the Aur Unhe Fal Nahi Lagta Tha.

Hamne Un Ko Kat Dene Ka Irada Kiya to Hazrate Abdul Qadir Jilani Rahmtullah Alaeh Khade Hue Aur Un Me Se Ek Ke Niche Wazu Kiya Aur Dusre Ke Niche Do Nafal Ada Kiye.

Kuch Dino Me to Wo Sabz Ho Gae Aur Unke Patte Nikal Aae.

Aur Ushi Hafte Me Un Ka Fal Aa Gaya Halaki Wo Kazur Ke Fal Ka Waqt Nahi Tha Me Ne Apni Jamin Se Kuch Khazure Le Kar Aap Ki Khidmat Me Hazir Kar Di.

Ap Ne Us Me Se Khai Aur Muzhe Se Kaha Allah Teri Jamin, Ter Dirham Aur Tere Dudh Me Barkat De.

Hazrate Shaikh Ismail Bin Ali Rahmtullah Alaeh Farmate Hai  Ki Meri Jamin Me Us Saal Ki Mikdar Se Do Se Chae Guna Paida Hona Shuru Huwa, 

Ab Mera Ye Haal Hain Ki Jab Me Ek Dirham Kharch Karta Hu to Us Se Mere Paas Do Se Tin Guna Aa Jata Hain.

Aur Jab Me Gandum Ki 100 Bori Kisi Makan Me Rakhta Hu Fhir Us Me Se 50 Bori Kharch Kar Dalta Hu Aur Baki Ko Dekhta Hu to 100 Bori Mauzud Hoti Hain.

Mere Maweshi Is Kaqadar Bache Janamte Hain, Ki Me Un Ka Shumar bhul Jata Hu.

Aur Ye Hall Hazrate Shaikh Abdul Qadir Jilani Rahmtulla Alaeh Ki Barkat Se Ab Tak Baaki Hain.

(Gaus E Pak Ke Halat, Safah 46)



  • Khalifa E Waqt Ka Mali Daulat Khun Me Badal Gaya

Hazrate Abu Abdullah Muhammad Bin Abul Abbas Maosili Rahamtullah Alaeh Apne Walid Se Nakal Karte Hain Ki Unhone Farmaya :

Hum Ek Raat Apne Shaikh Abdul Qadir Jilani Rahmtullah Alaeh Ke Madarse Bagdad Me the Us Waqt Ghous E Azam Ki Khidmat Me Badsha Al Mustanjad Bilal Abul Muzaffar Yusuf Hazir Huwa,

Usne Aap Ko Salam Kiya Aur Nasihat Ka Khwast Gaar Huwa Aur Aap Ki Khidmat Me Das Theliya Lekar Jo Das Gulam Uthae the

Aap Rahmtullah Alaeh Ne Farmaya Me in Ki Hazat Nahi Rakhat . Aur Kubul Karne Se Inkar Farma Diya, Unne Badi Azizi Ki,

Tab Ghous E Azam Ne Ek Theli Apne Dae Hath Me Pakdi Aur Dusri Theli Bae Hath Me Pakdi Aur Dono Theliyo Ko Hath Se Daba Kar Nichoda Ki Wo Dono Theliyo Khoon Ho Kar Bah Gai, 

Aap Hazrat Ghous Pak Ne Farmaya E Abul Muzffar Kya Tumhe Allah Ka Khaof Nahi Ki Logo Ka Khoon Lete Ho Aur Mere Samne Laate Ho. 

Vo Aap Ki Baat Sunkar Haybat (Hairan) Ke Aalam Me Behosh Ho Gaya.

Fhir Hazrat Ghous Pak Rahmtullah Alaeh Ne Farmaya Allah Ki Kasam Agar Iske Huzur Nabiyye Paak Se Rishte Ka Lihaz Na Hota to Me Khun Ko Is Tarha Chodta Ki Unke Makan Tak Pahuchta. 

(Gaus E Pak Ke Halat, Safah 46-47)



  • Andho Ko Bina Aur Murdo Ko Zinda Karna

Hazrate Shaikh Barguzida Abul Hasan Karshi Farmate Hain. Me Aur Shaikh Abul Hasan Ali Bin Haeti Hazrate Shaikh Muhyuddin Abdul Qadir Jilani Rahmtullah Alaeh Ki Khidmat Me Unke Madarse Me Maujud the,

to Unke Pass Abu Galib Fazlul'lah Bin Ismail Bagdadi Azzi Saodagar Hazir Huwa Wo Aap Se Arz Karne Laga Ki.

E Mere Sardar ! Aap Ke Jadde Amjad Hujure Purnur Ka Farmane Jishan Hain Ki "Jo Shaks Dawat Me Bulaya Jae Us Ko Dawat Kabul Karni Cahiye.

Main Hazir Huwa Hu Ki Aap Mere Ghar Dawat Par Tashrif Laae.

Ap Ne Farmaya Agar Muzhe Ijajat Mili to Main Aaunga. Fhir Kuch Der Baad Aap Ne Muskura Kar ke Farmaya Ha Aaunga.

Fhir Aap Hazrat Ghous Pak Apne Khacchar Par Suwar Hue , Shaikh Ali Ne Aap Ki Dai Rikab Pakdi Aur Maine Bai Rikab Thami Aur Jab Uske Ghar Me Hum Aae Dekha to Us Me Bagdad Ke Masaika, Ulma Aur Muazz'zin Jama Hain,

Dastar Khwan Bichaya Gaya Jisme Tmam Shiri Aur Tursh Khane Ke Liye Maujud Thi Aur Ek Bada Sanduk Laya Gaya Jo Sar B Mohar Tha, 

Do Aadmi Ushe Uthae Hue the Use Dastar Khwan Ke Ek Taraf Rakh Diya Gaya,

to Abu Galib Ne Kaha Izazat Hain.

Ush Waqt Hazrate Shaikh Muhiyyudin Abdul Qadir Jilani Rahmtulla Alaeh Murakbe Me the Aur Aap Ne Khana N Khaya N Hi Khane Ki Izazat Di.

Aap Rahmtullah Alaeh Ne Khane Ki Izazat N Di to Kisi Ne Bhi Khana Na Khaya,

Aap Ki Haibat Ke Sabab Mazalis Valo Ka Haal Esa Tha Ki Goya Unke Saro Par Parinde Baith Hain, 

Fhir Aap Ne Shaikh Ali Ki Taraf Ishara Karte Hue Farmaya Ki Wo Sanduk Utha Laiye.

Hum Uthe Aur Use Uthaya Vo Vazni Tha, Hamne Sanduk Ko Ghouse Azam Ke Samne La Kar Rakh Diya. Ghouse Azam Ne Hukum Diya Ki Sanduk Ko Khola Jae.

Hamne Khola to Usme Abu Galib Ka Ladka Maujud Tha Jo Madar Zhadh (Bachpan) Andha Tha to Ghouse Azam Ne Usse Kaha Khada Ho Ja. 

Hamne Dekha Ki Ghouse Azam Ke Kahne Ki Der Thi Ladka Daudhne Laga Aur Bina Bhi Ho Gaya Aur Esa Ho Gaya Ki Kabhi Bimari Me Mubtala Nahi Tha, 

Ye Dekh Kar Mazlis Me Shor Barpa Ho Gaya Aur Ghouse Azam Isi Halat Me Bahar Nikal Aae Aur Kuch Na Khaya.

Iske Baad Me Shaikh Abu Saad Kailviki Khidmat Me Hazir Huwa Aur Ye Haal Bayan Kiya to Unhone Kaha Ki Hazrate Shaikh Abdul Qadir Jilani Rahmtullah Alaeh Madar Zadh Andhe Aur Baras Walo Ko Accha Karte Hain Khuda Ke Hukum Se Murda Zinda Karte Hain.

(Gaus Paak Ke Halat, Safah 50)



  • Badlo Par Bhi Ghouse Azam Ki Hukmrani

Hazrate Shaikh Abdul Qadie Jilani Rahmtullah Alaeh Ek Din Mimbar Par Baite Bayan Farma Rahe The, 

Ki Barish Shuru Ho Gai to Faap Ne Farmaya Mainto Jama Karta Hu Aur E Badal Tu Mutfarrik Kar Deta Hain. 

to Badal Mazalis Se Hat Gaya Aur Mazlis Se Bahar Barasne Laga,

Wavi Kahte Hain Ki Allah Ki Kasam Hazrate Shaikh Abdul Qadie Jilani Rahmtullah Alaeh Ka Kalam Abhi Pura Nahi Huwa Tha Ki,

Barish Hum Par Se Band Ho Gai Aur Hum Se Dae Bae Barasti Thi Aur Hum Par Nahi Barasti Thi.

(Gaus Paak Ke Halat, Safah 51)





  • Chote Bacche Ki Laash

Khankah Me Ek Ba Parda Khatun Apne Chote Bacche Ki Lash Chadar Me Apete Sine Se Chipkae Jaro Katar Ro Rahi Thi. 

Itne Me Ek Noorani Baccha Daudhta Huwa Aata Hain.

Aur Hum Dadrana Lahze Me Us Khatoon Se Rone Ka Sabab Dariyafat Karte Hain.

Vo Rote Hue Kahti Hain Beta! Mera Sohar Apne Lakhte Jigar Ke Didar Ki Hasrat Liye Duniya Se Rukhsat Ho Gaya Hain.

Ye Baccha Us Waqt Pet Me Tha Aur Ab Ye Apne Baap Ki Nishani Aur Meri Zindagani Ka Sarmaya Tha.

Ye Bimar Ho Gaya Mai Ise Ishi Khankaha Me Dam Karwane Laa Rahi Thi Ki Raste Me Is Ne Dam Todh Diya Hain.

Main Fhir Bhi Badi Ummid Le Kar Yaha Hazir Ho Gai Ki Is Khankah Wale Buzurg Ki Vilayat Ki Har Taraf Dhoom (Chrcha) Hain.

Aur Inki Nigahe Karam Se Ab Bhi Bahut Kuch Ho Sakta Hain.

Magar Wo Muche Sabr Ki Talkin Dekar Andar Tashrif Le Ja Chuke Hain.

Ye Kah Kar Wo Kahtoon Fhir Rone Lagi Us Noorani Bacche Ka Dil Pighal Gaya.

Aur Us Ki Rahmat Bhari Jaban Par Ye Alfaz Nikale.

Mohtrama Aap Ka Bacha Mara Huwa Nahi Balki Zinda Hain Dekha to Sahi Wo Harkat Kar Raha Hain.

dukhiyari Maa Ne Betabi Ke Sath Apne Bache Ki Lash Par Se Kapda Utha Kar Dekha to Wo Sach Much Zinda Tha Aur Hath - Pair Hila Raha Tha.

Itne Me Khankaha Wale Buzurg Andar Se Vapas Tashrif Laae.

Bache Ko Zinda Dekha Kar Sari Baat Samazh Gae Aur Laathi Utha Kar Ye Kahte Hue Us Noorani Bacche Ki Taraf Lapke Ki.

Tu Ne Abhi Se Takdeere Khuda Bandi Ke Sarbasta Raaz Kholne Shuru Kar Diya Hain.

Nooreni Baccha Waha Se Bhag Khada Huwa Aur Wo Buzurg Uske Piche Daudhne Lage.

Noorani Baccha Yaka Yak Kabristan Ki Taraf Mudha Aur Buland Awaz Se Pukarne Laga E Kabr Walo! Muche Bachao.

Teji Se Lapakte Huye Buzurg Achanak Titak Kar Ruk Gae.

Kyun Ki Kabrastan Se 300 Murde Ooth Kar Uski Noorani Bache Ki Dhal Ban Chuke The.

Aur Wo Noorani Bacha Dur Khada Apna Chand Sa Cahera Chamkta Muskura Raha Tha.

Us Buzurg Ne Badi Hasrat Ke Sath Noorani Bache Ki Taraf Dekhte Huye Kaha Beta! Hum Tere Martbe Ko Nahi Pahuch Sakte.

Is Liye Teri Marji Ke Aage Apna Sare Taslim Kham Karte Hain. 

Pyare Dosto Bhaiyo Aap Jante Hain Wo Noorai Baccha Kon Tha?

Us Noorani Bacche Ka Naam "Hazrate Shaikh Abdul Qadie Jilani Rahmtullah Alaeh" Tha.

Aur Aage Chal Kar Wo Gausul Azam Ke Laqab Se Mashhur Hue.

Aur Wo Buzurg Un Ke Nana Jaan Hazrate Sayyadna Abdullah Sumai Rahmtullah Alaeh The.

(Gaus Paak Ka Bachpan, Safah Number 4-5)


COMMENTS

Name

Ala_Hazrat,1,Ala_Hazrat_Shayari,1,Allah_ke_99_naam,1,Aqiqah,2,Aqiqah_Karne_Ka_Tarika_In_Roman_English,1,Auliya,2,Azan,2,Bachho_ki_parwarish,1,Bakra_Eid_Ki_Namaz_Ka_Tarika,1,Chhote_Bacche,1,Dahej_Pratha,1,Darood_Sharif,4,Dua,9,Dua_E_Masura,1,Dua_mangne_ka_Tarika,1,Eid_Ul_Adha_Ki_Namaz_ka_Tarika,1,Eid_ul_Fitr,1,English,3,Fatiha,3,Fatiha_Ka_Tarika_in_Hindi,1,Gaus Paak,6,Images,1,Islami_Malumat,8,Khwaja_Garib_Nawaz,3,lyrics,2,Muharram,4,Namaz,6,Namaz_E_Janaza,1,Parda_Hijab_Burqa_fashion,1,Quotes,1,Quran,3,Rajab,1,Ramaza,17,Ramzan,12,Roman_English,1,Roza,6,Roza_Rakhne_Ki_Dua,1,Roza_Rakhne_Ki_Niyat,1,Salam,1,Salatul_Tasbeeh,1,Sehri,2,Shab_E_Barat,4,Shab_E_Qadr,1,Shaban,2,Shaban_Ki_Fazilat,1,Shayari,2,Surah_Rahman,1,Surah_Yaseen,1,Surah_Yasin,1,Tahajjud_Prayer,3,Taraweeh,1,Turkiey,5,Wazu,1,Yojana,3,
ltr
item
English Irfani Islam: 20 Hazrat Ghous Pak Ki Karamat in Roman English Hindi Me
20 Hazrat Ghous Pak Ki Karamat in Roman English Hindi Me
20 se bhi jada Hazrat Ghous Pak Ki Karamat In roman english hindi, Bachpan Ki Karamat , Waqte Wiladat Karamat,
https://blogger.googleusercontent.com/img/a/AVvXsEgSwtT1Z2O0U9d0fq6e7wgkISeEgJE_ILS6OSppzV0rsJsbN76hCMgdOdJIy3E2ymCYarG1R9Hq4b2JkT-z9okXDrFz2ID7I9hEJIUySyZegyXH5SVj1NFyqn1-53Sf6AkPexwvSRewS45HHZXY15uWaf4oy076Nqmtbh9tVBOG0sX80IXf7QDprk0daA=w640-h360
https://blogger.googleusercontent.com/img/a/AVvXsEgSwtT1Z2O0U9d0fq6e7wgkISeEgJE_ILS6OSppzV0rsJsbN76hCMgdOdJIy3E2ymCYarG1R9Hq4b2JkT-z9okXDrFz2ID7I9hEJIUySyZegyXH5SVj1NFyqn1-53Sf6AkPexwvSRewS45HHZXY15uWaf4oy076Nqmtbh9tVBOG0sX80IXf7QDprk0daA=s72-w640-c-h360
English Irfani Islam
https://english.irfani-islam.in/2021/10/hazrat-ghous-pak-ki-karamat.html
https://english.irfani-islam.in/
https://english.irfani-islam.in/
https://english.irfani-islam.in/2021/10/hazrat-ghous-pak-ki-karamat.html
true
3530025783855722225
UTF-8
Loaded All Posts Not found any posts VIEW ALL Readmore Reply Cancel reply Delete By Home PAGES POSTS View All RECOMMENDED FOR YOU LABEL ARCHIVE SEARCH ALL POSTS Not found any post match with your request Back Home Sunday Monday Tuesday Wednesday Thursday Friday Saturday Sun Mon Tue Wed Thu Fri Sat January February March April May June July August September October November December Jan Feb Mar Apr May Jun Jul Aug Sep Oct Nov Dec just now 1 minute ago $$1$$ minutes ago 1 hour ago $$1$$ hours ago Yesterday $$1$$ days ago $$1$$ weeks ago more than 5 weeks ago Followers Follow THIS PREMIUM CONTENT IS LOCKED STEP 1: Share to a social network STEP 2: Click the link on your social network Copy All Code Select All Code All codes were copied to your clipboard Can not copy the codes / texts, please press [CTRL]+[C] (or CMD+C with Mac) to copy Table of Content