Gaus a Pak Par Tafsiri Malumat Wiladat Nasab Family Tree

gaus a pak peer history, Abdul Qadir Gilani Wiladat, Gaus Kise Kahte Hain, gaus e aazam Nasab Sharif , Family Tree, Wiladat, गौस ए पाक पीयर हिस्ट्री,

Gaus a Pak Ka Pura Naam Kya Hain

Sarkare Bagdad Huzur Gaus A Pak Rahmutullah Alayhe Ki Kunniyat,

Abu Muhammad Aur Alkabaat Mohiyuddin, Mabube Subhani, Gaususs-Kalain, Gausul Azam Hain.


Wiladat Hazrat E Gaus a Pak

Gaus a Pak San 470 Hijzi (01,ramzan, Friday, 470 Hijri) Me Bagdad Sharif Ke Karib Kasba a Jilani Me Paida Hue.


Wisal Hazrat E Gaus a Pak

Aur San 561 Me Bagdad Sharif Hi Me Wisal Farmaya.


( 1 ).  Moarrikhin Ka Ikhtlaaf Hain Ek Riwayat Me Hazrat Sayyaduna Shaikht Abdul Qadir Jilani Rahmtullah Alae Ne 17 Rabi Ul Aakhir 561 Hijri Me Inteqal Farmaya, Wisal Ke Waqt Aap Ki Umar Sharif Takriban 90 Saal Thi.

( 2 ).  Dusri Riwayat Me Hazrat Sayyaduna Shaikht Abdul Qadir Jilani Rahmtullah Alae Ne 9 Rabi Ul Aakhir 561 Hijri Me Inteqal Farmaya, Wisal Ke Waqt Aap Ki Umar Takriban 90 Saal Thi.

( 3 ).  Tisri Riwayat Me Hazrat Sayyaduna Shaikht Abdul Qadir Jilani Rahmtullah Alae Ne 22 Rabi Ul Awwal 561 Hijri Me Inteqal Farmaya, Wisal Ke Waqt Aap Ki Umar Sharif Takriban 90 Saal Thi.

Aap Ka Mazare Pur Anwar Iraq Ke Mashhur Sahar Bagdad Sharif Me Hain.


Ye Bhi Dekhe :


Gaus Kise Kahte Hain...?

Gausiyat Buzurgi Ka Ek Khas Darja Hain.

Lafze " Gaus " Ke Lugwi Mana Hain, " Fariyad - Ras " Yani Fariyad Karna.

Chunki Hazrate Shaikh Abdul Qadir Jilani Rahmutullah Alaehi Garibo, Be Kaso Aur Haazar Mando Ke Madadgar Hain

Isliye Aap Ko Gaus Azam Ka Khitab Se Sarfaraz Kiya Gaya Hain.

Aur Baaz Aqidat Mand Aapko "Pirane Peer Das-Gir Ke Laqab Se Bhi Yaad Karte Hain.

(Gaus Paak Ke Halat, Safah Nubmber 16)



Gaus a Pak Ka Nasab Sharif 

  • Aur Sarkare Gaus a Pak Rahmtullah Alayhe Apni Walida Mazida Ki Nisbat Se Husaini Sayyad Hani.
  • Gaus e Azam Rahmtullah Alayhe Waalid Mazid Ki Nisbat Se Hasni Hain.

Gaus e Azam Silsila a Nasab Yun Hain :


Waalid Mazid Ghous E Azam Family Tree in Hindi

  • Sayyad Muhyuddin Abu Muhammad Abdul Qadir Jilani
  • Bin Sayyad Abu Saaleh Jangi Do
  • Bin Sayyad Abu Abdullah
  • Bin Sayyad Yahya
  • Bin Sayyad Muhammad
  • Bin Sayyad Dawood
  • Bin Sayyad Musa Saani
  • Bin Sayyad Abdullah
  • Bin Sayyad Musa Jaun
  • Bin Sayyad Abdullah Mahz
  • Bin Sayyad Imam Hasan Musnna
  • Bin Sayyad Imame Hasan
  • Bin Sayyad Aliyyul Murtuja Hazrat Ali Radi Allahu Anhu



Gaus a Pak Ke Aba O Azdad

Sarkar Gausul Azam Rahmtullah Alayhe Ka Khandan Swlihin Ka Gharan Tha.

Aap Ke Nana Jaan, Dada Jaan, Walide Mazid, Wakid E Mohatrama, Fhufi Jaan, Bhai Aur Sahib Ja-Dgan Sab Mutki Wa Parhez Gaar The.

Ishi Wajha Se Log Aap Ke Khandan Ko Ashraf Ka Khandan Kahte Hain

Sarkat Gaus e Azam Njibut Tarfain Sayyad Hain Aap Ka Gharana Hasni Husaini Sayyad Hain.

(Gaus Paak Ke Halat, Safah Number 16-17)



Gaus a Pak Ke Walid

Sarkar Gaus e Aazam Rahmtullah Alayhe Ke Walid Mohatram Hazrate Abu Swaleh Sayyad Musa Jangi Dost Rahmtullah Alayhe The.

Aap Ka Isme Girami " Sayyad Musa " Kunniyat " Abu Swaleh " Aur Laqab " Jangi Dost " Tha.

Aap Jilani Sharif Ke Akabir Mshaikhe Kiram Me Se The.



Jangi Dost Laqab Ki Wajah 

Sarkat Gausul Aalam Rahmtullah Alayhe Ke Walid Mazid Ka Laqab Jangi Dost Is Liye Huwa Ki Aap Khali-Satan Allah Ki Riza Ke Liye Nafs Kashi Aur Riyazate Shar-Ee Me Yaktae Jamana The.

Neki Ke Kaamo Ka Hukum Karne Aur Buraee Se Rokne Ke Liye Mashhur The.



Gaus Pak Ke Nana Ka Naam

Huzur Sayyad Gusul Azam Rahmtullah Alayhe Ke Nana Jaan Hazrate Abdullah Saomi Rahamtullah Alayhe Jilani Sharif Ke Mshikha Me Se The.

Aap Nihayat Zahid Aur Parhez Gaar Hone Ke Alawa Sahibe Fazlo Kamal Bhi The.

Bade Bade Mashikhe Kiram Se Aap Ne Sharfe Mulakat Hasil Kiya Tha.



Gaus a Pak Ki Wiladat Ki Basharat

Mahbube Sub Hani Shaikh Abdul Qadir Jilani Ke Walide Mazid Hazrate Sayyadna Abu Swaleh Musa Jangi Dost Rahmtullahi Tala Ne

Huzur Gaus a Aazam Alayhirahma Ki Walida Ki Raat Mushahad Farmaya Ki Sarware Kainat Fakhre Maujudaat Huzur Muhammad Mustafa Sallallaho Alaihi Wasallam Shaba E Kiram, Aur Auliya E Izaam Unke Ghar Me Uzwa Afroz  Hain.


Aur in Alfaze Mubarak Se Un Ko Khitab Farma Kar Basharat Se Nawaza.

Ae Abu Swaleh! Allah Ne Tum Ko Isa Farzand Ata Farmaya Han Jo Wali Hain.

Aur Wo Mera Aur Allah Ka Mahbub Hain.


Aur Uski Shan Auliya Aur Aktaab Me Waysi Hi Shan Hongi Jaysi Ambiya Aur Murslin Alayhisalaty Wasallam Me Meri Shan Hain.



Ambiya E Kiram Ki Bsharat

Hazrate Abu Swaleh Musa Jangi Dost Rahmtullah Alayh Ko Khwab Me Shahshahe Arbo Azam Ke Alawa Jumla Ambiya Kiram Alayhimusallam Ne Ye Basharat Di Ki.

" Tmam Auliya Allah Tumhare Farjande Azmand Ke Mutia Honge Aur Un Ki Gardano Par  Inka Kadam Mubarak Honga ".

(Sirate Gaussas-Kalaen, Safa Number 55, Gaus Paak Ke Halat, Safah Number 22-23)



Hazrat Hasan Bashri Ki Basharat

Gaus Paak Ki Wiladat Ki Basharat Hazrate Hasan Basri Ki Basharat

Jin Mshaikh Ne Hazrate Gaus e Azam Rahmtullah Alayh Ki Kutbiyyat Ke Mrtabe Ki Gawahi Di Hain.

" Rao-Zatunnwazir " Aur " Nuzhtul Khawatir "me Sahibe Kitab Un Mshaikha Ka Tazkira Karte Huwe Likhte Hain.


Aap Rahmtullah Alayh Se Pahe Allah Ke Auliya Me Se Koi Bhi Aap Ka Munkir Na Tha.

Balki Unhone Aap Ki Aamad Ki Bsharat Di Hain


Isliye Hazrat Hasan Basri Rahmtullah Alayh Ne Apne Jamana E Mubarak Se Le Kar Hazrate Shaikh Muhiyyudin Abdul Qadir Jilani Rahmtullah Ke Jamana E Mubarak Tak Tafsil Se Khabar Di  Hain Ki 

Jitne Bhi Allah Ke Auliya Guzre Hain Sab Ne Hazart Shaikh Abdul Qadir Jilani Rahmtullah Alayh Ki Khabar Di Hain.

(Sirat Gaussas-Kalain, Safa Number 58)



Hazrat Khwaja Junnaid Bagdaadi Ki Basharat

Aap Rahmtullah Alayh Irshad Farmate Hain Ki "Muzhe Aalme Gaib Se Malum Huwa Hain Ki Panchwi Sadi Ke Waqt Me Sayydul Mur Salin Ki Aulad Athaar Me Se Ek Kutbe Alam Honga.


Jin Ka Lakab Mohiyuddin Aur Isme Mubarak Abdul Qadir Hai Aur Wo Gaus a Azam Hona.

Aur Jilani Me Paida Honga Unko Khatmunnbiyyin Ki Aulade Athar Me Se Aaimma E Kiram Aur Shaba E Kiram Ke Alawa, 


Awwlin O Aakhirin Ke " Har Wali Aur Waliyya Ki Gardan Par Kadam Hain ". Kahne Ka Hukum Honga..

(Sirate Gaussaa-Kalaen, Safa Number 57)



Gaus a Pak Ki Waqte Wiladat Karamat Ka Juhur

Sarkar Gaus a Pak Dastgir Rahmtullah Alayh Ki Waladat Mahe Ramzanul Mubarak Me Hui.

Aur Pahle Din Hi Roza Rakha Sehari Se Le Kar Iftari Tak Aap Apni Walida E Mihtram Ka Doodh Nhi Pite The.

Isliye Gaus Saklain Hazrat Shaikh Abdul Qadir Jilani Rahmtullah Alayh Ki Walid E Maajida Farmati Hain Ki,

Jab Mera Farzand Abdul Qadir Paida Huwa to Ramzan Sharif Me Din Bhar Doodh Nahi Pita 


COMMENTS

Name

Ala_Hazrat,1,Ala_Hazrat_Shayari,1,Allah_ke_99_naam,1,Aqiqah,2,Aqiqah_Karne_Ka_Tarika_In_Roman_English,1,Auliya,2,Azan,2,Bachho_ki_parwarish,1,Bakra_Eid_Ki_Namaz_Ka_Tarika,1,Chhote_Bacche,1,Dahej_Pratha,1,Darood_Sharif,4,Dua,9,Dua_E_Masura,1,Dua_mangne_ka_Tarika,1,Eid_Ul_Adha_Ki_Namaz_ka_Tarika,1,Eid_ul_Fitr,1,English,3,Fatiha,3,Fatiha_Ka_Tarika_in_Hindi,1,Gaus Paak,6,Images,1,Islami_Malumat,8,Khwaja_Garib_Nawaz,3,lyrics,2,Muharram,4,Namaz,6,Namaz_E_Janaza,1,Parda_Hijab_Burqa_fashion,1,Quotes,1,Quran,3,Rajab,1,Ramaza,17,Ramzan,12,Roman_English,1,Roza,6,Roza_Rakhne_Ki_Dua,1,Roza_Rakhne_Ki_Niyat,1,Salam,1,Salatul_Tasbeeh,1,Sehri,2,Shab_E_Barat,4,Shab_E_Qadr,1,Shaban,2,Shaban_Ki_Fazilat,1,Shayari,2,Surah_Rahman,1,Surah_Yaseen,1,Surah_Yasin,1,Tahajjud_Prayer,3,Taraweeh,1,Turkiey,5,Wazu,1,Yojana,3,
ltr
item
English Irfani Islam: Gaus a Pak Par Tafsiri Malumat Wiladat Nasab Family Tree
Gaus a Pak Par Tafsiri Malumat Wiladat Nasab Family Tree
gaus a pak peer history, Abdul Qadir Gilani Wiladat, Gaus Kise Kahte Hain, gaus e aazam Nasab Sharif , Family Tree, Wiladat, गौस ए पाक पीयर हिस्ट्री,
English Irfani Islam
https://english.irfani-islam.in/2021/10/gaus-a-pak.html
https://english.irfani-islam.in/
https://english.irfani-islam.in/
https://english.irfani-islam.in/2021/10/gaus-a-pak.html
true
3530025783855722225
UTF-8
Loaded All Posts Not found any posts VIEW ALL Readmore Reply Cancel reply Delete By Home PAGES POSTS View All RECOMMENDED FOR YOU LABEL ARCHIVE SEARCH ALL POSTS Not found any post match with your request Back Home Sunday Monday Tuesday Wednesday Thursday Friday Saturday Sun Mon Tue Wed Thu Fri Sat January February March April May June July August September October November December Jan Feb Mar Apr May Jun Jul Aug Sep Oct Nov Dec just now 1 minute ago $$1$$ minutes ago 1 hour ago $$1$$ hours ago Yesterday $$1$$ days ago $$1$$ weeks ago more than 5 weeks ago Followers Follow THIS PREMIUM CONTENT IS LOCKED STEP 1: Share to a social network STEP 2: Click the link on your social network Copy All Code Select All Code All codes were copied to your clipboard Can not copy the codes / texts, please press [CTRL]+[C] (or CMD+C with Mac) to copy Table of Content